Hadith:Hazrat Umar Radiallahu anhoo Hazrat Abu Bakr Radiallahu anhoo Ki Naikiyo Me Se Ak Naiki Hain.

*Hazrat Sayyedna Ammar Bin Yasir Razi Allahu Tala Anhu Bayan Karte Hain Ke Huzoor Nabi e Akram ﷺ Ne Farmaya : Aey Ammar! Abhi Mere Paas Jibra’il Alahis Salam Aaye The Aur Mene Unse Poucha Aey Jibra’il Mujhe Aasman Walo Me Umar Ke Fazail Ke Bare Me Batao ? Usne (Hazrat Jibra’il) Ne Kha Ya Rasool Allah ﷺ Agar Me Aapko Itni Middat Tak Hazrat Umar Ke Fazail Bayan Karta Rahu Jitni Middat Hazrat Nuh Alahis Salam Zameen Par Rahe Ya’ani 950 Baras Tab Bhi Umar Ke Fazail Khatam Nahi Honge Aur Beshak Hazrat Umar Hazrat Abu Bakar Siddique Razi Allahu Tala Anhu Ki Naikiyo Me Se Ak Naiki Hain..*

📚 *Reference* 📚

*1.* Abu Yala, Al Musnad, Jild 3, Safa 179, Hadees No 1603.
*2.* Tabrani, Al Muajjam Al Awsat, Jild 2, Safa 158, Hadees No 1578.
*3.* Ruyani, Al Musnad, Jild 2, Safa 367, Hadees No 1342.
*4.* Daylami, Musnad Al Firdaus, Jild 5, Safa 383, Hadees No 8499.