Laylat-Al-Qadr.

Lailatul Qadr 🤲🏻 27 vi Shab

Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radiallahu Ta’ala Anhu) Kehte Hain, Aik Shaks Nabi e Paak ﷺ Ke Paas Aakar Kehne Laga:
Ay Allah Kay Nabi ﷺ ! Mai Budha Hoon, (Rozana) Qayaam Karna Mere Liye Mushkil Hai, Aap Mujhe Koi Aiesi Raat Batadein Jis Mein (Nafl Padhoon To) Shayad Allah Ta’ala Mujhe Shab e Qadr Ki Sa’adat Naseeb Farmaye.

RasoolAllah ﷺ Ne Farmaya:
“Saatvi’n Raat Ko Qayaam Kar Liye Karo.”

Is Hadees e Paak Mein Jo “Saabiaa” Ke Alfaaz Aaye Hain, Kay Saatvi’n (7vi) Raat Mein Qayaam Karliya Karo, iska Matlab Ramadan Shareef Ki Sattaaisvi (27 Vi) Raat Hai, Jaise Ke Sahabi e Rasool Nauman Bin Bashir Kehte Hain: Hamare Nazdeek Saatvi’n (7 vi) Raat Se Muraad Ramadan Shareef Ki Sattaaisvi’n (27vi) Raat Hai.

Hazrat Abu Zar Ghifari (RadiAllahu Ta’ala Anhu) Farmate Hai Kay Jab 27 vi Shab Aayi Toh RasoolAllah ﷺ Ne Apne Aqarib , Biwiyo’ Aur Dusray Logo Ko Jama Farmaya Aur Hamein Qayam Karaya (Namaz) , Yahan Tak Hamein Fikhr Hui Kay Hamari Sahri Hi Na Rah Jaaye .

Aaj Ramadan Shareef Ki Sattaaisvi’n (27 Vi) Raat Hogi, Allah Taufeeq De To Aaj Ki Raat ibadat o Riyazat Mein Guzarein, Khushu o Khudh’u Ke Sath Qayaam ul Lail, Namaz e Salaat ut Tasbeeh Ada Karein , Kasrat Se istaghfar o Dua o Durood o Zikr Karein.

____

📗 (مسند الامام احمد بن حنبل ، مسند عبداللہ بن عباس‌ ، ج 4 ، ص 50 ، 49 ، ر 2149 ، ط مؤسسۃ الرسالۃ ، س 1421 ھ ۔ المعجم الکبیر للطبرانی ۔ المخلصیات واجزاء اخری لابی طاہر المخلص ۔ السنن الکبری للبیھقی )

حافظ ہیثمی رحمہ اللہ اس حدیث پاک کی سند کے متعلق کہتے ہیں: رجال الصحیح ۔

📗 ( انظر: مجمع الزوائد ومنبع الفوائد ، باب فی لیلۃ القدر ، ج 3 ، ص 176 ، ر 5047 ، ط مکتبۃ القدسی القاھرۃ ، س 1414 ھ )

📗 ( انظر: مسند الامام احمد بن حنبل ، حدیث النعمان بن بشیر ، ج 30 ، ص 351 ، ر 18402 ، ط مؤسسۃ الرسالۃ ، س 1421 ھ ۔ )

(صحيح أبي داود)

*Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Jo Shakhs Laylat Al Qadr Me Qiyam Kare Aur Usko Paa Le To Uski Maghfirat Kardi Jati Hai…*

📚 *Reference* 📚

*1.* Sahih Bukhari, Hadees No 35.
*2.* Sahih Muslim, Hadees No 76.

*Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya Jisne Shabe Qadr Me Halate Imaan Me Sawab Ki Gharz Se Qiyam Kiya Uske Sabqa Gunah Bakhsh Diye Jate Hain…*

📚 *Reference* 📚

*1.* Sahih Bukhari, Hadees No 1802.
*2.* Sahih Muslim, Hadees No 760.

*Hazrat Sayyedna Ubay Ibn Ka’b Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain Laylat Al Qadr Ramzan Ki 27wi Shab Hi Hain…*

📚 *Reference* 📚

*1.* Sahih Muslim, Hadees No 762.
*2.* Sahih Ibn Hibban, Hadees No 3689.
*3.* Sunan Al Kubra, Hadees No 3406.

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s