Hazrat Syed Shah Ilmullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazart Syed Shah Ilmullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) tareekh islam ke un khushkismat aur muntakhib ashkhas mein hai’n jo na sirf apne zaat se naboowat e Muhammad  sallallaho alaihe wasallam ke kamalaat wa ausaf ka zinda maujza aur islam ki abdiyat wa salahiyat aur iski saherangezi aur inqelab afreeni ki raushan nishani thi. balki inke sabhi sahabzade aur pote apne apne waqt mein Aulia e Kamileen, sulook o marifat ke malik the’n.

Aap ki paidaish 12 rabiulawwal san 1033 hijri ko wajood mein aai. aap ke paida hote hi sunnate yattemi wa yaseri ki takmeel hui. walid ka saya inki wiladat se taqriban dhaai maheena pahle uth chuka tha aur walida ki wafaat bhi inki wiladat ke teen saal baad hogayi. Aap ki parwarish aapke maamu Hazrat Deewan qazi Syed Abu muhammad ne farmai.

Bahawala Tareekh Aaine Awadh Hazrat Shah ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ) ilm zahir ke husool aur silsila e naqshbandia mein baet hone k baad ilm baatin k ektisab mein masroof hue yahan tak ki ettiba kitabullah aur pairwi sunan rasool allah sallallahu alaihe wasallam aur mujahidate nafsi se shuhra e aafaq hue. aakhir apne ghar ka saara saman raahe khuda mein eisaar kar k kuch din qila raibarailli mein muqeem rahe’n. Jab taalibane raahe khuda ka hujoom hua to takiya ki zameen mein khankah bana kar aqamat guzi’n hue aur bade ahtimam aur kamaal ahtiyat se apne mureedo’n ke saath khud lag kar kursi nadi k kinare maujooda masjid taiyar kar k juma aur jamaat qaim ki.

Aap ki karamate’n bahut hain ye mukhtasar kitaab in k bayan ki gunjaish nahi rakhti.

Baadshah Aurangzeb aap k mautqido’n mein tha us ne inki madah apne reqaat mein aksar tahreer ki hai.

Tazkirahtul abraar mein hai ki aapki bahut aarzoo thi ki aapki umr huzoor sallallahu alaihe wasallam k umr se mutajawez na ho aur akhirkaar ye sa’adat bhi aap ko haasil hui aur san 1096 hijri ko 63 saal ki umr mein wafaat paakar hayat e jawedani hasil ki.

Auranzeb ka khwaab Kitab Zahor e Qutbi se naqal hai.IMG_20180120_160237IMG_20180120_160256

Hazrat Shah Ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ) ki shaadi Bibi saleha dukhter Syed Mohammad Hashim Jaisi(رحمتہ اللہ علیہ) se hui. jin se chaar sahabzade Syed Ayatullah (رحمتہ اللہ علیہ), Syed Muhammad Huda (رحمتہ اللہ علیہ), Syed Abu Hanifa (رحمتہ اللہ علیہ) aur Syed Muhammad Maroof ba Muhammad jee hue’n. Aur ye charo hazraat apne aba o ajdad ke haqiqi janasheen the’n.

Hazrat Syed  Shah  Ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ) ke silsilae aulad mein  Syed shah Muhammad Huda, Syed Muhammad jee, Syed Muhammad ehsan, Syed muhammad zia, Syed Muhammad Moin, Syed Muhammad Sabir, Syed Muhammad Noor, Syed Muhammad Sana, Syed Abdul Baaqi, Syed Muhammad Hukm, Syed Shah Abu Saeed, Syed Shah Muhammad Irfan ye sab apne apne waqt ke jalilulqadr Aulia wa Ulema tasleem kiye jate rahe’n hai’n.

Syed Ayatullah (رحمتہ اللہ علیہ) bade shuja aali himmat aur buland hausla hoone ke saath saath bade aabid aur zahid shakhs the’n. inke paanch farzand Syed Muhammad Ahsan, Syed Muhammad Zia, Syed Azimuddin Shaheed, Syed Muhammad Fayaz, Syed Muhammad Sabir aur do sahabzaadia’n hui’n.

Syed Muhammad Zia apne walid ke  wafat  ke baad 30 saal tak masnad e irshad wa islah ko zeenat bakhshi aur  bahut se ahle Himmat aur ahle talab(mureed) in se faizyab hue’n. inhone do farzand yaadgaar chhode Syed Shah Abu Saeed aur Syed Muhammad Moin.

Syed Shah Abu Saeed (رحمتہ اللہ علیہ) aap apne waqt ke mashoor Aulia Allah mein se the’n. Hazrat Shah Waliullah ke mureed khaas aur majaz the’n. Hazaro’n Tishnigane marifat ko apne faiz se mustafeed kiya. Syed Shah Abu Saeed r.a Hazrat Syed Ahmed  Shaheed r.a ke haqiqi nana Syed Muhammad Sabir ke damad aur  Syed Ahmad Wajih ke bahnoi the’n. Shah Abu Saeed ke ilm o fazal aur zohodo taqawa par uss zamane ke sare ulema ka ittefaq tha. in ke aulad mein shah Abul Lais, Syed Abdul jaleel, Syed Abdul Rasheed aur Hafiz Syed Muhammad Ahsan ashabe ilm guzre hai’n.

Hafiz Syed Muhammad Ahsan Sahab ke Silsila e Aulad mein kuch afraad Mera Road, Mumbai Maharashtra mein sukoonat pazeer hai’n. jin mein se Syed Naseem Ahmad sahab ek advertisement company ke malik hai’n aur apne ek farzand  Syed Rayyan Qutbi aur do dukhtar ke saath shaad o abaad hai’n. inka silsila e nasab Hafiz Syed Muhammad Ahsan sahab tak iss tarah hai. Syed Rayyan Ahmed Hasani ibn Syed Naseem Ahmed Hasani ibn Syed Aziz Ahmed Hasani ibn Syed Nazeer Ahmed Hasani ibn Syed Abdul Ghani Hasani ibn Hafiz Syed Muhammad Ahsan Qutbi.

Advertisement