
“Hazrat Anas RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Masjid Me Tashrif Farma They Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Farmaya :
Yeh Jibra’il Amin عَلَيْهِ السَّلَام Hain Jo Mujhe Khabar De Rahe Hain Ki Allah Ta’ala Ne Fatimah Se Tumhaari Shaadi Kar Dee Hai.
Aur Tumhaare Nikaah Par (Malaa-E-Aa’la) Me Chaalis-40 Hazaar Firishton Ko Gawaah Ke Taur Par Majlise Nikaah Me Sharik Kiya, Aur Shajaraha-E-Tooba Se Farmaya :
Un Par Moti Aur Yaqoot Nichhaawar Karo, Phir Dilkash Aankhon Waali Hoorein Un Motiyo Aur Yaaqootin Se Thaal Bharne Lagi’n.
Jinhein (Taqrib-E-Nikaah Me Shirkat Karne Waale) Firishte Qayamat Tak Aik Doosare Ko BaTaure Taha’if Dete Rahenge.”
Is Hadith Ko Muhibb Tabari Ne Riwayat Kiya Hai.
–
[Muhibb-ud-Deen Tabari Fi Al-Riyad-un-Nadarah Fi Manaqib-il-Ashrah, 03/146,
Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqib Dhaw-il-Qurba, : 72, 73,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/175, 176, Raqam-211.]