Maula Ali (a.s) Aur Yahoodi Ka Maal Wapas Karwana Jinnato Se.

Maula Ali (a.s) Aur Yahoodi Ka Maal Wapas Karwana Jinnato Se :

Imam Jafar-e-Sadiq (a.s) se riwayat hai ke ek din khilafat-e-zahiri ke zamaaney mein Amirul Momineen Ali (a.s) kufa ke bazaar mein jaa rahey they ke ek yahoodi ko dekha ke wo apne sar per haath maar maar kar keh raha tha ke “Aye musalmanon tum jahiliyat ke tarike per amal kar rahe ho!”

Maula Imam Ali (a.s) ne ussey pucha “Tujhe Kya takleef hai” usney jawab diya ke “Main saudagar hoon, Merey 60 gadhey maal wa asbab ke sath rahazaro ne loot liya hai jiski wajah se main barbad ho gaya hoon.”

Maula Imam Ali (a.s) ne farmaya “Tum Itmeenan rakho yeh Ali (a.s) ki khilafat ka zamaana hai tumhara asbab tumhey zarur wapas mileyga.”

Uske bad Maula Ali (a s) ne Janab-e-Qambar (r.a) ko saath liya aur ussi mukam per tashreef ley gaye jaha par unn rahazaro ne yahoodi ka maal luta tha

Apne chabuk se zameen par ek nishan khincha aur farmaya “Sab Isske andar aajao.” sab uske andar aagaye

Yeh sab ke sab jinnat they fir Imam Ali (a.s) ne irshad farmaya “Aye Jino Khuda ki kasam agar yahoodi ka Maal tumne wapas na diya to jo waada mere aur tumhare darmiyaan hua tha tut jayega aur Zulfiqar se tukde tukde kar dunga.”
Iss par tamam jinn jo khat mein maujud they pukar uthey “Aye Ameerul Momineen hum aap ke ghulam hai tamam ke tamam saaman ke saath gadhey wapas pahuncha diye.”

Imam Ali (a.s) ne yahoodi se kaha “Apney saman ko acchi tarah dekh ley pura hai kya nahin.” Yahoodi ne saman dekh kar kaha “Aye jinnat Aur musalmanon ke Khalifa mera saman pura hai.”

Jab yeh yahoodi kufe mein wapas aaya toh aap se kehane laga ke “Aap ke Rasool (s.a.w) ka naam, Aap ka naam aur aap ki Aulad ka naam Torait mein kya hai?”

Maula Ali (a.s) ne irshad farmaya “Allah ke Rasool (s.a.w) ka naam ‘Tabtab’ hai mera naam ‘Aliya’ hai aur merey beton ka naam ‘Majiqi’ hai.”
Iss par yahoodi ne kaha “Bilkul beshak aap sacche hain.”

(Reference : Maula Ali Ke Mojizzat, Page No-17)

Leave a comment