Month: July 2023
Hadith:Talib e Sawab hokar Qurbani

*Ameer ul Momineen Hazrat Sayyedna Mola Imaam Hasan Mujtuba Alahis Salam Se Riwayat Hain Ke Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaya :- Jisne Khush Dili Se Talib e Sawab Hokar Qurbani Ki To Wo Aatish e Jahannam Se Hijaab (Ya’ani Rok) Ho Jayegi.*
📚 *Reference* 📚
Al Muajjam Al Kabeer, Jild 3, Safa 84, Hadees No 2736.
Hazrat Khwaja Aashiq Muhammad Rehmatullah alaih





Quran ki Aayat ke baare mein

Maula-e-Kainat Sayyeduna Hazrat Ali Alaihissalam farmate hain: Mai Quran ki har Aayat ke baareme jaanta hun ke wo kiske baare, kis jagah aur kis par naazil hui, beshak Mere Rab ne Mujhe bahot zyada samajh waala Dil aur faseeh Zuban ata farmayi hai.”
“Mujhse Kitabullah ke baareme sawaal karo pas beshak koi bhi Aayat aisi nahi hai jiske baareme Mai ye na jaanta hun ke Wo din ko naazil hui ya raat ko, pahaad me Naazil hui ya maidan me.”
” Hilyatul Auliya, Tabqatul Kubra
Tabqatul Kubra
Tarikh, Ibne Asakir
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammad wa Ala Sayyedina Aliyyuw wa Sayyedatina Fatimah wa Sayyedatina Zainab wa Sayyedina Hasan wa Sayyedina Hussain wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.

