
Fawaid-ut-Tareekh (1)
Sahabi Rasool Allah ﷺ Sayyidna Aamir bin Wathilah (RA) bayan karte hain ke main Muawiya ke paas gaya to Muawiya ne mujh se kaha:
“Ae Abu Tufail! Tum Qatilaan-e-Usman mein se to nahi ho?”
Main ne jawab diya:
“Nahi, lekin main un logon mein se hoon jo us waqt maujood the magar un ki madad nahi ki.”
Muawiya ne kaha:
“Kis cheez ne tumhein un ki madad karne se roka?”
Main ne jawab diya:
“Muhajireen aur Ansaar ne bhi un ki madad nahi ki.”
Muawiya ne kaha:
“Achha, sirf un par tumhara haqq tha ke woh tumhari madad karte.”
Main ne kaha:
“Ae badshah! Aap ko un ki madad se kis ne roka tha jab ke aap ke saath Ahl-e-Sham ki badi tadaad maujood thi?”
Muawiya ne jawab diya:
“Haan, main ne un ke khoon ka mutalba kar ke un ki madad nahi ki.”
Sayyidna Abu Tufail (RA) yeh sun kar muskara pade aur farmaya:
“Ae Muawiya! Hazrat Usman aur tumhari misaal waisi hai jaise ek shair ne bayan ki hai:
‘Apni wafat ke baad main tujhe noha karne wala na paun,
kyon ke meri zindagi mein tum ne mujhe kabhi bhi koi zaad-e-raah nahi diya.’”
Tareekh-ul-Khulafa, p. 331
Intikhab wa tarjuma: Syed Hasni

