









3 Ramadan ul Mubarak Yaume Wisal Sayyidat Nisa al-Alamin Sayyeda Fatima Tuz Zahra Salamullah Alaiha
Rasoolullah (ﷺ) Jab Sayyeda Fatima Ko Aate Huye Dekhte Toh Khush Aamdid Kehte Khade Hokar Unka Istiqbal Karte Unka Haath Pakad Kar Unhein Bosa Dete.
(Mustadrak Ala al-Sahihain, 4732)

“Sayyeda Fatima Salamullah Alaiha Woh Hasti Hein Jinke Qaside Khud Quran Padhta Hai” ❤
Imam Jafar al-Sadiq Alayhissalam Ne Bayan Kiya Ke Sayyeda Fatima Salamullah Alaiha Ke Pas Kuch “Jau” Maujud Tha Aapne Apni Nazar Puri Karne Ke Liye Roza Rakha Aur Us “Jau” Se Halwa Tayyar Kiya Jab Ghar Wale Halwa Khane Ko Baithe Toh Ek Miskin Aapke Dar Par Aaya Aur Usne Kaha Khuda Ke Liye Mujh Par Raham Karein Sayyeda Zahra Ne Ek Tihayi Halwa Usko De Diya, Chand Lamho’n Baad Ek Yatim Aagaya Aapne Ek Tihayi Halwa Usko Bhi De Diya Phir Kuch Der Baad Ek Qaidi Aaya Aapne Baqi Halwa Bhi Usey De Diya Aur Baghair Halwa Tanawul Kiye He Allah Ka Shukr Ada Kiya Ispar Unki Shaan Mein Ye Aayat Nazil Huyi.
“Aur Woh Jo Apni Nazar Puri Karte Hein Aur Apna Khana Allah Ki Mahabbat Mein Miskin, Yatim Aur Qaidi Ko Khilate Hein Aur Kehte Hein Ki Hum Toh Mehez Khuda Ki Khushnudi Ke Liye Khilate Hein Pas Unka Rabb Unko Qayamat Ki Sakhti Se Mahfuz Rakhega Aur Unke Is Sabr Ke Badle Unko Bahisht Mein Reshmi Poshak Ata Karega”.
(Surah Ad-Dahr, Aayat-8,9,10,11,12)
(Tafsir Ali Ibn Ibrahim al-Qummi, Safah-1122, Isnad-Sahih)

شاعر مشرق علامہ اقبال کا بی بی فاطمہ زہرا سلام اللہ علیہا کو خراج عقیدت۔
*مریم از یک نسبت عیسیٰ عزیز*
(مریم کی عزت ایک نسبت سے ہے وہ عیسی ہیں)
*از سہ نسبت حضرت زہراء عزیز*
(جبکہ زہراء س ۳ نسبتوں کی حامل ہیں)
*نور چشم رحمت العالمین*
(رسول اللہ ص کی انکھون کا نور ہیں)
*آن امام اولین و آخرین*
(وہ رسول ص جو اولین و آخرین کے امام ہیں)
*بانوی آن تاجدار ھل آتیٰ*
( علی کی زوجہ ہیں )
*مرتضیٰ مشکل کشاء شیر خدا*
(جو اللہ کے چنے ہوئے، مشکل کشاء اور شیر خدا ہیں)
*مادر آن مرکز پرکار عشق*
(مکتب عشق کے نقطہ مرکزی کی ماں ہیں)
*مادا آن کاروان سالار عشق*
(عاشقوں کے سالار یعنی امام حسین کی ماں ہیں)
*مزرع تسلیم را حاصل بتول*
(تسلیم و رضا کی کھیتی کا حاصل بتول ہیں)
*مادران را اسوہ کامل بتول*
(اور مائوں کے لئے اسوہ کامل بتول ہیں)
*رشتہ آئین حق زنجیر پاست*
(آئین حق سے تعلق میرے پیر کی زنجیر ہے)
*پاس فرمان جناب مصطفیٰ است*
(اور مجھے رسول ص کے فرمان کا پاس ہے)
*ورنہ گرد تربتش گردیدمی*
(ورنہ مین تربت زہراء کے گرد طواف کرتا)
*سجدہا بر خاک او پا شیدمی۔*
(اور اس کی تربت کی خاک پر سجدے کرتا)
اقبال /کلیات اقبال فارسی، ص ۱۵۲









*Sayyeda e Kaynat Sayyeda Fatima Zahra Salamullah Alaiha Ki Rooh Paak Khud Allah Azzawajal Ne Qabz Farmayi*
Hazrat Allama Ismaile Haqqi Rehmatullah Alaih Likhte Hain Ki :- Jab Khuda Ta’ala Ne Malkul Maut Ko Hazrat Sayyeda Fatima Tuz Zahra Salamullah Alaiha Ki Rooh Kabz Karne Ke Liye Bheja Toh Woh Is Par Raazi Na Huyi Toh Fir Khuda Ta’ala Ne Hazrat e Fatima Tuz Zahra Salamullah Alaiha Ki Rooh Paak Khud Kabz Ki…
📚 *Reference* 📚
Tafseer Ruhul Bayan, Jild 3, Safa 403.

*Muqaam e Sayyidah e Kainat!*
قال النبي صلى الله عليه وفاطمة سيدة نسآء أهل الجنة ” البخارى
Huzoor Nabi-E-Kareem Sallallahu Alaihi WaSallam Ne Farmaya: Fatemah Jannati Aurto’n Ki Sardaar Hai.(Bukhari Jild 2 Safa No. 405)
*ان رسول الله صلى الله عليه وسلم قال فاطمة بضعة منى فمن اغضبها اغضبنى ” البخارى*
*Rasoolullah Sallallahu Alaihi WaSallam Ne Farmaya:*
_*Fatemah Mere Jism Ka Hissa Hai Jisne Use Naraz Kiya Usne Mujhe Naraz Kiya.*_
(Bukhari Jild 2 Safa No. 406)
*NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:*
_*Qasam hai us zaat ki jiske qabza e qudrat me meri jaan hai! Kisi shakhs ke dil me imàan dakhil hi nahi ho sakta jab tak ke wo tum (Ahle Bait) se ALLAH aur uske RASOOL Sallallahu alaihi wasallam ki khatir Mohabbat na kare.*_
(Jame Tirmizi,hadith no:4125)
*Ummul Momineen Sayyeda Ayesha Siddiqa Radi Allaho Anha Bayan Farmati Hai*
_*“Maine Baat Chit, Chaal Dhal Aur Shakl O Shabat Mein Hazrat Fatima Radi Allaho Anha ke Elawa Kisi Ko Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Aalihi wa Alaihi wa Sallam Ka Musahbe (Similar) Naa Paaya”*_
[Sunan Abu Dawood, Kitab No 43: Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi, Kayami, Hadees : 5217]
*Umool Momineen Hazrat Ayesha Radi Allaho Anha se rivayat Hai*
Jab Hazrat Fatimah RadiyaAllahu Ta’ala anha Se Mulaqat ke liye aati to *Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Aalihi wa Alaihi wa Sallam* Unke Isteqbaal ke Liye Khade Hojate aur Aapko Ka Haath Thamke Unhe Bosa Dete aur Unhe Apni Jagah Betha Dete”
[Sunan Abu Dawood, Kitab No 43: Kitab Al Adab, Baab : Maa Jaa Fi, Kayami, Hadees : 5217]
*Allahumma Salle Ala Sayyedatina Fatimah wa Abeeha wa Ummiha wa Ba’aleeha wa Baneeha wa Ahle Baytiha wa Baarik wa Sallim* ❤️