
Jab Log Ikhtilaf kare to Kitabullah aur Ali (عليه السلام) ki Pairvi karo
Abu Sukhaila RA se Riwayat hai, Unhone kaha Main aur Sulaiman RA Hajj kar chuke to ham Hazrat Abuzar RA ke paas thehre, Jab tak Allah ne chaha aap khushi khushi nange paav chal kar ham se mile, Hamne kaha, Aye Abuzar RA hamain logon ke Ikhtilaaf ka Khouf hai, Aur agar Log Ikhtilaaf kare to aap hamain kya hukm dete hain? Hazrat Abuzar RA ne kaha, Aise me tum par Laazim hai ke tum Allah ki kitab aur Hazrat Ali AS ki Pairvi ko Lazim kar lo, Main is baat ki Gavahi deta hun ke maine Rasulallah ﷺ ko Farmate hue suna, Ali AS pehle Shakhs hai jo mujh par Imaan laaye, Aur Qayamat k din sabse pehle mujhse Musafah karenge, Aur vo Siddiq al Akbar aur Farooq hai, Jinhone Haq aur Batil ke Darmiyan farq kiya…..
Page Number:-49
📚Fraid ul Simtain fi Fazayil al Murtaza wal Batool wal Sibtain by Imam ibrahim bin muhammad al jwaini r.a ( Arabi )
Writer :- Shaikh e Khurasan, Mohaddis e Kabeer, Ibrahim bin Muhammad bin Al Maveed Abi Bakr Jovaini 822 Hijri
Noor us Saqalain ( Urdu Translation )
Translator:- Allama Safdar Raza Qadri
