
*Qutub ul Madar Kon Hota Hain*
*1.* Hujjat ul Kamileen Hazrat Sayyed Hasan Ali Bin Usman Hajweri Almaroof Data Ganj Baksh Rehmatullah Alaih Farmate Hain :- Qutub ul Madar Wo Hota Hain Jiske Hath Me Qainat e Aalam Ki Bagdor Hoti Hain
📚 *Reference* 📚
Kashf ul Mahjoob, Hashiya, Safa 345.
*2.* Shaikh ul Akbar Hazrat Shaikh Mohiuddin Muhammad Ibne Ali Ibne Arabi Rehmatullah Alaih Farmate Hain :- Qutub ul Madar Siddeeqo’n Ka Sardar Hota Hain.
📚 *Reference* 📚
Futoohat e Makkiyah, Safa 198.
*3.* Hazrat Shaikh Muhammad Bin Naseeruddin Jafar Makki Hussaini Rehmatullah Alaih Farmate Hain :- Qutub Ka Martaba Ye Hain Jo Ek Wali Ko Wilayat Se Be Dakhla Ya Muqarrar Karne Ka Ikhtiyar Rakhta Hain Aur Qutub ul Madar Ek Qutub Ke Liye Yehi Qudrat Rakhta Hain Wo Loh e Mehfooz Ke Likhe Ko Mita Deta Hain.
📚 *Reference* 📚
Bahr ul Ma’ani, Safa 88.

