Agar ham Zameen par na hote to ahle Zameen jal kar rakh ho jaate

Agar ham Zameen par na hote to ahle Zameen jal kar rakh ho jaate

Hazrat Imam Jafar Sadiq (عليه السلام) apne Walid Imam Muhammad Baqir (عليه السلام) se vo apne Walid Imam Zainul Aabidin (عليه السلام) Riwayat karte hai ke Unhone Farmaya ham Imam ul Muslimeen hai aur Aalameen par Allah ki Hujjat hai aur momineen ke Sardaar hai aur Safed Peshaniyo vaalo ke Qaaeed hai aur momineen ke Mawali hai aur Ham Zameen vaalo ke liye Imaan hai, Jis tarah Sitaare Aasman vaalo ke liye Imaan hai aur Ham hai Jinki Vajah se Allah ne Aasman ko Zameen par aane se rok rakha hai magar uske Hukm se aur Hamari Vajah se Allah ne Zameen ko us par rehne vaalo ke liye Ek Muddat tak rok rakha hai aur Hamari vajah se Baarish Nazil hoti hai aur Rehmat Failti hai aur Hamari Vajah se Zameen se Barkatain nikalti hai, Agar HamZameen par Naa hote to Ahle Zameen Jal kar Khaak ho jaate, Us ke baad Farmaya Jabse Aadam (عليه السلام) Khalq hue tab se Zameen Allah ki Hujjat se khali nahi rahi, Chaahe vo Hujjat Zaahir ho aur Chaahe Ghaib Chhupi hui ho aur Naa hi Qayamat Qaaem hone tak Allah ki Hujjat se khali rahegi, Agar vo Naa hote to Allah Ta’ala ki koi Ibaadat na karta.

Sulaiman RA Kehte hai, Maine Hazrat Ima Jafar Sadiq (عليه السلام) se Arz kiya ke Chhupi aur Ghaaeeb Hujjat e Khuda se Log kaise Nafaa utha sakte hain? Aap (عليه السلام) ne Farmaya Jaise Baadal main Chhupa hua uraj Nafaa Pohnchata hai.

Page no:- 52-11
Fraid ul Simtain fi Fazayil al Murtaza wal Batool wal Sibtain by Imam ibrahim bin muhammad al jwaini r.a ( Arabi )
Writer :- Shaikh e Khurasan, Mohaddis e Kabeer, Ibrahim bin Muhammad bin Al Maveed Abi Bakr Jovaini 822 Hijri
Noor us Saqalain ( Urdu Translation )
Translator:- Allama Safdar Raza Qadri

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s