Munkire Wilayat e Ali AS Ki Saza.

#Munkire #Wilayat E #Ali AS Ki Saza..,,

Sufiyan bin Ayenya RA Se Ek Shakhs Ne Allah Ta’ala Ke Us Farman
سَأَلَ سَابِلٌ بِعَذَابٍ وَاقِع
Surah Ma’arij: 70-1
(Sawal Karne Vaale Me Sawal Kiya Azaab E Waqe’e Ka)
Ke Muta’alik Puchha Ke Ye Kiske Bare Me Naazil Hui? To Unhone Kaha Tumne Mujhse Ek Aisa #Masla Puchha Hai Jo Tmse Pehle Mujhse Kisi Ne Nahi Puchha,…,,

Mujhe Hazrat Imam #JafarSadiq AS Ne, Unhone Apne Aaba’a Ke Hawale Se Bayan Kiya K Jab #Rasul E Quainaat SAWS Ne #Ghadeer E Khum Par Logo Ko #Nida Di Aur Vo Sab Ikatthe Ho Gaye To Aap SAWS Ne Maula #Ali AS Ka #Haath Pakda aur Farmaya
مَنْ كُنتُ مَوْلَاهُ فَعَلی مولاہ
Ke Jiska Main #Moula Hun Uska #Ali AS Moula Hai…,,
To Ye #Hadees Tamaam Shehro Mai Phail Gayi, Jab Ye #Hadees #Haris bin #Nouman Fehri Tak Pohchi To Vo #Nabi E Akram SAWS Ke Paas Apni Naaqe Pr Sawar Ho Kar Aaya, Apni Sawari Ko Bithaya Aur Utar Kar Kaha,..,

Aye #Muhammad SAWS, Aapne #Allah Ke Muta’alik Hamko Hukm Diya Ke Ham #Gavahi De K #Allah Ke Siva Koi Ma’abood Nahi, Aur Aap SAWS #Allah Ke #Rasul Hai, Hamne Is Baat Ko Qubul Kar Liya, Fir Aapne Hame #Paanch Waqt ki #Namaaz Padhne Ka Hukm Diya To Uskoo Bhi Qubul Kar Liya, Fir Aap Us Par Bhi #Raazi Na hue, Yaha Tak Ke Aapne #Chachazaad ( Moula Ali AS ) Ke Dono #Baazu #Buland Kar Diye Aur Ham Par Usko #Fazeelat Di Aur Kaha Jiska Main #Moula Hun, Uska Ali AS Moula Hai, Ye baat Aapki Apni Taraf Se Hai Ya Allah Ki Taraf Se….?

Aap SAWS Ne Farmaya Mujhe Us khuda Ki Qasam Hai Jiske Siva Koi Ma’abood Nahi, Beshaq Ye Allah Ki Taraf Se Hai, Pas Haris Bin Noumaan Palta Or Apni Sawari Tak Jaana Chahta Tha To Vo Yeh Kehta Jaata Tha Ke Ay Allah Jo Kuchh Muhammad SAWS Keh Rahe Hai Agar Ye Haq Hai To Ham Par Aasman Se Patthar Naazil Kar, Ya Usse Bhi Sakht Azaab Main Daal,
Chunanche Vo Apni Sawari Tak Na Pochonchne Paya Ke Allah Ne Ek Aisa Patthar Fenka Jo Uski Khopdi Par Aa Gira Or Uski Dubar Se Jaa Nikla Aur Vo Dher Ho Gaya, Pas Allah Ta’ala Ne Ye Aayat Naazil Farmayi:-
سَأَلَ سَابِلٌ بِعَذَابٍ وَاقِع لِلْكَفِرِينَ لَيْسَ لَهُ دَافِع
(Surah Ma’arij – 70-1,2)
(Maanga Maangne Vale Azaab Ko Aur Vo Kaafiron K Liye Vaaqe’e Hone Vaala H, Usko Koi Rokne Vaala Nahi.)

Page no:- 72
Fraid ul Simtain fi Fazayil al Murtaza wal Batool wal Sibtain by Imam ibrahim bin muhammad al jwaini r.a ( Arabi )

Writer :- Shaikh e Khurasan, Mohaddis e Kabeer, Ibrahim bin Muhammad bin Al Maveed Abi Bakr Jovaini 822 Hijri

Noor us Saqalain ( Urdu Translation )
Translator:- Allama Safdar Raza Qadri

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s