
Antarah bin Abdul Rahman bayan karte hain ke main apne ek kaam se sakht sardi ke mausam mein Ameer-ul-Momineen Ali alaihissalam ke paas gaya,
mai ne dekha ke aap sakht sardi ke bawajood ek phata hua aur purana sa makhmali kapra odhe hue thay, aur aap tharthar kaanp rahe thay.
Main ne arz ki:
“Aey Ameer-ul-Momineen! Yeh kya haal bana rakha hai? Allah ne bait-ul-maal mai aap aur aap ke ahl-e-khanah ka haq muqarrar kiya hai.”
Ameer-ul-Momineen Ali alaihissalam ne farmaya
“Main bait-ul-maal mai se kuch bhi le kar tumhara nuksaan nahi karunga, yeh mera wahi kapra hai jo mai apne saath Madinah se laya tha.”
Reference:
(1) Al-Amwaal — Abu Ubaid, jild 1, safha 386, Hadith number 683
Sheikh Abu Ishaq al-Huwaini ne is hadith ko Hasan qarar diya hai.
(2) Al-Amwaal — jild 1, safha 609, Hadith number 1002
Sheikh Shakir Dheeb ne is hadith ko Hasan qarar diya hai.





