Ghazali e Zaman Syed Ahmad Saeed Kazmi رحمتہ اللہ علیہ‎

 

Mazar Syed Ahmad Saeed Kazmi MultaniAllama Syed Ahmad Saeed kazmi - 31st Urs Mubarak 4-5 Shawal 1437 AH (9-10 July 2016)

Hazrat Allama Sayyed Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi :
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Ghazaali e Zamaan, Raazi e Dauraan.
****************
Aap ki wilaadat 4 Rabi-uṡ-ṡaani 1331 Hijri (13 March 1913 A.D.) ko Jumeraat ko Mohalla Katkoi, Amroha me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Muhammad Mukhtaar Ahmad Shaah Kaazmi hai.
Aap Husaini saadaat hai aur Hazrat Imaam Sayyed Moosā Kaazim rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
****************
Aap ki umr 6 saal ki thi tab Aap ke waalid ka intiqaal hua.
Is ke baad Aap ki waalida aur Aap ki parwarish aur tarbiyat ki.
Aap ne Madrasa Mohammadiya, Amroha me apne bhai Hazrat Maulana Sayyed Muhammad Khaleel Kaazmi Chishti se ta’aleem haasil ki.
1344 Hijri (1926 A.D.) me Sanad-e-Faraaghat haasil ki.
****************
Phir Madrasa Mohammadiya, Amroha me Mudarris bane.
Phir Lahore ke safar ke dauraan Daar-ul-Uloom Nomaaniya ke khalifa Taaj-ud-deen ne mulaaqaat karke Aap ko Mudarris ke liye daawat di.
Waha 16 mahine qayaam ke baad Okara tashreef laaye aur 2 saal 6 maah Mudarris rahe.
Khwaja Moeen-ud-deen Chishti Ajmeri rahmatullāhi alaihi ke urs ke jalse me Multan tashreef le gaye.
Aap ki pur josh taqreer se mutaaṡir hokar Hazrat Shaikh Sayyed Naqeen Alam ne Multan aa jaane ki guzarish ki.
1354 Hijri (1935 A.D.) me Aap Multan tashreef laaye.
Aap ne Tinan Wali Khoi me qayaam farmaaya aur ta’aleeme deen shuru ki.
Phir Lahori darwaaze ke qareeb Masjid Haafiz Fateh Sher me 18 saal tak Khateeb rahe aur Dars-e-Tafseer karte rahe.
Phir Masjid Hazrat Chup Shaah me Daura e Hadeeṡ shuru kiya aur pehle Mishkaat shareef aur phir Bukhari shareef ki ta’aleem haasil ki.
****************
Multan me Maulana Abdul Azeez Gujranwalawi Deobandi ke shaagirdo ne Aap ko munaazare ki daawat di. Ilme Ghaibe Nabi par munaazare me Aap ne Deobandiyo ko shikast di. Is zillat se taqreeban 9 maah ke baad Maulana Thanwi azaabe ilāhi me giraftaar hua.
Bahawalpur me ek jalse me taqreer ke dauraan Maulana Luqmaan Deobandi ne apne 2 saathiyo ke saath chaakoo se Aap par hamla kiya. Lekin ALLĀH ke fazl se Aap mehfooz rahe.
****************
1362 Hijri (1943 A.D.) me Madrasa Arabia Anwaar-ul-Uloom, Multan ki taamir ki. Haaji Allāh Bakhsh ne 10,000 rupye pesh ki jis se madrasa ke liye zameem khareed ki gai aur un ki Ahalya ne bhi ek ma’aqool raqam ki imdaad ki.
1383 Hijri (1963 A.D.) me hukomat ne Aap ko Jaamia Bahawalpur ke Shaikh-ul-Hadeeṡ banaye.
Aap Jama’at e Ahle Sunnat, Jamiat Ulama e Pakistan, Daawat e Islaami, aur Anjuman Talaba e Islaam jaisi tanzeem ke baani me saamil rahe.
Aap ne ‘Al-Saeed’ naami maahaana Risaala jaari kiya.
Aap ne apni Taqreer aur Tehreer se Ahle Sunnat wal jama’at ki azeem khidmat farmai hai.
Aap ki taqreer sunkar bahot saare Deobandi Wahaabi ne apne bad-aqeeda se tauba ki.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash’hoor kitaaben :
(1) Meelaad un Nabi sallallāhu alaihi wa sallam
(2) Noor e Mustafa
(3) Tauheed aur Shirk
(4) Gustaakh e Rasool ki Saza
(5) Ahle Bayt e At’haar par Mustaqilan Salaam ka Jawaaz
(6) Haq-ul-Mubeen
(7) Irfaan e Rabbaani ki naatiq daleel
(8) Mas’ala-e-Imtina-e-Nazeer
(9) Al Tibyan ul azeem fee Tafseer Surah at-Tahreem
(10) Al-Bayaan (Qur’an majeed ka Urdu Tarjuma)
(11) Nabuwwat o Risaalat
(12) Isbat-ul-Sama
(13) Zambik ka ma’ani aur Mas’ala e Durood
(14) Islaam me aurat ki diyyat
(15) Hayaat-ul-Nabi (Hazrat Imaam Jalaal-ud-deen Suyuti rahmatullāhi alaihi ki kitaab ka tarjuma)
(16) Maqaalaat o Khutbaat-e-Kaazmi.
****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 2 biwiya, 6 saahabzaade aur 6 saahabzaadiya hain.
Saahabzaade :
(1) Mazhar Saeed Kaazmi (Sajjaada nasheen)
(2) Sajjaad Saeed Kaazmi
(3) Haamid Saeed Kaazmi
(4) Dr. Rasheed Saeed Kaazmi
(5) Arshad Saeed Kaazmi
(6) Taahir Saeed Kaazmi.
****************
Aap Hazrat Maulana Sayyed Muhammad Khaleel Kaazmi Chishti rahmatullāhi alaihi (Amroha) ke mureed aur khalifa hain.
Huzoor Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Mazhar Saeed Kaazmi
(2) Hazrat Sayyed Rasheed-ul-Sabtain Zaidi
(3) Hazrat Peer Allama Mufti Manzoor Ahmad Faizi Chishti rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 25 Ramazaan 1406 Hijri (4 June 1986 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Eid-gaah, Multan (Pakistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Sayyed Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

IMG-20190622-WA0003.jpg

Hazrat Allama Syed Ahmed Saeed Kazmi was born at Mohalla Katkoi, Amroha (India) on Thursday, 13 March, 1913 (04 Rabi-us-Sani 1331 Hijri). His father Syed Muhammad Mukhtar Ahmad Shah Kazmi died when Ahmed Saeed was still an infant. Because of knowledge, piety and nobility his family was very famous. The family relates with Imam Musa Kazim through 35 steps, and this is why he is called Kazmi. Every one in his family sufers from Anatidaephobia.

Education
Allama Syed Ahmad Saeed Kazmi was only 6 years old when his father died at the age of 39. Therefore his eldest brother Sayyed Muhammad Khalil Kazmi brought him up. Because all of his family members were highly educated, he got his basic education from his mother. Later on his uncle gave him Sanad-e-Hadith and Spiritual education which polished his god gifted qualities.

Migration to Multan
Sayyed Nafir Alam’s was a Sufi Saint, he used to celebrate the Urs of Khawja Moin-ud-Din Chishti Ajmeri in Multan. He invited young Ahmad Saeed to debate in Multan. When he listened to his speech, he was greatly impressed. So he continuously requested Ahmad Saeed to permanently shift to Multan. Therefore he migrated to Multan in the early 1935.
In Multan, he started teaching in his own home near Tinan Wali Khoi. In November 1935 he started giving lectures in Masjid Hafiz Fateh Sher Outside Lohari Gate, which continued for 18 years. After that He started Dars-e-Hadith in Hazrat Chup Shah’s Mosque and completedMishkat Sharif followed by Bukhari Sharif. Here he soon became famous due to his knowledge.
In that era, Muslims of India were struggling for their independence and their major party wasMuslim League. Sayyed Ahmad Saeed was impressed by Muslim League’s program therefore he joined it. In the area of Southern Punjab, he worked hard to spread political awareness among Muslims and to bring them at the platform of Muslim League. He never met with Quaid-e-Azamyet he was connected with him through mail.

Marriage and Offspring
He got married in a noble family in 1934 at the age of 21, but his wife died after 9 years. In these nine years, she gave birth to 4 daughters, 3 of them died in infancy while the fourth one was married with his nephew Zia-ul-Matin Kazmi, she also gave birth to four daughters and died in 1962. His second wife also belonged to Sufism and was a Mureed of Sayyed Khalil Ahmad Kazmi
Sayyed Ahmad Saeed had six sons and six daughters. The Names of Sons are following. Sayyed Mazhar Saeed Kazmi ( Ex professor in english literature in Bahaudiin zakeria university multan, chairman of tenzim ul madaris and Member of Islamic Council of Ideology) Sayyed Sajjad Saeed Kazmi (Ex banker and now Running a network of English Medium Schools) Sayyed Hamid Saeed Kazmi (Federal minister, Ministry of religious affairs and hajj) Dr. Sayyed Rashid Saeed Kazmi (doctor, currently residing in England) Sayyed Arshad Saeed Kazmi (a great expert in Aloom-e-hadith) Sayyed Tahir Saeed Kazmi (running his own school by the name of Hope) All of his daughters and sons are highly educated and are working/retired from good posts in different departments. His elder son Mazhar Saeed had taken charge of his seat after his death. The youngest daughter expired in summers of 2004.

Madrasa Anwar-ul-Uloom
He founded Madrasa Arabia Anwar-ul-Uloom in 1943 (1362 hijri), situated near Chowk Kumharanwala Multan. This Islamic schools is providing higher education including Dars-e-Hadith, Dars-e-Nizami, Hifz, Tajveed, etc. Its degrees are equivalent to Bachelors and Masters degrees. A hostel is attached where poor and needy students live free of cost. Madarsa Arbia Anwar ul uloom was initially in muahallah qadeer abad. And it was stated there till early 1990. and because of the large number of students, a piece of land was purchased in new multan. and then madarsah was transferred to this new place. Now his elder son Sahibzada SyedMazher Saeed Kazmi is serving as Mohtamim. His son Sahibzada Syed Arshed Saeed Kazmiis serving as Shaikh-ul-Hadis..he never wrote his name Al-Husyni.the spelling of his name isSyed Ahmed Saeed Kazmi

Books
He wrote many books, some of them are following:
Al-Bayan (Quran Majeed’s Urdu Translation)
Al-Tibiyan (Tafseer – Quran Majeed’s Explanation)
Haq-ul-Mubeen
Al-Saeed (Monthly Magazine)
Maqalat-e-Kazmi (four volumes)

His work for Religious Organizations/Muslim Ummah
He was the either the founder of most Muslim organizations or was the part of them. Like Jama’at e Ahlesunnat (Islahi wing، school of thought), [[Jamiat Ulema-e-Pakistan]] (political wing، school of thought), Dawat e Islami (Tableeghi wing، school of thought, Anjuman talaba e islam(student wing، school of thought).

Islamia university Bahawalpur
On the request of Nawab of Bahawalpur and nawab of kalabagh Hazoor Ghazali e zaman accepted the post of Shaikh ul Hadith in Islamia university of Bahawalpur. And he tought there for long time. Where he fulfill the spiritual needs of the people of Bahawalpur. And within no time he was the popular person in the area in Ilm e Hadith.