Sarkar Do Aalam Sallallahu Alaihe Wasallam Ummat Ke Liye Dua Aur Girya He Isi liye Karte The.n Kyunki Huzur Jaante The.n ki Ye Ummat Khuda ki Sabse Badi Nafarmani Mein Mubtela Hogi Yaani Meri Ahle Baet Par Zulm O Sitam Karegi Jis Gunah Ke Sabab Iss Ummat Ko Khuda Jahannam Mein Dalega Aur Jiski Koi Maafi Nahi Hogi
Aur Isi Liye Sarkar Ne Aakhri Khutbe Mein Bhi Yahi Farmaya “ki Aye Logon Mye Tum mein Do Gira.n Qadr Cheeze.n Chhode Ja Raha Hoon Ek Khuda Ki Kitab Quran Majeed Aur Dusri Meri Ahle Baet. ‘Aye Logo.n Mye Tumhe Apne Ahle Baet Ke Liye Khuda Ka Khauf Yaad Dilata Hoon’ Aur Iss Jumle Ko Sarkar Ne Teen Baar Ada Kiya Phir Sarkar Ne Farmaya Ki ‘Mujhe Nahi Maloom Ki Tum Mere Ahle Baet Ke Sath Kis Tarah k muamlat rakhoge’ aur iss ke kuch din baad sarkar do aalam sallallahu alaihe wasallam ka wisal ho gaya.
Aapke wisal ke baad Isi ummat ne maula Ali alaihissalam ke mukhalifat mein ek giroh bana liya aur uski mukhalefat ki Jiske liye sarkar ne farmaya – ‘lahmo ka lahmi dammo ka dammi jismo ka Jismi Azmo ka Azmi Rooho ka roohi Nafso ka nafsi Mislo ka misli
Ali ka khoon Mera khoon hai Ali ka gosht Mera gosht hai Ali ka Jism Mera Jism hai
Ali ki rooh meri rooh hai Ali ki nafs meri nafs hai Ali ki misal meri misal hai.
YA ALI ANTA MINNI Wa ANA MINQA – Ya Ali Maye Tujh Se Tu Mujh Se Hai.
Ana Madeenatul Ilm wa aliun babuha – Mye Ilm ka shaher Ali uska darwaza hai mun kunto maula fa haza Ali un maula
Mye jiska peshwa aur madadgaar hoon Ali uska peshwa aur madadgaar hai. Lekin iss ummat ne Kya kiya inke sath badi bedardi se shaheed karwa diya.
Phir iss ummat ne uske sath Dagha kiya jo humshakle Mustafa hain yaani imam hasan Al Mujtaba Alaihissalam Jinke liye sarkar ne farmaya hasan mujhse hai aur mye hasan se hoon. Hasan duniya aur akhirat mein Mera phool hai. Hasan jannat ka sardar hai. Hasan syed hai jo meri ummat ke do giroh ko khoonrezi se bacha lega. Hasan mere dil ka qarar aur sukoon hai. Lekin iss ummat ne Kya kiya inke sath bade bedardi se shaheed karwa diya.
Phir iss ummat ne uske sath Dagha kiya jo seene se lekar paaon tak hum shakle Mustafa then yaani imam Husain alaihissalam Jinke liye sarkar ne farmaya ki Husain mujh se hai mye hussain se hoo’n. Husain duniya aur akhirat mien Mera phool hai. Husain jannat ke naujawano ka sardar hai. Husain mere dil ka qarar hai. Husain mere aankhon ka noor hai. Ya khuda jo hasan aur Husain se muhabbat Kare tu bhi uss se muhabbat farma aur jo hasan aur Husain se dushmani rakhe tu bhi use dushman rakh. Lekin iss ummat ne Kya kiya unke sath badi bedardi se shaheed karwa diya.
Ye hai sarkar do aalam sallallahu alaihe wasallam ki ummat ki jinke liye sarkar do aalam sallallahu alaihe wasallam sari sari raat apne aansu baha rahe hain aur inke gunahon ki khuda se maafi maang rahe hain aur zubane mubarak se inki maghfirat talab Kar rahe hain lekin ye ummat Aaj bhi sudharne ko taiyar nahi Aaj bhi ye sadaaton ka dil dukha rahi hai Aaj bhi syedon ki azmaton ko pamaal Kar rahi hai kabhi unko nazeba baat Kah Kar kabhi unki gheebat Kar ke kabhi unhe ruswa Kar ke kabhi unki mukhalefat Kar ke to kabhi un par fatwon ki bauchar Kar ke. Had to ye hai ki uss par bhi ye ghuman hai ki hum Huzoor ke ummati hain aur Hum namazi aur parhezgaar hain Hum Huzoor ke bataye hue raste par chalne wale aur Huzoor ko chahne wale hain. Huzoor Hamari shafa’at karenge jiske aiwaz hume jaanat milegi. Afsos ki uss qaul ko bhi ye bhool gye ki sarkar do aalam sallallahu alaihe wasallam ne farmaya ki ruqno yamani aur maqame ibraheem ke darmiyan bhi agar koi shaks sari zindagi Ibadat Kare aur usi haalat mein Mar jaye aur mere ahle bait ka bugz uske dil mein ho to Allah usko yahudo nasara mein uthaiga aur usko jahannam mein dalega.
Afsos iss ummat ne sab kuch faramosh Kar diya aur ab bhi tauba karne ko taiyar nahi aur ghaflat mein zindagi guzar rahe hain jiska inhe koi Afsos nahi. Afsos sad afsos. Allah se dua hai meri ki woh parwardigar hum sabko iss gunahe kabeera se mahfooz farmaye aur hum logon ko hablullah (Allah ki rassi) mazbooti se thame rahne wala bana de Ameen ya rabbul aalmeen.
اَللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى الْحَسَنِ وَ الْحُسَيْنِ عَبْدَيْكَ وَ وَلِيَّيْكَ وَ ابْنَيْ رَسُولِكَ وَ سِبْطَيِ الرَّحْمَةِ وَ سَيِّدَيْ شَبَابِ أَهْلِ الْجَنَّةِ
أَفْضَلَ مَا صَلَّيْتَ عَلَى أَحَدٍ مِنْ أَوْلاَدِ النَّبِيِّينَ وَ الْمُرْسَلِينَ
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى الْحَسَنِ بْنِ سَيِّدِ النَّبِيِّينَ وَ وَصِيِّ أَمِيرِ الْمُؤْمِنِينَ
السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا ابْنَ رَسُولِ اللَّهِ السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا ابْنَ سَيِّدِ الْوَصِيِّينَ
أَشْهَدُ أَنَّكَ يَا ابْنَ أَمِيرِ الْمُؤْمِنِينَ أَمِينُ اللَّهِ وَ ابْنُ أَمِينِهِ عِشْتَ مَظْلُوماً وَ مَضَيْتَ شَهِيداً
وَ أَشْهَدُ أَنَّكَ الْإِمَامُ الزَّكِيُّ الْهَادِي الْمَهْدِيُ
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَيْهِ وَ بَلِّغْ رُوحَهُ وَ جَسَدَهُ عَنِّي فِي هَذِهِ السَّاعَةِ أَفْضَلَ التَّحِيَّةِ وَ السَّلاَمِ
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى الْحُسَيْنِ بْنِ عَلِيٍّ الْمَظْلُومِ الشَّهِيدِ قَتِيلِ الْكَفَرَةِ وَ طَرِيحِ الْفَجَرَةِ
السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا أَبَا عَبْدِ اللَّهِ السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا ابْنَ رَسُولِ اللَّهِ
السَّلاَمُ عَلَيْكَ يَا ابْنَ أَمِيرِ الْمُؤْمِنِينَ أَشْهَدُ مُوقِناً أَنَّكَ أَمِينُ اللَّهِ وَ ابْنُ أَمِينِهِ قُتِلْتَ مَظْلُوماً وَ مَضَيْتَ شَهِيداً
وَ أَشْهَدُ أَنَّ اللَّهَ تَعَالَى الطَّالِبُ بِثَارِكَ وَ مُنْجِزٌ مَا وَعَدَكَ مِنَ النَّصْرِ وَ التَّأْيِيدِ فِي هَلاَكِ عَدُوِّكَ وَ إِظْهَارِ دَعْوَتِكَ
وَ أَشَهَدُ أَنَّكَ وَفَيْتَ بِعَهْدِ اللَّهِ وَ جَاهَدْتَ فِي سَبِيلِ اللَّهِ وَ عَبَدْتَ اللَّهَ مُخْلِصاً حَتَّى أَتَاكَ الْيَقِينُ
لَعَنَ اللَّهُ أُمَّةً قَتَلَتْكَ وَ لَعَنَ اللَّهُ أُمَّةً خَذَلَتْكَ وَ لَعَنَ اللَّهُ أُمَّةً أَلَبَّتْ عَلَيْكَ
وَ أَبْرَأُ إِلَى اللَّهِ تَعَالَى مِمَّنْ أَكْذَبَكَ وَ اسْتَخَفَّ بِحَقِّكَ وَ اسْتَحَلَّ دَمَكَ بِأَبِي أَنْتَ وَ أُمِّي يَا أَبَا عَبْدِ اللَّهِ
لَعَنَ اللَّهُ قَاتِلَكَ وَ لَعَنَ اللَّهُ خَاذِلَكَ وَ لَعَنَ اللَّهُ مَنْ سَمِعَ وَاعِيَتَكَ فَلَمْ يُجِبْكَ وَ لَمْ يَنْصُرْكَ
وَ لَعَنَ اللَّهُ مَنْ سَبَى نِسَاءَكَ أَنَا إِلَى اللَّهِ مِنْهُمْ بَرِيءٌ وَ مِمَّنْ وَالاَهُمْ وَ مَالَأَهُمْ وَ أَعَانَهُمْ عَلَيْهِ
وَ أَشْهَدُ أَنَّكَ وَ الْأَئِمَّةَ مِنْ وُلْدِكَ كَلِمَةُ التَّقْوَى وَ بَابُ الْهُدَى وَ الْعُرْوَةُ الْوُثْقَي وَ الْحُجَّةُ عَلَى أَهْلِ الدُّنْيَا
وَ أَشْهَدُ أَنِّي بِكُمْ مُؤْمِنٌ وَ بِمَنْزِلَتِكُمْ مُوقِنٌ وَ لَكُمْ تَابِعٌ
بِذَاتِ نَفْسِي وَ شَرَائِعِ دِينِي وَ خَوَاتِيمِ عَمَلِي وَ مُنْقَلَبِي فِي دُنْيَايَ وَ آخِرَتِي