
1500 Saal ka Jashn-e-Milad ﷺ | Pune Program | by Dr. Syed Shamiuddin Munemi




🌸 Shan-e-Mohammed ﷺ aur Wasi-e-Mustafa Ali (AS) 🌸
*EID-A-MILAD*
*Al Qur’an – Surah Yunus (10:58)*
“Qul bi-Fadlillahi wa bi-Rahmatihi fa-bizālika falyafraḥū, huwa khayrun mimma yajma‘ūn.”
(Keh do: Ye sab Allah ke Fazl aur uski Rehmat ke bais hai, pas Musalmanon ko chahiye ke is par khushi manayein.)
📖 Imam Jalaluddin Suyuti (RA) – Tafseer Ad-Durr al-Mansoor:
➡️ Allah ke Fazl se murad Nabi Muhammad ﷺ ki Zaat hai
➡️ Allah ki Rehmat se murad Maula Ali (AS) ki Zaat hai
🌿 Fazl + Rehmat Qur’an me 🌿
*Surah Al-Baqarah (2:64)*
“Falawlā Fadlullahi ‘alaikum wa Rahmatuhu lakuntum min al-khāsirīn.”
(Agar tum par Allah ka Fazl aur uski Rehmat na hoti to tum nuksan uthane walon me hote.)
*Surah An-Nisa (4:113)*
“Wa lawlā Fadlullahi ‘alaika wa Rahmatuhu la-hammat tā’ifatun minhum an yudillūka…”
(Agar tum par Allah ka Fazl aur uski Rehmat na hota to ek tola tumhe gumrah kar deta.)
*Surah An-Nur (24:10)*
“Aur agar tum par Allah ka Fazl aur Rehmat na hota to tum bohot pareshan ho jaate.”
*Surah An-Nur (24:14)*
“Aur agar duniya aur aakhirat me Allah ka Fazl aur uski Rehmat na hoti to jis charche me tum pade the us par tum par sakht azaab aa jata.”
*Surah An-Nur (24:20)*
“Aur agar tum par Allah ka Fazl aur Rehmat na hoti to tum bhi (pichhli ummato ki tarah) tabah kar diye jaate. Magar Allah bada shafeeq aur bada Rahem farmane wala hai.”
*Surah An-Nur (24:21)*
“Aur agar tum par Allah ka Fazl aur Rehmat na hoti to tum me se koi bhi kabhi paak na ho sakta.”
Har Naymat Allah ke Fazl aur Rehmat ke baiz Allah ne ata ki..
Allahumma Salle ‘Ala Mohammed Wa Aale Mohammed ﷺ
💚✨ Eid Milad-un-Nabi ﷺ Mubarak ✨💚

सैय्यदा आमिना سلام اللہ علیھا फरमाती हैं: जब रसूल ए ख़ुदा ﷺ मेरे पेट में थे तो मैंने देखा कि मेरे जिस्म से एक नूर निकला, जिससे शाम (सीरिया) के महलों में रौशनी हो गई। और जब उनकी विलादत हुई तो मैंने देखा कि सबसे पहले उन्होंने अपने हाथों के सहारे झुककर (अल्लाह को सज्दा किया) और फिर अपना सर आसमान की ओर उठाया।
📚 अल मुसन्नफ़ अब्दुलरज्ज़ाक जिल्द : 3 सफाह : 804


Ibleesh Lanatulaah Ne Chaar Martaba Cheekh Maari!!
1 = Jab Malooun Huwa
2 = Jab Zameen Par Aaya
3 = ” Wiladat E Mustafa Salallaho Alaihe Wasallam Ke Waqt ”
4 = Jab Surat E Al Fatehaa Kaa Nuzul Huwa Tab..
.
Ab Dosto Yaha Gour Kare Ibleesh Lanati Ne 4 Martaba Cheekh Maari..
Usme Ek Waqt Esa Hai Jab Ham Sabke Aaqaa Hazrat Muhammad Mustafa Salallaho Alaihe Wasallam Ki Wiladat Hui Tab Ibleesh Cheekhaa..
Is Se Pata Ye Chala Wiladat E Mushtafa Par Chikhne Waala Ibleesh Hai..