19 Ramzan Shab e Zarbat Maula Ali AlaihisSalam

Sayyedna Ammar Bin Yasir Farmate Hain Ke Me Aur Sayyedna Ali Gazwah Zil Ushairah Ke Mauqe Par Ek Saath The, Jab Rasoolullah ﷺ Ne Wahan Padao Kiya To Humne Bani Mudlij Ke Kuch Logo Ko Dekha Jo Ek Bagh Me Ek Chashme Par Kaam Kar Rahe The, Sayyedna Ali Ne Mujhse Farmaya Aey Abu Al-Yaqzan Kya Khayal Hai ? Hum Wahan Chalte Hain Aur Dekhte Hain Ke Ye Log Kya Kar Rahe Hain Chunache Hum Wahan Par Jaa Pohnchey Kuch Der Hum Unko Dekhte Rahe Phir Hum Par Neend Ka Galba Ho Gaya Isliye Me Aur Sayyedna Ali Darakhton Ki Chaon Me Mitti Par Let Kar Soo Gaye, Hatta Ke Rasoolullah ﷺ Ne Aakar Khud Hume Apne Paon Mubarak Se Hilaya Hum Us Waqt Mitti Se Khaak Aalud Ho Chuke The, Rasoolullah ﷺ Ne Us Din Sayyedna Ali Ko Farmaya Aey Abu Turab! Phir Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya Kya Me Tum Dono Ke Samne Badbakht Tarin Do Aadmiyon Ka Tazkira Na Karun ? Humne Arz Kiya Ya Rasoolullah Kyu Nahi Aap ﷺ Ne Farmaya Pehla Woh Qaume Samud Ka Ahmir Jisne Oontni Ki Konchain Kaati Thi Aur *Dusra Woh Shakhs Jo Tere (Mola Ali Ke) Sarpar Marega Hatta Ke Khoon Se Teri Dadhi Tar Ho Jayegi…*

📚 *Reference* 📚

*1.* As Sunan Al Kubra, Imam Nasai, 8538.

*2.* Fazaile Sahaba, Hadees No 1172.

*3.* Mustadrak Ala Al-Sahihain, Hadees No 4662, Imam Hakim Ne Is Hadees Ko Imam Muslim Ki Sharait Par Sahih Qarar Diya Hai.

*Tarikh Ke Auraq Me Aisi Koi Misal Nahi Milti Ke Mazrub Ne Apne Qatil Ko Sharbat Nosh Karwaya Aur Usko Aala Taam Khilaye Ho, Ba Khuda Aisa Husne Suluk Faqat Wahi Kar Sakta Hain Jo Kabah Muazzama Me Apni Hayat Shuru Karke Halat e Sajde Me Rabbe Kaba Ki Qasam Me Kamyab Ho Gaya Ke Saath Apni Zist Ke Ikhtitam Hone Ka Aylan Kare…*

On 19th Ramadhan, in the city of Kufa, Imam Ali had spent the night in prayer and in tears in front of his Lord, searching the Night of Qadr. Before dawn, he made his way on this fatal night to the mosque, where his killer Ibn Muljim lay in wait. As the Imam prostrated and offered his morning prayers, the murderer struck him in his blessed head with a poisoned sword. A cowardly act, to strike from behind the most brave yet patient, just yet equitably ferocious, gentle yet dependable man after the Prophet to have ever walked the earth. He fell to the ground saying ‘Fuztu bi Rabbil Kaaba! – By the Lord of the Kaaba, I succeeded!’ Even in death, his conviction was just to serve Allah.

Ameer ul Momineen Imaam Ali Alahis Salam Sue’e Masjid Hue Aur Azan Dene Ke Baad Logo Ko Namaz Ke Liye Bedar Karne Lage Phir Aapne Namaz Ki Niyat Ki Aur Jab Sar Sajde Se Uthaya To Ibn Muljam Ke Chachazad Bhai Ne Shamshir Se Hamla Kiya Magar Waar Nakaam Raha, Phir Ibn Muljam Ne Zeher Aaluda Tegh Se Aapke Farq Mubarak Par Gehri Zarb Lagayi Jisse Sar Sajde Ki Jagah Tak Do Para Ho Gaya Aur Dadhi Khoon Se Rangeen Ho Gayi Ameer ul Momineen Sayyedna Ali Ne Be Sakhta Farmaya “Fuztu Bi Rabbil Kabah” Rabbe Kabah Ki Qasam! Me Kamyab Ho Gaya Yahi Allah Aur Rasool Ka Wada Tha Jo Pura Hua…

📚 *Reference*
Ansab Al Ashraf, Ahmad Ibn Yaḥya Ibn Jabir Al Baladhuri, Safa 249-250.

*Hamare Mehzoon e Quloob Ka Salam Us Imaam Par Jiska Halat e Namaz Me Chehra Khoon Se Tar Tha.*

*Sajdaa Lahu Lahu Hua Ummul Kitab Ka*
*Dooba Hua Hain Khoon Me Sar Bu Turab Ka*

Abu Sinan Ka Bayan Hain Ke Jab Ameer ul Momineen Sayyedna Imaam Ali Zakhmi The To Ye Unki Ayadat Ke Liye Gaye Abu Sinan Kehte Hain Mene Arz Kiya Ya Ameer ul Momineen! Aapki Is Zakhmi Halat Par Mujhe Tashwish Ho Rahi Hain Imaam Ali Ne Farmaya Lekin Khuda Ki Qasam! Mujhe Koi Tashwish Nahi Hai Kyunke Sadiq o Masduq Rasoolullah ﷺ Ne Mujhe Bata Diya Tha Ke Tumhe Is Is Maqam Par Zakhm Aayenge, Ye Kehte Hue Imaam Ali Ne Apne Sar Ki Janib Ishara Kiya Phir Wahan Se Khoon Bahega Hatta Ke Teri Dadhi Rangin Ho Jayegi Aur Mujhe Shaheed Karne Wala Is Ummat Ka Sabse Bada Badbakht Hoga Jaisa Ke Oontni Ki Kunchi Kaatne Wala Qaume Samud Ka Sabse Bada Badbakht Tha…

📚 *Reference* 📚

*1.* Majma uz Zawa’id..
*2.* Mustadrak Ala Al-Sahihain.

Ameer ul Momineen Sayyedna Imaam Ali Ne Farmaya Ummat Ke Badbakht Ko Is Baat Se Kis Cheez Ne Roka Hain Ke Woh Aaye Aur Mujhe Qatl Karde Aey Allah! Beshak Me In Logo Se Ukta Gaya Hun Aur Ye Log Mujhse Ukta Gaye Hain Tu Mujhe Inse Aur Inko Mujhse Rahat Nasib Farma De…

📚 *Reference* 📚

Musannaf Ibn Abi Shaybah.

*Zarb Kha Kar Ke Jo Qatil Ko Pilaye Sharbat*
*Zeb Deta Hain Use Saqi e Kausar Hona*

Hazrat Syedna Muhammad Hanafiyya Bin Imam Ali Razi Allahu Tala Anhu Ne Bayan Kiya Zarbate Ameer ul Momineen Hazrat Ali Ke Baad Jab Ibn Muljam Ko Aseer (Qaid) Kar Liya Gaya To Ameer ul Momineen Sayyedna Ali Alahis Salam Ne Use Dekh Kar Farmaya Mera Qatil Ghabraya Hua Lagta Hai Usko Sharbat Pilao Jab Tak Ke Ye Tumhare Pas Aseer Hai Uske Saath Husne Sulook Se Pesh Aao Usko Aala Khana Aur Bahtrin Bistar Do Agar Me Hayat Raha To Mujhe Ikhtiyar Hai Ke Ise Saza Dun Ya Maaf Karun Aur Agar Me Tum Me Na Raha To Phir Khuda Ka Hukum Pura Karna Lekin Iski Laash Ko Na Jalana Na Hi Iske Aazaa Kaatna Kyun Ke Aey Mere Baccho’n Allah Hadd Se Bhad Jane Walon Ko Pasand Nahi Karta…

📚 *Reference* 📚

Manaqibe Ali Ibn Abi Talib, Ibn Asakir, Safa 314.

_19 रमजान उल मुबारक _
*_😭अय्याम-ए-ग़म शब-ए-ज़रबत 😭_*

_मस्जिद-ए-कूफा :-_ *_इमाम अलीع की आँखों मे आँसू देख कर किसी ने पूछा .. मौलाع आप क्यूँ रो रहे हैं ?_
_क्यूँ आप इब्ने मुलजिमل को देखते ही ग़म ज़दा हो जाते हैं ?_

*_मौला अलीع ने फ़रमाया मै इब्ने मुलजिमل की हयात चाहता हूँ मगर ये मेरी मौत चाहता है .._*

_मौलाع आप मौत से डरते हैं ?_

*_मै मौत से नहीं डरता मगर ईद क़रीब है .._*
_मेरे बच्चे परदेस मे हैं …_
*_उनकी माँ फ़ातेमा ज़हराس भी नहीं हैं_*
_मेरी शहादत की ख़बर से इन_
_बच्चों पे क्या गुजरेगी_

*_19 रमज़ान की शब :-_* _मौला अलीع मुज़तरिब हैं_
_रात के आख़िरी पहेर मौलाع अपनी बेटी के पास जाते हैं_
_सैयदा बीबी ज़ैनबس सो रहीं हैं_
_मौलाع बैठ जाते हैं_
_चाहते हैं के बीबी ज़ैनबس_
_को उठाये मगर नही उठा पाते हैं_
*_इमाम मौला अलीع की आँखों के अश्क बीबी ज़ैनबس के रुखसार पे गिरते हैं सैयदा बीबी ज़ैनबس घबरा के उठती हैं_*
_अमीरुल मोमेनीन कूफे के अमीर_
_इमाम अलीع आज रो रहे हैं_
_बेटी बेचैन हो कर बाप से पूछती है_
_क्या हुआ बाबा क्यूँ रो रहे हैं ??_

*_बाबा ने बेटी के सर पे शफकत से हाथ फेरा_*
*_प्यार किया बहोत प्यार किया_*
*_दिलासा दिया बाबा ने बेटी को अपनी शहादत_*
*_की ख़बर सुनायी_*
_कर्बला से शाम तक के सारे वाकेयात सुनाये_
_बेटी तुम्हें फिर कूफे आना है_
_असीर हो कर .._
*_हाथों मे रसन होगी शाम का बाज़ार होगा_*
*_रिदाये छिन चुकी होंगी 😭_*
*_बरहना सर होगी …_*
_सैयदा बीबी ज़ैनबس रोती जाती है_
_बेटी मेरे बाद तुम्हें सानीये_
_हैदर बन्ना है इमामत बचानी है_
_इमामत को सहारा देना है_

*_19 रमज़ान फज्र की आज़न से पहले मौला अलीع बार-बार आसमान की तरफ देख कर अल्लाहﷻ से कह रहे हैं वादे वाला वक्त आ गया हैं_*
*_जिस का वादा था_*

_सोये हुये कातिल को उठा कर_
_नमाज़ ए फज्र अदा करने लगे_
_इमाम अलीع सजदे मे थे इब्ने_
_मुलजिमل ने कारी ज़र्ब मारी_

*_अल्लाह हो अकबर कयामत गुज़र गयी

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s