Namaz ki halat mein sakhawat.

Halat e Namaz me Zakat Ada krne Wale Sirf Ali He. “Aayat-E-Kareema ﴾ [Al-Ma’idah, 05 : 55]…. (Beshak Tumhara {Madadgaar} Dost Allah Aur Us Ka Rasool Hee Hai Aur {Saath} Woh Iman Waale Hain Jo Namaz Qaa’im Karte Hain Aur Zakaat Ada Karte Hain Aur Woh {Allah Ke Huzoor Aajizi Se} Jhukne Waale Hain) Kee Shaan-E-Nuzool Me Peshtar Muhaddithin Ne Ye Hadith-E-Mubaraka Bayan Kee Hai : Hazrat Ammar Bin Yaasir RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Aik Saaeel Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ke Paas Aa Kar Khada Huwa. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Namaz Me Halat-E-Rukoo’ Me They. Us Ne Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ki Anguthi Khinchi. Aap KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Ne Anguthi Saeel Ko Ata Farma Dee. Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem Rasool-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Paas Aaye Aur Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ko Us Kee Khabar Dee. Is Mouqa Par Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Par Ye Aayat-E-Kareema Naazil Huwi : ﴾Beshak Tumhara {Madadgaar} Dost Allah Aur Us Ka Rasool Hee Hai Aur {Saath} Woh Iman Waale Hain Jo Namaz Qaa’im Karte Hain Aur Zakaat Ada Karte Hain Aur Woh {Allah Ke Huzoor Aajizi Se} Jhukne Waale Hain﴿ Aap SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Is Aayat Ko Padha Aur Farmaya : Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka Ali Mawla Hai, Aye Allah! Jo Ise Dost Rakhe Too Use Dost Rakh Aur Jo Is Se Adaawat Rakhe Too Us Se Adaawat Rakh.” –

[ 01-Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Awsat, 07/129, 130, Raqam-6228,

02-Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 01/119,

03-Ahmad Bin Hanbal, Al-Musnad, 04/372,

04-Hakim, Al-Mustadrak, 03/119, 371, Raqam-4576, 5594,

05-Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Kabir, 04/174, Raqam-4053,

06-Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, Raqam-203, 204, Raqam-5068, 5069, 5092, 5097,

07-Tabarani, Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/65,

08-Hythami Majma’-uz-Zawa’id, 07/17,

09-Haythami, Mawarid-uz-Zaman,/445, Raqam-2205,

10-Khatib Baghdadi, Tarikh Baghdad, 07/377,

11-Khatib Baghdadi Ne Ye Hadith-E-Mubarak “Tarikh-E-Baghdad (12/343)” Me مَنْ كُنْتُ مَوْﻻَهُ فَعَلِىُّ مَوْﻻَهُ Ke Alfaaz Ke Saath Hazrat Abdullah Bin Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Bhi Naqal Kee Hai.

12-Ibn Athir, Usd-ul-Ghabah, 02/362,

13-Ibn Athir, Usd-ul-Ghabah, 03/487,

14-Ziya’ Maqdisi, Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 02/106, 174, Raqam-480, 553,

15-Hisam-ud-Deen Hindi, Kanz-ul-Ummal, 11/332, 333, Raqam-31226,

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s