
*9 Safar ul Muzaffar*
*1409th Yaume Shahadat*
*Sahabi e Rasool Janisaar e Maula Ali Shaheed e Siffeen Hazrat Sayyedna Ammar Bin Yasir Razi Allahu Tala Anhu*
*Aapki Wiladat 570 Esvi Me Makkah Sharif, Saudia Arabia Me Hui, Aapki Shahadat 9 Safar 37 Hijri Mutabik 27 July 657 Esvi Baroz Jumerat Hui, Jo 7 Sahaba Sabse Pehle Imaan Laye Unme Aap Shamil Hain, Huzoor Nabi e Kareem Muhammad Mustufa ﷺ Ne Aapki Shan Me Farmaya :- Yaqeenan Ammar Ibn Yasir Apni Haddiyon Tak Imaan Se Bhare Hue Hain Aur Farmaya Ke Jo Ammar Ka Dushman Hain Allah Uska Dushman Hain, Jo Ammar Se Bughz Rakhega Allah Usse Bughz Rakhega Aur Jo Ammar Ko Bura Bhala Kehta Hain Allah Pak Use Apni Rehmat Se Mehroom Rakhega, Huzoor ﷺ Ne Aapko Aapki Shahadat Ki Khabar Dete Hue Irshad Farmaya Tha Ke Ammar Tujhe Ek Bagi Giroh Qatl Karega Tu Unhe Jannat Ki Taraf Bulayega Wo Tujhe Jahannam Ki Taraf Bulane Wale Honge, Aap Jung e Siffeen Me Maula e Kaynat Hazrat Maula Ali Alaihis Salam Ke Lashkar Me Shamil The Aur Hakim Se Shaam Ke Khilaf Jung Karte Hue Usi Baghi Jahannam Ki Taraf Bulane Wale Giroh Ke Hatho Shaheed Hue, Aapka Mazar Mubarak Ar Raqqah, Syria Me Marjai Khalaik Hain.*

कोन है सैयेदिना अम्मार बिन यासिर (रादीह अल्लाह तआला अन्हों)
नाम: हजरत अम्मार बिन यासिर बिन आमिर बिन मालिक बिन कनाना बिन कैस बिन हिस्सीन बिन वाजिम बिन षअलबा बिन औफ बिन हारषा बिन आमिर अकबर बिन याम बिन ईन्श बिन मालिक बिन अदद बिन यशजब मजहज्जी इन्सी (रादीह अल्लाह तआला अन्हों)
कुन्नीयत: अबुल यकजान
कुबूले इस्लाम: ये उन लोगो मे से है जिन्होंने सबसे पहले इस्लाम की तरफ सबकत की थी
दूसरी रियायत में आया है की नो लोगो के बाद ईमान लाने वालो मैसे है
मुअर्रिखिन का कहना है की सैयेदिना अम्मार बिन यासिर ने
जंगे बद्र, जंगे ओहद, जंगे खंदक, ओर तमाम गजवात में
रसूलअल्लाह (सलअल्लाहो अलयहे व आलेही व सलाम) के हमराह शिरकत की
सैयेदिना अम्मार बिन यासिर जंगे शीफिन में सैयेदीना अली इब्ने अबि तालिब (अलयहिस सलाम) के लश्करी ऑफिसरों में से एक थे
Note:= जंगे शीफिन में आपको मुआविय बिन अबू सूफियान के लश्करने बेदर्दी से सहिद किया और आपका
सर आपके जिस्म से जुदा किया गया,,😢। अल्लाहु अकबर,,😢😢
जंगे शीफिन में आपकी शहादत 37 हिजरी सन माहे सफर में हुई थी
उस वकत आपकी उम्र मुबारक 93 साल की थी,,

*9 सफर यौमे शहादत सहाबिए रसूल, शहीदे सिफ़्फ़ीन, आशिक़ ए मौला अली, हज़रत अम्मार बिन यासिर रज़ि अल्लाहु अन्ह.*
क्या आप ने सहाबा कराम की मोहब्बत व उल्फत का दम भरते हुए किसी आलिम को यौमे शहादत हज़रत अम्मार बिन यासिर मनाते हुए देखा है?
आख़िर क्यों नही क्या हज़रत अम्मार की शान व मंजिलत बयान करने से मुतल्लिक़ किसी को कोई ऐतराज़ है?
जब कि सहाबा कराम रज़ि अल्लाहु अन्हुम अजमयीन के दिन अय्याम व उर्स मनाए जाते हैं वही ये भी तो असहाबे रसूल ﷺ में से हैं फिर उनका यौम, उर्स, फातिहा ख़्वानी क्यों नही ?
सय्यदुना अम्मार बिन यासिर रज़ि अल्लाहु अन्ह अज़ीम सहाबिए रसूल हैं उनके यौमे शहादत के मौके़ पर सेमिनार मुनअक्कि़द करने चाहिए और उम्मत को बताना चाहिए कि हज़रत अम्मार को किस ने क़त्ल किया और क्यों किया


*⚡सैय्यदना अम्मार बिन यासिर”رضي الله عنه*
*सैय्यदना अम्मार बिन यासिर رضي الله عنه और उनके वालीदैन ने शुरू में ही इस्लाम कबूल कर लिया था*
*और आप उन लोगों में से थे जिन्हे राहे खुदा में शदीद तकलीफों से गुजरना पड़ा अबू जहैल ने सैय्यदना अम्मार رضي الله عنه की वालीदा सैय्यदना सुमय्याह को शहीद कर दिया था वोह इस्लाम में पहली शहीदा खातून हैं*
*सैय्यदना अम्मार رضي الله عنه जंग ए बदर समेत तमाम जंगों में शिरकत की आप सैय्यदना अली अलैहिस्सलाम की रिफाक़त में जंग ए सिफ्फीन के मक़ाम पर 93 साल की उम्र में शहीद हुए जिसकी पेंशनगोई हज़रत मोहम्मद (ﷺ) ने पहले ही कर दी थी*
*हज़रत मोहम्मद(ﷺ) ने फ़रमाया अफ़सोस अम्मार को एक बागी गिरोह कत्ल करेगा*
*अम्मार उन्हें जन्नत की तरफ़ बुलाएगा*
*और वोह उन्हें दोजख की तरफ़ बुलाएंगे*
*(सही बुखारी 2812)*

Syed Husain Qadri: *Hazrat Ammar Bin Yasir Ki Narazgi Allah Pak Ki Narazgi Hain* 👇
Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ne Apna Sar Mubarak Uthaya Aur Farmaya Jisne Ammar Ibn Yasir Se Adawat Rakhi Usne Allah Pak Se Adawat Rakhi Jisne Ammar Se Bughz Rakha Usne Allah Pak Se Bughz Rakha, Ye Sunke Hazrat Khalid Bin Waleed Razi Allahu Tala Anhu Bayan Karte Hain Chunache Me Wahan Se Nikla To Hazrat Ammar Ibn Yasir Ki Razamandi Se Badhkar Koi Cheez Mujhe Mehboob Nahi Rahi Me Unhe Milta To Razi Karta. (Ya’ani Hamesha Unki Razamandi Chahte).
📚 *Reference* 📚
*1.* Imaam Ibn Abi Shayba, Al Musannaf, Jild 12, Safa 120.
*2.* Musnad Ahmad Ibn Hanbal, Jild 4, Safa 89.
*3.* Imaam Tabrani, Al Muajjam Al Kabeer, Hadees No 3835.
*4.* Hakim, Al Mustadrak, Jild 3, Safa 390, 391.
*5.* Ibn Hibban, As Sahih, Hadees No 7081.
*6.* Fazail e Sahaba, Imaam Nasai, Hadees No 164.

Farmane Mustafa ﷺ Aur Hazrat e Ammar Ki Shahadat Ki Peshangohi* 👇
Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshad Farmaya :- Ammar Ibne Yasir Razi Allahu Tala Anhu Ko Ek Bagi Giroh Qatl Karega, Ammar Unhe Jannat Ki Taraf Bulayenge Aur Wo Ammar Ko Jahannam Ki Taraf Bulayenge.
📚 *Reference* 📚
Sahi Bukhari, Jild 3, Safa 227, Hadees No 2812.

*Imaam ul Ambiya ﷺ Ke Farman Ke Mutabik Hazrat e Ammar Bin Yasir Ka Qatil Jahannami Hain*
Hazrat Abdullah Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain :- Do Aadmi Amar Ibn Al Aas Ke Pas Aaye Jo Ke Hazrat Ammar Bin Yasir Razi Allahu Tala Anhu Ke Khoon Ke Bare Me Aur Unke Saaz o Saman Ke Husool Ke Liye Aapas Me Ladh Rahe The Amar ibn Al Aas Ne Bola Ye Mauzu Chod Do Kyunki Mene Rasoolullah ﷺ Ko Farmate Hue Suna Hai Ke :- Aye Allah! Quraish Ammar Ke Khoon Ke Bhut Shauqeen Hain Beshak! Ammar Ka Qatil Aur Unka Saaz o Saman Lene Wala Dozakhi Hain.
📚 *Reference* 📚
Mustadrak Al Hakim, Hadees No 5661.

*Sahabi e Rasool Hazrat Ammar Bin Yasir Shaitan Se Hifazat Me Hain*
Hazrat Alqama Razi Allahu Tala Anhu Se Marwi Hain Farmate Hain Me Sham (Syria) Pouncha To Hazrat Abu Darda Razi Allahu Tala Anhu Aaye Kehne Lage Tum Logo Me Wo Shaks Hai Jisko Allah Pak Ne Apne Rasool ﷺ Ki Zuban e Mubarak Se Shaitan Se Mehfooz Rakha Hain ? Hazrat Mugira Razi Allahu Tala Anhu Farmate Hain :- Allah Pak Ne Apne Habeeb Pak ﷺ Ki Zuban e Mubarak Se Jis Shaks Ko Shaitan Se Apni Panah Me Rakhne Ka Elaan Kiya Tha Unse Murad Hazrat Ammar Ibn Yasir Razi Allahu Tala Anhu Hain.
📚 *Reference* 📚
Sahih Bukhari, Hadees No 3287.

