Al mukhatib ba Syed Mahdi Ali khan Syed Muhammad Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (Muarrikh Tareekh Ainae Awadh) apne walid majid Syed Muhammad Mahdi Baksh ke halaat qalam band karte hue” ki jab Syed shah Muhammad Hashim(رحمتہ اللہ علیہ) ne dekha ki inke dusre pisar Maulwi Syed Ali Baksh ne delhi jakar asnae ashri akhtiyaar kar liya tu inho ne apne pote Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ko husoole taleem ke liye Maulwi Burhanudin saheb (رحمتہ اللہ علیہ) raees dewa pargana wa zila nawabganj Barabanki ke paas bhej diya.
Husoole taleem ke baad Hazrat Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ne chalees saal tak ba ohda wakalat zila banda mamoor rahe’n. aur wahan lakhon rupiya kama ke sarf hasnaat karte rahe’n. Jiski shohrat us waqt tamam jawaar mein thi.Chunanche Nawab Fazal Ali Khan urf Aetimatuddaulah ba muwakhza Sultani lucknow se farar hue’n tu ek maheene Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke mehmaan rahe’n aur marasim mehmaandari hasab shan unke ada kiye gaye’n.jab nawab sahab phir ohdae safarat pe mamur hue’n tu unhone bagaraz atae ohda safarat Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ko lucknow talab karke Syed Mahdi Ali Khan se nawaza.
Hazrat Muhammad Mahdi baksh Qutbi r.a bahut abid o zahid muttaqi parhezgaar aur sakhi buzurg the’n. aap ka wisal 3 muharramul Haraam san 1259 hijri ko hua. aur aap Kurra Sadaat ke pashchim mein hudarriya ke maidan mein waqe apne abai qabrastan mein madfoon hue’n.
Aap ki pahli shaadi Syeda At’harun nisa urf ataanbibi dukhtar Syed Shah Barkaat Ali haswii se hui.jab inse ek dukhtar Syeda Gafoorun nisa ki paidaish ke baad koi aulad pisri na hui tu aap ne dusri shaadi Syed Rahimun nisa bibi dukhtar Syed Nasir Ali shah Qutbi se farmayi.jin se paanch farzand
- Hazrat Syed Shah Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
- Hazrat Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
- Hazrat Syed Shah Muhammad Abu Nasr Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
- Hazrat Syed Shah Muhammad Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
- Hazrat Syed Shah Abul Muzaffar Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (urf kallan miyan )
- Aur ek dukhtar Bibi Syeda Ruqaiya hui’n.
Bibi Syeda Gafoorun nisa ki shaadi Meer Ata Husain Qutbi mauza rasoolpur pargana kotla zila fatehpur mein abaad qutbi sadaat mein hui aur Bibi Syeda Ruqaiya ki shaadi Meer Syed Banda Ali bin Meer Syed Turab Ali asfahani se hui.
Shajra Aulad Hazrat Syed Muhammad Mahdi baksh Qutbi r.a