Yaum e Aqd Mubarak 1 Zil Haj

Ek Zilhajj ko Wo Mubarak Nikah
hua jo pehle Allah Ta’ala ne Arsh pe karwaya aur fir
Farsh pe Allah ke Rasool (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa
Aalihi wa sallam) ne karwaya!

Aqd-e-Sayyeda Fatimah tuz Zahra wa Sayyeduna Maula Ali al Murtaza KarramAllahu Wajhahuma.

“Hazrat Anas RadiAllahu Anhu se marvi hai ke HuzoorNabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa sallam Masjid me Tashreef farma they ke Hazrat Ali

KarramAllahu Wajhahu se farmaya: “Ye Jibrael (Alaihissalam) hain jo Mujhe Khabar derahe hain ke Allah Ta’ala ne Fatimah se Tumhari Shaadi kardi hai. Aur Tumhare Nikah par (Maala-e-Aala me) 40,000 Farishton ko Gawah ke taur par Majlis-e-Nikah me Shareek kiya, aur Shajra haa-e-Tuba se farmaya: Inpar moti aur yaaqut nichawar karo, fir dilkash aankhon waali Hooren un motiyon aur yaaquton se thaal bharne lagin. Jinhe (Taqreeb-e-Nikah me shirkat karne waale) Farishte Qayamat tak ek dusre ko bator tahaeef dete rahenge.”

Ab koi keh sakta hai ke Farishte to arabo kharabon hain, itne hain ke koi tasawwur bhi nah