








Hazrat Abu Burzah RaziyAllahu Anhu ne Rasoolullah ﷺ se arz kiya: Ya Rasoolullah ! Mujhe koi aisi chiz shikha dijiye jis se mai faaidah uthata rahu, To Aap ﷺ ne irshad farmaya: Musalmano ke raaste se taklif dene wali chizo ko hata diya karo.
📔[Sahih Muslim: 6673]

Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab teen shakhs saath ho to teesre shakhs ko chhod kar Do aapas mein Kaanafusi (chupke se baat) na kare.
📔[Sahih Bukhaari: 6288]