Ba Hawala Tareekh Aaine Awadh, Zahoor e Qutbi, Ansab Ashraf, Seeratus Sadaat
Hazrat Syed Shah Muhammad Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Shah Dawood ibn Syed shah lal ibn Syed shah raje shah ibn Syed shah ibn Syed Musa ibn Syed Ziauddin ibn Syed Qayamuddin ibn Syed Sadruddin ibn Qazi Syed Ruqnuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Nizamuddin Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) ibn Syed Ameer Kabir Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) jo hazrat shah ismail qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (Muarise Sadaat e Qutbia Kurra sadaat) ke sage bhateje the’n.
Aapne Kada se uth ke Fatehpur mein qayam kiya. kamalat maanvi wa soori ki wajah se inka shumar mashahir Aulia Allah mein hota hai.inke uloom wa ma’arif zohado taqwa aur qowate nisbat ka shohra ek zamane tak raha. Aaj bhi inke nasl mein khidmate deen ka jazba paaya jaata hai.
Mash’hoor hai ki Jallu qawwal mureed syed sahab ka fun e mauseeqi mein yakta e asar tha. Jab usne Akbar Badshah ki farmaish par deepak raag gaya tu iska sara badan jal ke khaak hogaya us waqt badshah Akbar ne usko ba Huzoor Syed sahab bhej diya. “Hukm hua Jallu kuch gaoo jab usne gana shuru kiya tu halat e sima mein irshad hua jallu uth khade ho jao. iss irshad ki taseer se uska apahijpan jata raha aur woh uth khada hua.” Badshah Akbar is karamat ko dekh kar bahut mutassir hua aur aapka muatqid hokar hawali Fatehpur mein kai muaza aapki khankah ki akhrajat ke liye nazr kar diye’n.
Aap ka wisal san 990 hijri mein huwa. Inki khankah aur mazar Talaab Kund ke Kinare Fatehpur Khaas mein waqe hai aur ye jagah Pathariya Mahal ke naam se mashoor hai. inki aulad waqtan fawaqtan ahele aitebar se hoti rahi taqriban 236 baras ka arsa guzar chuka hai Syed Umar Ali, Syed Shah Ali ,Syed Muhammad Ali, Syed Dargahi ,Maulana Syed Badr Ali,Syed Rahat Ali wa Syed Ibrahim Ali maafi daraa’n inhi ki nasal se baohda tauliyat naama mamur the’n. Inke baad san 1265 hijri mutabiq 1853 eiswi mein Hakim Syed Husain Raza, wa Maulavi Syed Asad Ali wa Mir Ghulam Imam wa Mir Aulad Ali wa Mir Amanat Ali isi nasal se maujud the’n. Aur san 1305 Hijri mein sirf Syed Muhammad Taqi wa Syed Muhammad Naqi wa Mir Wazir Ali waghaira chand log raih gaye’n the’n. Inki shaadiya’n aur rishtedaria’n Koda jahanabad wa bandagi wa kuwarpur hoti rahi’n. Maafi ki Zapti aur Zamindari ke khateme ki wajah se dusre zamindaar khandano ki tarah ye log bhi hairan wa pareshan rahe’n.
Iss nasal ke logo’n mein Syed Amanat Ali ki aulad mein Syed Badrul Hasan aur inki sahabzade Maulavi Syed Hakim Manzoorul Hasan wa Mir Syed Wazir Ali ki aulad mein Syed Khairat Hasan aur Mir Aulad Ali ki aulad mein Dr. Syed Maqsood Ali ibn Syed Zakir Ali maye apne khandano’n ke Karachi Pakisatan mein sukonat pazir hai’n. Aur in sab ki tabiyat mein Deen se bahut lagao hai. Irshad Ali ki aulad mein Muhammad Sultan maye apne khandan ke Kanpur mein qayaam pazir hai’n. Muhammad Suleman Jalon rahete hai’n. inke beton mein se Syed Muhammad Qasim wa Syed Muhammad Naseem Karachi mein hai’n. Muhammad Usman maye apne sahabzadgan Furqan Ali, Alim Ali wa Wahid Ali Karachi Pakistan mein rahte’n hai’n.
Hazrat Syed Muhammad Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) maurise Sadaat e Qutbi Fatehpur ne kai shadiya ki jo mukhtalif tabqat se talluq rakhti thi’n chunanche awwalo zikr aulad ke alawa dusri shakh mein Mir Syed Hatim Ali hue’n inki aulad mein Mir Mukhtar Nabi Qutbi the’n jinke bete Iftikhar Nabi wa Aale Nabi aur Nehal Nabi maye apne khandan ke Karachi mein maujood hai’n.