20 Safar ul Muzaffar Chehlum Sharif

*Shaheed e Aazam Sayyed ush Shohada Sayyed ush Shabaabi Ahlil Jannah Sultan e Karbala Sayyed ul Mazloomeen Imaam e Aali’Maqaam Imaam e Arsh Maqaam Imaam e Tishna Kaam Hazrat Sayyedna Sarkar Mola Imaam Hussain Alaihis Salam wa Shohada e Karbala Alahimus Salam*

*Hazrat Allama Abu Ishaq Isfarayini Shafayi Rehmatullah Alaih (Mutawafi 418 Hijri) Apni Kitaab Noor Al Ain Fi Mashhad Al Hussain Me Naqal Farmate Hai Ki Jab Qafila Damishq Se Madina Munawwara Ke Liye Rawana Hua To Raste Me Ahle Baith e Rasool Ne Hazrat Noman Se Kaha Ki Hamari Ye Aarzu Hai Ki Hame Ba Rasta e Karbala Le Chale Taake Ham Dekh Sake Ki Hamare Azeezo Ki Lashe Usi Tarha Be Gor o Kafan Padi Hai Ya Kisi Ne Dafan Kar Di, Unhone Baat Man Li Chunache Ye Qafila Mahe Safar ul Muzaffar Ki 20 Tarkeeh Ko Karbala Poucha Us Din Hazrat Imaam Hussain Alahis Salam Ki Shahadat Ko 40 Din Guzar Chuke The Jab Un Bibiyo Ne Fir Usi Maqaam Ko Dekha Jahan Unko Pani Ki Ak Ak Boondh Ke Liye Tarsaya Gaya Tha Jahan Chaman e Zahra Ko Ujada Gaya Tha Jahan Gulshan e Risalat Ke Lehlahate Hue Phoolo Ko Teero Se Chalni Kiya Gaya Tha Jaha Rakib e Doshe Rasool ﷺ Ko Zakhmo Se Choor Choor Karke Ghode Se Gira Kar Khak o Khoon Me Tarpaya Gaya Tha Jahan Farzand e Rasool ﷺ Ko Barhana Karke Unke Mukaddas Jism Ko Ghode Ki Taapo Se Pamaal Kiya Gaya Tha Ahle Baith e Rasool Ke Khaime Jalaye Gaye The Un Paak Bibiyo Ka Saaz o Saman Luta Gaya Tha Unhe Qaidi Banaya Gaya Tha Ak Ak Kar Ke Wo Saare Manazir Aankho Ke Samne Aa Gaye Aur Be Ikhtiyar Sab Ki Rote Rote Hichkiya Bandh Gayi Sayyeda Zainab Farma Rahi Thi Yaha Hamare Khaime The Yaha Hamare Janwar Bandhe Gaye The Yaha Hamare Janwar Ke Kajawe Rakhe Gaye The Phir Bar’aayi Hui Aawaz Me Farmaya Yaha Bhai Abbas Kate Fate Lete The Yaha Mera Ali Akbar Khak o Khoon Me Aaluda So Gaya Tha Yaha Mera Masoom Asghar Mera Jawan Qasim Mere Aun o Muhammad Ke Be Sar Jism Pade The Aur Phir Apne Piyare Bhai Hazrat Sayyedna Imaam Hussain Ka Naam Lete Hi Unki Cheekhe Nikal Gayi Imaam e Hussain Ki Qabr e Anwar Par Apna Muh Rakh Ke Sayyyeda Zainab Ne Salam Kiya Aur Is Dard Se Royi’n Ke Rote Rote Behaal Ho Gayi Sab Qafile Walo Ke Rone Ki Sada e Buland Hui Ak Qayamat Qayam Ho Gayi Bibiyo Ne Apne Azeezo Aur Sayyedush Shohada Hazrat Imaam Hussain Ki Qabro Par Jin Alfaaz Me Apne Qalbi Jazbaat Ka Izhar Kiya Hoga Wo Kon Bayan Kar Sakta Hain, Ak Raat Un Sabne Waha Fatiha Khuwani Aur Zikr o Tilawat Me Guzari, Bawakt e Ruksat Sayyeda Zainab Salamullah Alaiha Apne Bhai Ko Ak Baar Phir Alwida Kehne Unki Qabr Par Aayi Rote Hue Jo Kuch Farmaya Shayar Ne Tarjumani Ki Hain, Tazkiro Me Hai Ki Karbala Ke Qurb o Jawaar Se Bhut Se Log Us Din Markad e Imaam e Hussain Par Jama The Kyunki Ye Chehlum Ki Fateha Ka Moqa Tha Imaam e Hussain Ki Shahadat Ka 40wa Din Tha, Un Logo Ne Waha Misl Haleem Khana Taiyyar Karke Sab Ko Khilaya Aur Ahle Baith Rasool Se Apni Aaqidat Ka Izhaar Kiya.*

*Boli Zainab Ye Turbat Pe Aakar*
*Karbala Se Me Jaati Hu Bhai*

*Hijr Me Tere Hu Sakht Muztar*
*Karbala Se Me Jaati Hu Bhai*

*Khoon Aaluda Tera Badan Tha*
*Aur Mayassar Na Goor o Kafan Tha*

*Haye Kesa Ye Ranj o Alam Tha*
*Karbala Se Me Jaati Hu Bhai*

*Koi Sar Par Hamare Nahi Hain*
*Hain Jo Aabid Wo Zaar o Hazi’n Hain*

*Haye Kis Kis Ko Taskeen Dungi*
*Jake Sughra Se Me Kiya Kahungi*

*Hijr Me Kese Zinda Rahungi*
*Karbala Se Me Jaati Hu Bhai*

📚 *Reference* 📚
Shame Karbala, Safa 235, 236, Khateeb e Aazam Hazrat Allama Molana Muhammad Shafee Okarvi Sahab Rehmatullah Alaih.

Leave a comment