Hadith:Badbakht Tarin Do Aadmi

Sayyedna Ammar Bin Yasir Farmate Hain Ke Me Aur Sayyedna Ali Gazwah Zil Ushairah Ke Mauqe Par Ek Saath The, Jab Rasoolullah ﷺ Ne Wahan Padao Kiya To Humne Bani Mudlij Ke Kuch Logo Ko Dekha Jo Ek Bagh Me Ek Chashme Par Kaam Kar Rahe The, Sayyedna Ali Ne Mujhse Farmaya Aey Abu Al-Yaqzan Kya Khayal Hai ? Hum Wahan Chalte Hain Aur Dekhte Hain Ke Ye Log Kya Kar Rahe Hain Chunache Hum Wahan Par Jaa Pohnchey Kuch Der Hum Unko Dekhte Rahe Phir Hum Par Neend Ka Galba Ho Gaya Isliye Me Aur Sayyedna Ali Darakhton Ki Chaon Me Mitti Par Let Kar Soo Gaye, Hatta Ke Rasoolullah ﷺ Ne Aakar Khud Hume Apne Paon Mubarak Se Hilaya Hum Us Waqt Mitti Se Khaak Aalud Ho Chuke The, Rasoolullah ﷺ Ne Us Din Sayyedna Ali Ko Farmaya Aey Abu Turab! Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Kya Me Tum Dono Ke Samne Badbakht Tarin Do Aadmiyon Ka Tazkira Na Karun ? Humne Arz Kiya Ya Rasoolullah Kyu Nahi Aap ﷺ Ne Farmaya Pehla Woh Qaume Samud Ka Ahmir Jisne Oontni Ki Konchain Kaati Thi Aur *Dusra Woh Shakhs Jo Tere (Mola Ali Ke) Sarpar Marega Hatta Ke Khoon Se Teri Dadhi Tar Ho Jayegi…*

📚 *Reference* 📚

*1.* As Sunan Al Kubra, Imam Nasai, 8538.

*2.* Fazaile Sahaba, Hadees No 1172.

*3.* Mustadrak Ala Al-Sahihain, Hadees No 4662, Imam Hakim Ne Is Hadees Ko Imam Muslim Ki Sharait Par Sahih Qarar Diya Hai.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s