Eidul Miladun Nabi Pakﷺ

*1000 Saal Se Zada Purane Auliya e Ikraam Ka Aaqida Aur Eid Milad un Nabi ﷺ*

*1335 Saal Purane Ta’baeen Buzurgh Hazrat Mola Ali Shere Khuda Alahis Salam Ke Khalifa Imaam ul Muttaqeen Hazrat Khawaja Hasan Basri Farmate Hain :-*
Mujhe Ye Baat Pasand Hain Ke Kaash Mere Paas Uhad Pahad Ke Barabar Sona Ho Aur Me Use Huzoor Sayyed e Aalam ﷺ Ke Milad Sharif Padhne Par Kharch Kardu.

*Shafayi Maslak Ke Imaam 1240 Saal Purane Mujjadid Nasir ul Sunnat Hazrat Imaam Shafayi Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain :-*
Jisne Milad e Paak Ke Liye Musalman Bhaiyo Ko Jama Kiya Aur Khana Taiyyar Kiya Aur Maqaan Sajaya Aur Sare Intazamaat Bade Acche Kiye Aur Wo Shakhs Milad e Paak Ke Qayam Karne Ka Sabab Bana To Allah Tala Usko Qayamat Ke Din Siddeeqo Aur Shaheedo Aur Suhaleheen Ke Saath Udayega Aur Wo Jannat e Naeem Me Hoga.

*1244 Saal Purane Buzurgh Sultan e Salateen e Mashaik Hazrat Maroof Karkhi Rehmatullah Alaih Farmate Hain :-*
Jisne Milad un Nabi ﷺ Padhne Ke Liye Khana Taiyyar Kiya Musalman Bhaiyo Ko Jama Kiya Charag Roshan Kiya Naaye Kapde Pehne Aur Milad un Nabi ﷺ Ki Tazeem Ke Liye Ittar Lagaya Allah Tala Usko Mehshar Ke Din Ambiya Alaihis Salam Ke Qadmo Me Jagah Ata Farmayega Aur Wo Aala illi’Deen Me Hoga.

*1191 Saal Purane Buzurgh Sirr ud Deen Salik e Malakoot Hazrat Shaikh Sirri Al Saqati Rehmatullah Alaih Farmate Hain :-*
Jisne Milad e Paak Padhne Ke Liye Jagah Qasad Kiya Beshak Usne Jannat Ke Baago Me Se Baag Ka Qasad Kiya Isliye Ki Usne Nabi e Kareem ﷺ Ki Muhabbat Ke Liye Milad e Paak Ka Qasad Kiya Hain Aur Farmaya Huzoor Nabi ﷺ Ne :- Mujhe Wo Sabse Zada Mehboob Janta Hain Wo Meri Khidmat Me Jannat Me Dakhil Hoga.

*1146 Saal Purane Buzurgh Sayyed ut Taaifa Ta’oos ul Ulama Hazrat Shaikh Junaid Baghdadi Rehmatullah Alaih Farmate Hain :-*
Jo Mehfil e Milad un Nabi ﷺ Me Hazir Hua Aur Milad e Nabi ﷺ Ki Tazeem Ki Beshak Imaan Ki Dolat Se Malamal Hua.

📚 *Reference* 📚

*Nimatul Kubra, Shaikh ul Islaam Mufti e Aazam Makkah Mukarrama Hazrat Imaam Ibne Hajar Makki Shafayi Qadri Rehmatullah Alaih*

*Wiladat – 909 Hijri, 1503 Esvi*
*Wisaal – 974 Hijri, 1566 Esvi*

*Note :-* Jis Kitaab Me Ye Tamaam Riwayaat Mojood Hain Us Kitab Ko Likhne Wale Hazrat Imaam Ibne Hajar Makki Rehmatullah Alaih Ke Wisaal Ko Bhi 471 Saal Ho Chuke Hain..

848 Saal Purane Imaam Imaam Ibn Jawzi Farmate Hain :- Hamesha Makkah Mukarrama, Madina Munawwara, Misr, Shaam, Yaman, Sharq Se Gharb Tak Tamam Bilade Arab Ke Bashinde Milad un Nabi ﷺ Ki Mahafil Munaqid Karte Aaye Hain, Jab Rabi ul Awwal Ka Chand Dekhte Hain Toh Unki Khushi Ki Inteha Nahi Rehti Chunanche Zikr e Milad Padhne Aur Sunne Ka Khususi Ahtemaam Karte Hain Aur Bepanah Ajr o Kamyabi Hasil Karte Hain.

📚 *Reference* 📚
Al Milad An Nabwi, Safa 58.

*393 Saal Purane Muhaddis Imaam ul Muhaddiseen Fil Hind Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlawi Rehmatullah Alaih Aur Mehfil e Milad un Nabi ﷺ*

Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlawi Farmate Hain :- Hamesha Se Musalmano Ka Ye Dastur Hai Ke Rabi ul Awwal Ke Mahine Me Milad Ki Mahafil Munaqid Karte Hain Sadaqaat o Khairat Aur Khushi Ke Izhaar Ka Ahtemam Karte Hain Unki Koshish Hoti Hai Ke Un Dino’n Me Zyada Se Zyada Naik Kaam Kare Is Mauqe Par Wo Wiladat Ba Sa’aadat Ke Waqiaat Bhi Bayan Karte Hain.

📚 *Reference* 📚
Ma Sabata Min Al-Sunnah, Safa 60, Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dehlawi.

*471 Saal Purane Imaam Shaikh ul Islaam Mufti e Aazam Makkah Mukarrama Hazrat Imaam Ibne Hajar Makki Shafayi Qadri Rehmatullah Alaih Aur Mehfil e Milad un Nabi ﷺ*

Imam Ibn Hajar Al Makki Farmate Hain :- Hamare Yahan Milad Aur Azkaar Ki Mahfil e Munaqid Hoti Hain Wo Zyadatar Bhale Kaamo Par Mushtamil Hoti Hain Maslan Unme Zikr Kiya Jata Hai Rasoolullah ﷺ Par Durood o Salam Padha Jata Hai Aur Sadaqaat Diye Jate Hain Yani Ghuraba Ki Madad Ki Jati Hai.

📚 *Reference* 📚
Fatawa e Hadisiyyah, Sada 129, Imaam Ibn Hajar Al Makki.

*Kya Milad un Nabi ﷺ Manane Par Sawab Milta Hain ?*

*1.* 780 Saal Purane Imaam Hazrat Imaam Sadaruddeen Mawhub Bin Umar Al Jazari Rehmatullah Alaih Farmate Hain :-

*Insaan Rasool Allah ﷺ Ke Milad Sharif Ke Hasb Taufiq Aur Hasb Irada Musarrat wa Khushi Ke Izhaar Ke Mutabik Aajr o Sawab Pata Hai.*

*2.* 778 Saal Purane Imaam Hazrat Imaam Nasiruddeen Mubarak Al Shafayi Rehmatullah Alaih Farmate Hain :-

*Jo Koi Milad un Nabi ﷺ Ki Raat Ko Kharch Karta Hain Aur Wo Mehfil e Milad Me Logo Ko Jama Karta Hai Aur Logo Ko Khana Khilata Hai Aur Zikr Sunata Hai Aur Logo Ko Aise Umoor Batata Hai Jo Inhe Akhirat Ka Shauk Dilate Hai Wo Ye Sab Kaam Rasool Allah ﷺ Ki Wiladat Mubarak Ki Khushi Me Manate Hue Karta Hai Ye Sab Kuch Jaiz Hain Isse Sawab Milega.*

*3.* 763 Saal Purane Imaam Hazrat Imam Zahiruddeen Jafar Al Tazmini Rehmatullah Alaih Farmate Hain :-

*Milad un Nabi ﷺ Ka Eneqad Karne Wala Saliheen Ko Jama Kare Aur Mehfil e Durood o Salam Aur Fuqara o Masaqin Ke Taam* (Khana) *Ka Intezaam Ka Irada Karta Hai To Jab Bhi Ye Amal Kiya Jayega To Mujib Sawab Hoga.*

📚 *Reference* 📚
Subl Al Huda wal Rashd, Jild 1, Safa 363, 364, 365.

*269 Saal Purane Muhaddis Hazrat Shah Waliullah Muhaddis Dehlawi Rehmatullah Alaih Apni Makkah Sharif Ki Hazri Ke Bare Me Likhte Hain* 👇

Me Makkah Shareef Me Milad Shareef Ke Din Rasool Allah ﷺ Ki Wiladat Ki Jagah Hazir Tha Sab Log Rasool Allah ﷺ Par Durood Padh Rahe The Aur Aapki Wiladat Ke Waqt Jo Mojzat Zahir Hue Wo Bayan Kar Rahe The, Mene Us Noor Ko Dekha Jo Us Mehfil Me Zahir Hua Wo Noor Tha Jo Farishto Ke Aisi Mehfilo Me Shirkat Se Zahir Hota Hain.

📚 *Reference* 📚
Fuyuz ul Haramain, Safa 26.

*12 Rabi ul Awwal Sharif Ki Raat Yaani Aaj Ki Raat Shab e Qadr Se Afzal Hain*

*Imaam Qustulaani “Al Mawahib Al Ladunya” Me Farmate Hain :- Jab Hum Ye Kahe Ke Huzoor Nabi e Akram ﷺ Raat Ke Waqt Paida Hue To Sawaal Paida Hota Hain Ke Shab e Milad e Rasool ﷺ Afzal Hain Ya Shab e Qadr ?*

*Is Hawale Se Ham 3 Daleel Pesh Karte Hain Jin Wuju Ki Bina Par Shab e Wiladat Shab e Qadr Se Afzal Hain*

*1.* Aap ﷺ Ka Zahoor Shab e Milad Me Hua Jabke Shab e Qadr Aap ﷺ Ko Ata Ki Gayi Lihaza Wo Raat Jisko Aap ﷺ Ke Zahoor Ka Sharf Mila Us Raat Se Zada Sharf Wali Hogi Jise Is Raat Me Tashrif Laane Wali Hasti Ke Sabab Se Sharf Mila Aur Isme Koi Naza Nahi Lihaza, Is Aitbar Se Shab e Milad Shab e Qadr Se Afzal Hui.

*2.* Agar Lailatul Qadr Ki Azmat Is Bina Par Hain Ke Isme Farishto Ka Nuzool Hota Hain To Shab e Wiladat Ko Ye Sharf Hasil Hain Ke Isme Allah Tala Ke Mehboob ﷺ Kainat Me Jalwa Farma Hue, Jamhoor Ahle Sunnat Ke Qaul Ke Mutabik Shab e Milad Ko Jis Hasti (Yani Huzoor Nabi e Kareem ﷺ) Ne Sharf Baksha Wo Shab e Qadr Ko Sharf Bakshne Wali Hastiyo Se (Yani Farishto) Se Kahi Buland wa Bartar Aur Azmat Wali Hain, Lihaza Shab e Wiladat Shab e Qadr Se Afzal Hui.

*3.* Shab e Qadr Ke Ba’ais Ummat e Muhammadiya Ko Fazilat Bakhshi Gayi Aur Shab e Milad Ke Zariye Jami Maujudaat Ko Fazilat Se Nawaza Gaya Pas Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Hi Hain Jinhe Allah Tala Ne Rehmatulilaalameen Banakar Bheja Aur Is Tarah Naimat e Rehmat Jami Kainat Ke Liye Aam Kardi Gayi. Lihaza Shab e Wiladat Nafa Rasani Me Kahi Zada Hain Aur Is Aitbar Se Bhi Ye Lailatul Qadr Se Afzal Tehri.

📚 *Reference* 📚

*1.* Imaam Qustulaani, Al Mawahib Al Ladunya Jild 1, Safa 145.
*2.* Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlawi, Masibbat Minas Sunna Fee Ayyamas Sanna, Safa 59, 60.
*3.* Zarqaani, Sharah Al Mawahib Al Ladunya, Jild 1, Safa 255, 256.
*4.* Nabhani, Jawahar ul Bihaar Fee Fazail Al Nabi Al Mukhtar, Jild 3, Safa 424.

Leave a comment