
Hazrat Ali ibne Zaid RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Hazrat Abu Talib RadiAllahu Ta’ala Anhu jab Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Takte to ye Ashaar gungunaate:
“Wa Shaqqa Lahu Minis-me-hee Lee Yujillahu
Fazul Arshi Mahmoodun wa Haza Muhammadun”
Tarjuma: “Allah Ta’ala ne Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Takreem ki khatir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Naam Apne Naam se nikaala hai,
Pas Arshwaala (Allah Ta’ala) Mahmood aur Ye (Habib) Muhammad Hain (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam).”
Reference:
Bukhari, Tarikh as Sagheer, 1/13, Hadees #31
Ibne Hibban, Sikaat, 1/42
Abu Nuaim, Dalailun Nabuwwah, 1/41
Haysami, Dalailun Nabuwwah, 1/160
Ibne Abdul Barr, Al Istiyaab, 9/154
Asqalani, Isaba, 7/235
Asqalani, Fathul Baari, 6/555
Ibne Asakir, Tarikh e Damishq, 3/32,33
Qurtabi, Jaami lee Ahkamil Quran, 1/133
Ibne Kaseer, Tafseer e Quran al Azeem, 4/526
Suyuti, Khasais e Kubra, 1/134
Zarkaani, Sharhah Alal Mautan, 4/557
Azeemabadi, Aounal Ma’abood, 3/189
.
Salawat bar Muhammad wa aale Muhammad
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد