

*Chehlum e Imaam e Hussain Aur Auliya e Kiram Ka Tarika*
Makhdoom ul Asfiya Taj ul Fuqara Hazrat Haji Sayyed Waris Ali Shah Sahab Rehmatullah Alaih Ka Mamool Sharif Tha :- Aap Aayyam e Muharram Me Khususan Imaam Bargaho Me Hazri Dete Aur Taziya Sharif Ki Ziyarat Ko Jate The, Taziya Sharif Ki Ziyarat Ke Waqt Ek Ajeeb Kaifiyat Aapke Chehra e Mubarak Par Mulahiza Farmayi Jati Aur Dair Tak Aap Par Sukoot Ka Ek Aalam Tari Ho Jata, Ashra e Muharram Aur *Chehlum (20 Safar) Ke Din Khususan Aastana e Aaliya Par Sabeel Ka Ahtamaam Hota Tha.*
📚 *Reference* 📚
Mishkat ul Haqqaniya, Safa 110.


