Maula Aliؑ duniya aur aakhirat dono mein sardar hain.


Maula Aliؑ duniya aur aakhirat dono mein sardar hain, aur Maula Aliؑ se muhabbat karne wala Allah ka mehboob hota hai.

Sayyidi Rasool Allah ﷺ ka farman-e-mubarak hai:

“Sayyidna Ibn-e-Abbasؓ bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne mujhe Sayyidna Ali bin Abi Talibؓ ko bulane ke liye bheja. Phir aap ﷺ ne un se farmaya:

Tum duniya aur aakhirat mein sardar ho. Jis ne tum se muhabbat ki, us ne yaqeenan mujh se muhabbat ki. Tum se muhabbat karne wala Allah ka mehboob hai. Tumhara dushman mera dushman hai, aur mera dushman Allah ka dushman hai. Us shaks ke liye halakat aur barbaadi hai jo mere baad tum se nafrat kare.”

Fazail-e-Sahaba, Imam Ahmad bin Hanbalؒ
Tarjuma: Hafiz Faizullah Nasir
Tahqiq: Shaykh Wasiullah bin Muhammad Abbas
Safha number: 385, Hadith number: 1092
Rijal-ul-Isnad siqah (qaabil-e-aitimad)

Leave a comment