
15 Sha’baan Kee Raat Qiyaam Kiya Karo Aur Din Ko Roza Rakkha Karo
“Hazrat ‘Ali Bin Abi Talib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Riwayat Karte Hain Ki Rasool Allah SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jab Pandrah-15 Sha’baan Kee Raat Ho To Us Raat Ko Qiyaam Kiya Karo Aur Din Ko Roza Rakkha Karo Kyun Ki Allah Ta’ala Ghurube Aaftab Ke Waqt Aasmani Dunya Par Nuzool Farmata Hai Aur Farmata Hai : Kya Ko’i Meri Bakhshish Ka Taalib Hai Ki Mein Us Ko Bakhsh Doo’n? Kya Ko’i Rizq Maangne Waala Hai Ki Mein Use Rizq Doo’n? Kya Ko’i Bimaar Hai Ki Mein Use Shifa Doo’n? Kya Ko’i Ayse Hai? Ayse Hai? Yaha’n Tak Ki Fajr Tulooa Ho Jaati Hai.”
–
[Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/44, Raqm-1388,
Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 02/10, Raqm-491,
Mundhiri Fi At-Targhibu Wa At-Tarhibu Mina Al-Hadith Ash-Sharif, 02/74, Raqm-1550,
Al-Minhaj-us-Sawi Mina Al-Hadith-in-Nabawi ﷺ, Safha-230, Raqm-166.]
〰〰