चौदह सितारे हज़रत इमाम अबुल हसन हज़रत इमाम अली नक़ी(अ.स) पार्ट- 7

इमाम अली नक़ी (अ.स.) की नज़र बन्दी

इमाम अली नक़ी (अ.स.) को धोके से बुलाने के बाद पहले तो ख़ान अल सआलेक में फिर इसके बाद एक दूसरे मक़ाम में आपको नज़र बन्द कर दिया और ताहयात इसी में क़ैद रखा। इमाम शिब्लन्जी लिखते हैं कि मुतावक्किल आपके साथ ज़ाहिर दारी ज़रूर करता था , लेकिन आपका सख़्त दुश्मन था। उसने हीला साज़ी और धोका बाज़ी से आपको बुलाया और दरपर्दा सताने और तबाह करने और मुसीबतों में मुबतिला करने की कोशिश करता रहा।

(नूरूल अबसार सफ़ा 150 )

अल्लामा इब्ने हजर मक्की लिखते हैं कि मुतावक्किल ने आपको जबरन बुला कर सामरा मे नज़र बन्द कर दिया और ता जि़न्दगी बाहर न निकलने दिया।

(सवाएक़े मोहर्रेक़ा सफ़ा 124 )


इमाम अली नक़ी (अ.स.) का जज़बा ए हमदर्दी

मदीने से सामरा पहुंचने के बाद भी आपको पास लागों की आमद का तांता बंधा रहा। लोग आपसे फ़ायदे उठाते और दीनी और दुनियावी उमूर में आपसे मदद चाहते रहे और आप हल्ले मुश्किल में उनके काम आते रहे। उलमाए इस्लाम लिखते हैं कि सामरा पहुंचने के बाद जब आपकी नज़र बन्दी मे सख़्ती और शिद्दत न थी , एक दिन आप सामरा के एक क़रये में तशरीफ़ ले गये। आपके जाने के बाद एक साएल आपके मकान पर आया , उसे यह मालूम हुआ कि आप फ़लां गांव में तशरीफ़ ले गए हैं , वह वहां चला गया और जाकर आपसे मिला। आपने पूछा कि तुम कैसे आए हो। तुम्हारा क्या काम है ? उसने अर्ज़ कि मौला ग़रीब आदमी हूं। मुझ पर दस हज़ार दिरहम क़र्ज़ हो गया है और इसकी अदाएगी की कोई सबील नहीं। मौला ख़ुदा के लिये मुझे इस बला से निजात दिलाईये। हज़रत ने फ़रमाया घबराओ नहीं। इन्शाअल्लाह तुम्हारे क़र्ज़ की अदाएगी का बन्दो बस्त हो जाएगा। वह साएल रात को आपके हमराह मुक़ीम रहा , सुबह के वक़्त आपने इस से कहा कि मैं तुम्हे जो कहूं उसकी तामील करना और देखो इस अमर में ज़रा भी मुख़लेफ़त न करना , उसने तामीले इरशाद का वादा किया। आपने उसे एक ख़त लिख कर दिया जिसमें यह मरक़ूम था कि ‘‘ मैं दस हज़ार दिरहम इसके अदा कर दूंगा और फ़रमाया कि कल मैं सामरा पहुंच जाऊंगा जिस वक़्त मैं वहां कें बड़े बड़े लोगो के दरमियान बैठा हूं तो तुम मुझसे रूपयां का तक़ाज़ा करना उसने अर्ज़ कि हुज़ूर यह क्यों कर हो सकता है कि मैं लोगो में आपकी तौहीन करूं। हज़रत ने फ़रमाया कोई हर्ज नहीं मैं तुमसे जो कहूं वह करो। ग़रज़ कि साएल चला गया और जब आप सामरा वापस हुए और लोगो को आपकी वापसी की इत्तेला मिली तो आयाने शहर आपसे मिलने आए। जिस वक़्त आप लोगों से महवे मुलाक़ात थे साएल मज़कूर भी पहुंच गया साएल ने हिदायत के मुताबिक़ आपसे रक़म का तक़ाज़ा किया। आपने बहुत नरमी से उसे टालने की कोशिश की , लेकिन वह न टला और ब दस्तूर रक़म मांगता रहा। बिल आखि़र हज़रत ने उसे तीन दिन में अदाएगी का वादा फ़रमाया और वह चला गया। यह ख़बर जब बादशाहे वक़्त को पहुंची तो उसने मुबलिग़ तीस हज़ार दिरहम आपकी खि़दमत में भेज दिये तीसरे दिन जब साएल आया तो आपने उससे फ़रमाया कि यह तीस हज़ार दिरहम ल ले और अपनी राह लग। उसने अर्ज़ कि मौला मेरा क़र्ज़ तो सिर्फ़ दस हज़ार है आप तीस हज़ार दे रहे हैं। आपने फ़रमाया जो क़र्ज़ की अदाएगी से बचे उसे अपने बच्चों पर सर्फ़ करना। वह बहुत ख़ुश हुआ और यह पढ़ता हुआ कि ख़ुदा ही ख़ूब जानता है कि रिसालत व अमानत का कोई अहल है। अपने घर चला गया।

(नूरूल अबसार सफ़ा 149, सवाएक़े मोहर्रेक़ा सफ़ा 123, शवाहेदुन नबूवत सफ़ा 207 अरजहुल मतालिब सफ़ा 461 )


इमाम अली नक़ी (अ.स.) की हालत सामरा पहुंचने के बाद

मुतावक्किल की नीयत ख़राब थी ही इमाम अली (अ.स.) के सामराह पहुचने के बाद उसने अपनी नीयत का मुज़ाहरा अमल से शुरु किया और आपके साथ न मुनासिब तरीक़ों से दिल का बुख़ार निकालने की तरफ़ मुतावज्जा हुआ लेकिन अल्लाह जिसकी लाठी में आवाज़ नहीं उसने उसे कैफ़रे किरदार तक पहुंचा दिया मगर इसकी जि़न्दगी में भी ऐसे असार और असरात ज़ाहिर किए जिससे वह भी जान ले कि वह जो कुछ कर रहा था ख़ुदावन्द उसे पसन्द नहीं करता।

मुवर्रिख़ अज़ीम लिखते हैं कि मुतावक्किल के ज़माने में बड़ी आफ़तें नाजि़ल हुईं बहुत से इलाक़ों में ज़लज़ले आए , ज़मीने धस गईं , आगें लगीं , आसमान से हौलनांक आवाज़ें सुनाई दीं। बादे समूम से बहुत से जानवर और आदमी हलाक हुए। आसमान से मिस्ल टिड्डी के कसरत से सितारे टूटे , दस दस रसल के पत्थर आसमान से बरसे। रमज़ान 243 हिजरी में हलब से एक परिन्दा कौवे से बड़ा आ कर बैठा और वह शोर मचाया ‘‘या अय्योहन नास इत्तक़ूल्लाह ’’ चालीस दफ़ा यह आवाज़ लगा कर उड़ गया दो दिन ऐसा ही हुआ।

(तारीख़े इस्लाम जिल्द 1 सफ़ा 65 )

Shab e Baraat ki fazeelat

*SHABE BARAAT MUBARAK :*


Shab e Baraat ki fazeelat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

Hadeeṡe Nabawi :

(1) Hazrat Maula Ali radiy-Allāhu ta’ala anhu riwaayat karte hain ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Jab nisf Sha’abaan ki raat aaye to raat ko Qayaam karo aur din ko Roza rakho. Beshak ghuroob e aaftaab se subah saadiq tak ALLĀH ta’ala ki rahmat ka (khaas) nuzool aasmaan o dunya par hota hai.
Rab ta’ala ki taraf se aawaaz di jaati hai : ‘Khabardaar! Hai koi jo mujh se Bakhsheesh talab kare, main use bakhsh du. Hai koi Rizq ka taalib ke use rizq ata karu. Hai koi museebat zada ke main use Aafiyat ata karu. Khabardaar, Koi is tarah hai? Khabardaar, Koi is tarah hai?”

(Ibne Maajah, Baab Maa Jaa’a Fee Laylateen Nisf Min Sha’abaan, Safa -99)

(2)  Hazrat Abu Moosā Ash’ari radiy-Allāhu ta’ala anhu riwaayat karte hain ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Beshak nisf Sha’abaan ki raat me ALLĀH ki rahmat ka (khaas) zahoor hota hai. ALLĀH apni tamaam makhlooq ko ma’af farma deta hai siwa e mushrik, logon se bughz rakhne waale aur dushmani karne waale aur chugal khor.”

(Ibne Maajah)

(3) Hazrat Ma’az bin Jabal radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya ki
“ALLĀH ta’ala Sha’abaan ki 15wi raat ko apni tamaam makhlooq ki taraf matawajjeh hota hai aur tamaam makhlooq ki maghfirat farma deta hai, lekin mushrik aur bughz [keena] rakhne waala nahi bakhsha jaata.”

(Tabrani;
Ibn Habaan)

(4) Hazrat Aa’isha radiy-Allāhu ta’ala anha se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya
“Nisf Sha’abaan ki Raat me saal bhar me paida hone waale aur faut hone waale, baa’iṡ e rif’at nek aamal aur rizq ke asbaab likh diye jaate hain.”

(Bayhaqi;
Mishkaat)

********************
Shabe Baraat me is saal marne waalo ki aur Hajj karne waalo ki fehrist tayyar ki jaati hai aur logo ka rizq likha jaata hai aur balayen wa imraaz naazil hote hai.

********************


Shab e Baraat ki khaas Ibadaat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

♦  Ghuroobe aaftaab se pehle :
100 martaba ‘Sub’hān-Allāhi wabihamdi Sub’hān-Allāhil azeem’ padhen.
Phir 41 martaba ‘Laa hawl wa laa quwwat illa billāhil aliyyil azeem’ padhen.
Phir 41 martaba ‘Astaghfirullāhallazee laa ilāha illa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilayhi’ padhen.
Phir 100 martaba Durood shareef padhen.

♦ Maghrib ki namaaz ada karne ke ba’ad 6 rak’at nafl namaaz  2-2 rak’at  karke padhen.

(1) 2 Rak’at namaaz Daraazi e Umr bil khair ki niyyat se.
(2) 2 Rak’at namaaz Dafa e Bala wa Imraaz ki niyyat se.
(3) 2 Rak’at namaaz Barkate Rizq aur Makhlooq ka Mohtaaj na hone ki niyyat se.

››  Har 2 rak’at ke baad Soorah Yā-sin aur Dua e Nisf  Sha’abaan padhen.
››  Masjid me namaaz padhen to ek shakhs buland aawaaz se Soorah Ya-sin aur Dua padhe aur baaqi sab log khaamoshi se sune.
Sunne waalo ko bhi is ka ṡawaab milega.



♦ Dua e Nisf  ul Sha’abaan-ul-moazzam :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
اللَّهُمَّ يَا ذَا الْمَنِّ وَلَا يُمَنُّ عَلَيْهِ، يَا ذَا الْجَلَالِ وَالإِكْرَامِ، يَا ذَا الطَّوْلِ وَالإِنْعَامِ. لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ ظَهْرَ اللَّاجِئينَ، وَجَارَ الْمُسْتَجِيرِينَ، وَأَمَانَ الْخَائِفِينَ. اللَّهُمَّ إِنْ كُنْتَ كَتَبْتَنِي عِنْدَكَ فِي أُمِّ الْكِتَابِ شَقِيًّا أَوْ مَحْرُومًا أَوْ مَطْرُودًا أَوْ مُقَتَّرًا عَلَيَّ فِي الرِّزْقِ، فَامْحُ اللَّهُمَّ بِفَضْلِكَ شَقَاوَتِي وَحِرْمَانِي وَطَرْدِي وَإِقْتَارَ رِزْقِي، وَأَثْبِتْنِي عِنْدَكَ فِي أُمِّ الْكِتَابِ سَعِيدًا مَرْزُوقًا مُوَفَّقًا لِلْخَيْرَاتِ، فَإِنَّكَ قُلْتَ وَقَوْلُكَ الْحَقُّ فِي كِتَابِكَ الْمُنَزَّلِ عَلَى لِسَانِ نَبِيِّكَ الْمُرْسَلِ يَمْحُو اللهُ مَا يَشَاءُ وَيُثْبِتُ وَعِنْدَهُ أُمُّ الْكِتَابِ، إِلهِي بِالتَّجَلِّي الْأَعْظَمِ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَهْرِ شَعْبَانَ الْمُكَرَّمِ، الَّتِي يُفْرَقُ فِيهَا كُلُّ أَمْرٍ حَكِيمٍ وَيُبْرَمُ، أَنْ تَكْشِفَ عَنَّا مِنَ الْبَلَاءِ مَا نَعْلَمُ وَمَا لَا نَعْلَمُ وَمَا أَنْتَ بِهِ أَعْلَمُ، إِنَّكَ أَنْتَ الْأَعَزُّ الْأَكْرَمُ. وَصَلَّى اللهُ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ النَّبِيِّ الأُمِّيِّ وَعَلَى آلِهِ وَصَحْبِهِ وَسَلَّمَ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
اَمِين يَا رَبَّ الْعَالَمِيْن

Bismillāhir Rahmānir Raheem.
Allāhumm Yaa zal-manni wa laa Yumannu alaihi. Yaa zal-jalaali wal-ikraam. Yaa zat-tauli wal-in’aami. Laa Ilāha illa anta zahral lajeena. Wa Jaaral Mustajireena. Wa amaanal khayifeena. Allāhumm in kunta katabtani indaka fee ummil kitaabi shakiyyan aw-mahruman aw-matrudan aw-mukattaram alaiya feer rizqi. Fa’amhu. Allāhumm bi-fadlika shakaawatee wa-hirmaanee wa-tardee wa-aktitara Rizqee. Wa-aṡbitnee indak fee ummil kitaabi saeedam marzuqam muwaffaqal lil-khairaati. Fa-innak qulta wa qaulukal Haqqu. Fee kitaabikal Munazzali. Alaa lisaani nabiyikal mursali. Yamhuwllāhu maa yashaău wa-yuṡbitu wa-indahu ummul kitaabi. Ilāhee bit-tajallil a’azami fee laylatin nisfi min shahri sha’abaanal mukarram. Allatiee yufraqu feehaa kullu amrin hakeemiw wa-yubramu. An takshifa anna minal balaă’i wal-Balwaă’i maa na’alamu wa maa laa na’alamu. Wa- ant bihee a’alamu. Innak antal a’azzul akram. Wa sallallāhu ta’aalaa alaa sayyidina Muhammadiw wa alaa aalihī wa-sahbihī wa sallam. Wal hamdu lillāhi rabbil ālameen.
Aameen Ya Rabbul ālameen.

*********************
♦ Shab e Baraat ke Nawaafil :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) 2 Rak’at nafl Tahyatul Wuzu padhen.
Har rak’at me Soorah al-Faatiha ke ba’ad 1baar Aayat-ul-Kursi aur 3 baar Soorah al-Ikhlaas padhen.

In shaa Allāh har katra paani ke badle 700 rak’at nafl namaaz ka ṡawaab milega.

(2) Salaat-ut-Tasbeeh padhen.

(3) 2 rak’at namaaz Eimaan ki salaamati ki niyyat se padhen. Pehli rak’at me Soorah al-Faatiha ke ba’ad Soorah al-Kaafiroon padhen aur dusri rak’at me Soorah al-Faatiha ke ba’ad Soorah al-Ikhlaas padhen.

Phir awwal o aakhir yeh Durood shareef padhen :
Allāhumm salli ala Muhammadin abdika wa ala aali Muhammadinw wa baarik wa sallim.
Aur yeh Dua padhen :
Allāhumm innee a’oozu bik min an ushrika bik shayanw wa ana a’alamu bihī wa astaghfiruk lima laa a’alamu bihī innaka anta allaamul ghuyoob.
[Tarjuma : Aye ALLĀH! Main panaah chaahta hu tere saath kisi cheez ko shareek karne se jise main jaanta hu aur bakhshish chaahta hu us se jis ko main nahi jaanta, beshak tu ghaibo ko jaanne waala hai.]
Allāhumm innee as’aluk eimaanan laa yartad wa ni’aman laa yanfad .
[Tarjuma : Ya Allāh! Main tujh se sawaal karta hu aise eimaan ka jo mujh se waapas na jaaye aur aisi ne’amato ka jis ka kabhi zawaal na ho.]

In shaa Allāh Eimaan ki salaamati hogi aur khaatma bil khair naseeb hoga.

(4) 2 Rak’at nafl namaaz padhen.
Har rak’at me Soorah al-Faatiha ke baad ek baar Aayat-ul-Kursi aur 15 baar Soorah al-Ikhlaas padhen.
Salaam ke ba’ad 100 baar Durood shareef padhen aur 41 martaba yeh tasbeeh padhen.
سُبْحٰنَ اللہِ وَبِحَمْدِٖ سُبْحٰنَ اللہِ الْعَظِیْمِ وَ بِحَمْدِہٖ اَسْتَغْفِرُ اللہ
Sub’hān Allāhi wa bihamdihi Sub’hān Allāhil azeem, Astaghfirullāh.

In shaa Allāh Rizq me barkat aur Ranj o gham se najaat aur Gunaaho ki bakhshish aur Maghfirat haasil hogi.

(5) 8 Rak’at nafl namaaz (2-2 rak’at karke)
Har rak’at me Soorah al-Faatiha ke ba’ad 5 baar Soorah al-Ikhlaas padhen.
Phir Durood shareef padhkar ‘Astaghfirullāhallazee laa ilāha lla huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilayhi’ padhen.

In shaa Allāh Gunaaho se paak hoga aur Duaen qubool hogi.

(6) 12 Rak’at nafl namaaz (2-2 rak’at karke)
Har rak’at me Soorah al-Faatiha ke ba’ad 10 baar Soorah al-Ikhlaas padhen.
12 rak’at ke baad 10 baar Kalma e Tauhid aur 10 baar Kalma e Tamjeed aur 10 baar Durood shareef padhen.
Phir yeh dua padhen :
Rabbana aatina fid-dunya hasanatanw wa fil aakhirati hasanatanw wa qina azaaban naar.

(7) 12 Rak’at nafl namaaz (2-2 rak’at karke)
Har rak’at me Soorah al-Faatiha ke ba’ad Soorah al-Ikhlaas ya aur koi Soorah padhen.

Phir Durood shareef padhkar yeh dua padhen :
Allāhumm innee as’alukal afa’w wal aafiyat wal muaafatad daa’imat fid deeni wad dunya wal aakhirah.

In shaa Allāh har jaa’iz dua qubool hogi.

(8 ) 4 Rak’at ek salaam se padhen.
Har rak’at me Soorah al-Faatiha ke ba’ad  50 baar Soorah al-Ikhlaas padhen.

Phir Durood shareef padhkar yeh dua padhen :
Allāhumm innaka afuwwun tuhibbul af’wa faa’afu annee.

In shaa Allāh gunaaho se bilkul paak ho jaayega.

(9) 8 Rak’at ek salaam se padhen.
Har rak’at me Soorah al-Faatiha ke ba’ad  11 baar Soorah al-Ikhlaas padhen.

Is ka ṡawaab Khatoon e jannat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha ko nazr karen. In shaa Allāh mehshar me Sayyeda Faatima Zahra ki shafa’at naseeb hogi.

(10) Yeh masnoon dua khaas padhen :
Allāhumm maqsim lana min khashyatik maa ayoolu baynana wa bayn ma’asiyatik wa min taa’atuk maa tuballighuna bihee rizwaanik minal yaqeeni ma yahoonu alayna bihee museebaatud dunya. Allāhumm amtiana bi asmaa’ina wa absaarina wa quwwatina ma ahyaytana waj’alahul waariṡ minna waj’al ṡaarana ala man zalamana wansurna ala man aadaana wa taj’al museebatana fee deenina wala taj’alid dunya akbar hammina wala mablagha ilmina wala tusallit alyna manl laa yarhmuna bi rahmaik yaa arhamar raahimeen.

*******************
▪▪► Kisi wajah se tamaam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni nafl namaaz padhen aur phir Tilaawat e Qur’ān, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen.

▪▪► Aur apne liye aur tamaam ummat e Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdaad aur tamaam marhoomeen ke liye Due e maghfirat karen.

Aur tamaam musalmano ke liye dua e khair karen, Khaas kar un ke liye jinho ne dua ke liye kaha ho aur jin ke hum par ehsaan hain aur hum se jin ke huqooq-ul-ibaad me galti [gunaah] ho gaye ho.

Aur jin ko takleef pahunchai hai ya jin ka dil dukhaaya hai un sab se muafi maang len aur jo bhi naraaz [roothe hue] hain unhe mana len aur jin se ta’alluq [rishta] toota hua hai un se phir se rishta jod len.

*******************
▪▪► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaayen.
Aur tauba karke yeh pakka ahad karen ke aa’inda tamaam namaaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke foyuz o barkaat haasil karte rahenge.
Nafl namaaz ka pura ṡawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur nafl padhne se pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai.

5 waqt ki Qaza namaaz me Rak’at ki ta’adaad :
Fajr 2, Zohar 4, Asr 4, Maghrib 3, Ishaa 4, Witr 3.

*******************
▪▪►Mayassar ho to Qabrastan aur Buzurgaane deen ke mazaaraat par haazir hokar sahi tareeqe se Due e maghfirat aur Isaale ṡawaab karen. Apne ghar par bhi marhoomeen ke liye Due e maghfirat aur Namaaz, Tilaawate Qur’ān, Zikr o azkaar aur Durood shareef padhkar aur Sadqa-khairaat aur niyaaz karke eisaale ṡawaab kar sakte hain.

▪▪►Kaṡrat se Sadqa-khairaat karen. Ghareebo mohtaajo ko khaana khilaayen. Beemaaro ki iyaadat karen, un ki dawa aur ilaaj karaayen.

*******************
14 aur 15 Sha’abaan ko Roza rakhen.

Hadeeṡe Nabawi :

Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya,
(1) Jis ne 15wi Sha’abaan ko roza rakha us ko meri shafa’at halaal ho gai.
(2) Jo shakhs 15wi Sha’abaan ko roza rakhe use jahannam ki aag na chhuegi.

ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Ahle bait ke waseele se aur Auliya Allāh aur Shohada ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko Nek amal karne ki aur Gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae.
Aur is mubarak raat me ALLĀH ta’ala ki raza ke liye sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur hamari ibaadat ko qubool farmae.
Aur Sab ko duniya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Har pareshaani aur Ranj o gham se najaat ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.