
Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Tala Anhu Bayan Karte Hain:- Ke Sayyedna Jibraeel Alahis Salam Rasool Allah ﷺ Ki Khidmat Me Hazir Hue Aur Arz Kiya Ya Rasool Allah! Ye Khadija Salamullah Alaiha Aapki Khidmat Me Hazir Hain Inke Paas Ek Bartan Hain Jisme Salan Hai Ya Farmaya Khana Ya Koi Mashrub Hai, Jab Ye Aapke Pas Aaye To Unko Allah Tala Ki Taraf Se Aur Meri Taraf Se Salam Kahen Aur Unhe Jannat Me Ek Mahal Ki Basharat De Dijiyega Jahan Na Shor Hoga Na Takleef…
📚 *Reference* 📚
Sahih Muslim, Kitab ul Fazail, Jild 3, Safa 634.

Ameer ul Momineen Mola Imaam Ali Alahis Salam Farmate Hain :- Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Apne Zamane Me Maryam Sabse Afzal Aurat Thin Aur Is Ummat Me Khadija Sabse Afzal Hain…
📚 *Reference* 📚
Sahih Bukhari, Kitab ul Manaqib, Jild 2, Safa 482.

Hazrat Sayyeda Ayesha Siddeeqa Salamullah Alaiha Farmati Hain :- Mene Rasool Allah ﷺ Ki Kisi Zauja Par Itna Rashk Nahi Kiya Jitna Sayyeda Khadija Salamullah Alaiha Par Kiya, Halake Mene Unko Dekha Tak Nahi Magar Wajah Ye Thi Ke Rasool Allah ﷺ Unka Zikr Bhut Kiya Karte The Aur Jab Kabhi Bakri Zibah Karte To Uske Paarche Bana Kar Sayyeda Khadija Salamullah Alaiha Ki Dost Auraton Ko Bhej Dete Me Kabhi Aapse Yu Kehti Shayad Khadija Ke Siwa Aur Duniya Me Koi Aurat Thodi Thi To Aap ﷺ Farmate Khadija Me Ye Sifatein Thi Aur Meri Aulad Unhi Ke Shikam Se Hui…
📚 *Reference* 📚
Sahih Bukhari, Kitab ul Manaqib, Jild 2, Safa 483.

Rasoolullah(ﷺ) Ne Farmaya Allah Ta’ala Ne Mujhe Khadijahس Se Behtar Badal Ata Nahi Farmaya Woh Toh Aisi Khatun Thi’n Jo Mujh Par Us Waqt Iman Layin Jab Log Mera Inkar Kar Rahe The Aur Meri Us Waqt Tasdiq Ki Jab Log Mujhe Jhutla Rahe The Aur Apne Maal Se Us Waqt Meri Dharas Bandhai Jab Log Mujhe Mahrum Kar Rahe The Aur Allah Ne Mujhe Usse Aulad Ata Farmayi.
📖(Mujam al-Kabir, Tabarani, Hadees-22)
रसूलल्लाह ﷺ ने फरमाया
खुदाﷻ की कसम खुदाﷻ ने मुझे ख़दीजा सलामुल्लाह अलैहिया से बेहतरीन कोई ओरत अदा नही की
वो मुझ पर उस वक़्त ईमान लाई
जब सब लोग कुफ्र इख़्तियार किए हुवे थे
उसने मेरी उस वक़्त तस्दीक़ की जब लोग मुझे झुठलाते थे
Reference :-
📚 Book Al Bidayah Wan Nihayah Jild 3 Safa 📖 144
_
_
___