Maula Aliؑ duniya aur aakhirat dono mein sardar hain.


Maula Aliؑ duniya aur aakhirat dono mein sardar hain, aur Maula Aliؑ se muhabbat karne wala Allah ka mehboob hota hai.

Sayyidi Rasool Allah ﷺ ka farman-e-mubarak hai:

“Sayyidna Ibn-e-Abbasؓ bayan karte hain ke Rasool Allah ﷺ ne mujhe Sayyidna Ali bin Abi Talibؓ ko bulane ke liye bheja. Phir aap ﷺ ne un se farmaya:

Tum duniya aur aakhirat mein sardar ho. Jis ne tum se muhabbat ki, us ne yaqeenan mujh se muhabbat ki. Tum se muhabbat karne wala Allah ka mehboob hai. Tumhara dushman mera dushman hai, aur mera dushman Allah ka dushman hai. Us shaks ke liye halakat aur barbaadi hai jo mere baad tum se nafrat kare.”

Fazail-e-Sahaba, Imam Ahmad bin Hanbalؒ
Tarjuma: Hafiz Faizullah Nasir
Tahqiq: Shaykh Wasiullah bin Muhammad Abbas
Safha number: 385, Hadith number: 1092
Rijal-ul-Isnad siqah (qaabil-e-aitimad)

Allah raazi ho jaata

Imam Jafar us Sadiq (A.S.) apne waalid Imam Muhammad al Baqir (A.S.) se, woh apne waalid Imam Zain ul Abideen (A.S.) se, woh apne waalid Imam Hussain (A.S.) se, aur woh apne waalid Imam Ali (A.S.) se riwayat naqal karte hain ki Hazrat Rasool-e-Khuda (S.A.W.W.) ne Janab-e-Sayyeda-e-Tahira Fatima Zahra (S.A.) se farmaya:
Aye beti Fatima! Beshak tu jisse naraaz ho uss se Allah Rabb ul Aalameen  naraaz ho jaata hai, aur tu jisse raazi ho uss se Allah raazi ho jaata

रसूलल्लाह ﷺ सबसे ज्यादा मोहब्बत मौला अली (अलैहिस्सलाम) से और सैयेदा फातिमा जहरा (सलामुल्लाही अलैहा) से करते हैं..

रसूलल्लाह ﷺ सबसे ज्यादा मोहब्बत मौला अली (अलैहिस्सलाम) से और सैयेदा फातिमा जहरा (सलामुल्लाही अलैहा) से करते हैं..👇

हजरत जमीआ बिन आमिर बयान करते है: में अपने वालिद के हम राह उमूल मोमिनिन हजरत आयशा (राजी अल्लाह अन्हा) के वहां गया , मैंने परदे के पीछे से उनकी आवाज सुनी मेरे वालिद उनसे हजरत अली (राजी अल्लाह अन्हो) के बारे मे पूछ रहे थे , तो उमूल मोमिनिन ने फरमाया: तुम मुझसे उस आदमी के बारे मे पूछ रहे हो , खुदा की कसम ! में हजरत अली (राजी अल्लाह अन्हो) के सिवा और किसी शख्स को नहीं जानती जो रसूलल्लाह ﷺ को उनसे ज्यादा मोहब्बत हो , और उनकी जौजा से बढ़कर और किसी खातून को नहीं जानती जो रूहे जमीन पर उनसे ज्यादा मोहब्बत हो,,

ये हदीस सहीह उल इशनाद है

अल मुस्तद्रक हाकिम जिल्द: 4, हदीस नं: 4731