All About Yaum e Ghadeer

Hazrat Bara Ibn Azib Se Riwayat Hai Ke Hum Rasoolullah (ﷺ) Ke Saath Hajjatul Wida Se Wapas Aa Rahe Thae Ke Ghadire Khum Ke Maqam Par Humne Padao Dala Hum Mein Se Ek Aadmi Ne Namaz Ka Aylaan Kiya, Rasoolullah (ﷺ) Ke Liye Do Darakhto’n Ke Nichey Jagah Saaf Ki Gayi Aap (ﷺ) Ne Namaze Zuhr Padhayi Phir Maula Ali Alayhissalam Ka Haath Thama Aur Farmaya:

Kya Mein Muminin Ke Liye Unki Jano’n Se Bhi Zyada Aziz Nahi Hun? Logo’n Ne Kaha Kyun Nahi! Aap (ﷺ) Ne Farmaya Jiska Mein Maula Hun Ali Bhi Uska Maula Hai, Uske Baad Jab Bhi Hazrat Umar Maula Ali Se Mulaqat Karte Toh Farmate Aye Ibn Abi Talib! Aapko Mubarak Ho Aap Subh Aur Shaam Is Haal Mein Karte Hein Ke Aap Mere Aur Tamam Muminin O Muminaat Ke Maula Hein.

(Fazaile Sahaba, Imam Ahmad Ibn Hanbal, Hadees-1042)

*18 Zil Hajj Ko Roza Rakhne Ki Fazilat*

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Tala Anhu Se Riwayat Hain Ke Jisne 18 Zil Hajj Ko Roza Rakha Uske Liye 60 Mahino (5 Saal) Ke Rozo Ka Sawab Likha Jayega Aur Ye Ghadeer e Khum Ka Din Tha Jab Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ne Hazrat Sayyedna Ali Shere Khuda Alahis Salam Ka Haath Pakadkar Farmaya :- Kya Me Momino Ka Wali Nahi Hun ? Unhone (Sahaba Ne) Arz Kiya : Kyun Nahi Ya Rasool Allah! Aap ﷺ Ne Farmaya :- Jiska Me Maula Hu Uska Ali Maula Hain.
Is Par Hazrat Sayyedna Umar Farooq Razi Allahu Tala Anhu Ne Farmaya :- Mubarak Ho! Aye Ali Ibne Abi Talib! Aap Mere Aur Har Musalman Ke Maula Tehre. (Is Mauqe Par) Allah Azzawajal Ne Ye Ayat Naazil Farmayi :-
اَلْيوْمَ أَکْمَلْتُ لَکُمْ دِيْنَکُمْ
Tarjuma :- Aaj Mene Tumhare Liye Tumhara Deen Mukammal Kar Diya.
[Quran : 5  Surah Al Maidah, Ayat No 3.]

📚 *Reference* 📚

*1.* Khateeb Baghdadi, Tarikh e Baghdad, Jild 8, Safa 290.
*2.* Tabrani, Al Muajjam Al Awsat, Jild 3, Safa 324.
*3.* Ibne Asakir, Tarikh e Damishq Al Kabeer, Jild 45, Safa 176,177.
*4.* Imaam Raazi, Tafseer e Kabeer, Jild 11, Safa 139.
*5.* Ibne Kaseer, Al Bidaya wan Nihaya, Jild 5, Safa 464.

*Hajjatul Wada Se Wapasi Ke Moqa Par Rasool e Khuda Ka Aylaan*

Hazrat Bara Ibn Azib Razi Allahu Tala Anhu Se Riwayat Hain Ke Hum Rasool Allah ﷺ Ke Saath Hajjatul Wada Se Wapas Aa Rahe The Ke Ghadire Khum Ke Maqaam Par Hamne Padao Dala Hum Me Se Ek Aadmi Ne Namaz Ka Aylaan Kiya, Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ke Liye 2 Darakhto’n Ke Niche Jagah Saaf Ki Gayi Aap ﷺ Ne Namaz e Zuhar Padhayi Phir Maula Ali Alahis Salam Ka Hath Thama Aur Farmaya :- Kya Me Momineen Ke Liye Unki Jaano Se Bhi Zada Azeez Nahi Hu ? Logo Ne Kaha Kyu Nahi! Aap ﷺ Ne Farmaya Jiska Me Maula Hu Ali Bhi Uska Maula Hain, Uske Bad Jab Bhi Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Tala Anhu Maula Ali Alahis Salam Se Mulaqat Karte To Farmate Aye Ibn Abi Talib! Aapko Mubarak Ho Aap Subah Aur Sham Is Haal Me Karte Hain Ke Aap Mere Aur Tamaam Momineen o Mominaat Ke Maula Hain.

📚 *Reference* 📚
Fazail e Sahaba, Imaam Ahmad Ibn Hanbal, Hadees No 1042.

Jin logo ne Ghadeer-e-Khum ka Azeem Waqiya logo se chupaya wo duniya me andhe hokar ya bars ki haalat me mar gaye!

Abdur Rehman bin Abi Laila se riwayat hai ke Hazrat  Sayyeduna Maula Ali al Murtaza KarramAllahu Wajhahul Kareem ne logon se khitab kiya aur farmaya: Mai us aadmi ko Allah aur Islam ki Qasam deta hun, jisne Rasool-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Gadeer-e-Khum ke din Mera Haath Pakde hue ye farmate suna ho: “Ay Musalmano! Kya Mai tumhari jaano se kareebtar nahi hun?” Sabne jawab diya: Kyon nahi, Ya RasoolAllah! Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: “Jiska Mai Maula Hun uska Ali Maula Hai, Ay Allah! Jo Isey Dost rakhe Tu usey Dost rakh, jo Is (Ali) se adawat rakhe Tu us se adawat rakh, jo Iski madat kare Tu uski madat farma, jo Iski ruswaayi chahe Tu usey ruswa kar?”
Is par 13 se jaaed Afrad ne khade hokar gawahi di aur JIN LOGO NE YE BAATE CHUPAAYI WO DUNIYA ME ANDHE YA BARS KI HAALAT ME MAR GAYE.

Hisamuddin Hindi, Kanzul Ummal, 13/131, Hadees 36417
Ibne Asakir, Tarikh e Damishq al Kabeer, 45/158
Kanzul Mattalib fee Manaqib Ali ibne Abi Talib Alaihi-Mussalam, Hadees 57

Allahumma Salli wa Sallim Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Ahlul Bayt.

Aaqa Rasool E Khuda ﷺ Ne  Farmaya..
Man Kuntu Maula Fa Aliyyum Maula
“Jiska Mai Maula uska Ali Maula”
………… 👇
Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka Azeem farman “Man Kuntu Maula Fa Aliyyum Maula : Jiska Mai Maula uska Ali Maula” is Hadees-e-Pak ki 30 alag alag References hain! 100 se zyada Sahaba-e-Kiram ne is Hadees ko riwayat kiya hai. Itni kasrat se riwayat hone waali Hadees ko Hadees-e-Mutawatira kehte hain. Jisne bhi Hadees-e-Mutawatir ko manne se inkar kiya wo usi lamhe kafir hogaya.
Niche is Hadees-e-Pak ke  references diye jarahe hai

Hadees-e-Ghadir yaani “Man Kuntu Maula Fa Aliyyum Maula”
Jo kehte hain Ghadeer-e-Khum ki haqiqat nahi wo gaur karen zara list ki lambayi par!

Tirmidhi, Al-Jami’ As-Sahih, 06/79, Raqam-3713,
Ahmad Bin Hanbal, 02/569, Raqam959,
Mahamli/85,
Ibn Abi Asim, As-Sunnah,/603, 604, Raqam-1361, 1363, 1364, 1367, 1370,
Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Kabir, 05/195, 204, Raqam-5071, 5096,
Nawawi, Tehdhib-ul-Asma’, 01/347,
Ibn Asakir, Tarikh Dimishq Al-Kabir, 45/163,164,
Ibn Athir, Asad-ul-Ghabah, 06/132,
Ibn Athir, An-Nihayah, 05/228,
Ibn Kathir, Al-Bidayah wan-Nihayah, 05/463,
Ibn Hajar Asqalani, Ta’jil Al-Munaffa’h,/464, Raqam-1222,

Hakim, Al-Mustadrak, 03/134, Raqam-4652,
Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Kabir, 12/78, Raqam-12593,
Khatib Al-Baghdadi, Tarikh Baghdad, 12/343,
Ibn Asakir, Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/77, 144,
Ibn Kathir, Al-Bidayah Wan-Nihayah, 05/451,
Haythami, Majma-uz-Zawa’id, 09/108,
Ibn Abi Asim, As-Sunnah : 602, Raqam-1355,
Ibn Abi Shaybah, Al-Musannaf, 06/366, Raqam-32072,
Ibn Abi Asim, As-Sunnah : 602, Raqam-1354,
Tabarani, Al-Mu’jam-ul-Kabir,04/173, Raqam-4052,
Tabarani Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/229, Raqam-348,
Nasa’i Khasa’is Amir-ul-Mominin Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hahul Kareem,/88, Raqam-80,
Ibn Abi Asim, As-Sunnah,/602, 605, Raqam-1358, 1475,
Ziya’ Maqdisi, Al-AHadees-ul-Mukhtarah, 03/139, Raqam-937,
Ibn Asakir, Tarikh Dimashq Al-Kabir, 20/114,
Abd-ur-Razzaq, Al-Musannaf, 11/225, Raqam-20388,
Tabarani, Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/71,
Ibn Asakir, Tarikh Dimashq Al-Kabir, 45/143,
Ibn Asakir Ne “Tarikh Dimashq Al-Kabir (45/143)

18 ज़िलहिज्ज (ईद-ऐ ग़दीर)
हिज्जातुलविदा से जब आक़ा रसूल अल्लाह वापस मदीना शरीफ तश्रीफ़ ले जा रहे थे तो रास्ते में एक मकाम आया जहाँ एक तालाब था। उस जगह को ग़दीरे ख़ुम कहा जाता था ! आक़ा रसूल अल्लाह ने सारे सहाबा को वहाँ पड़ाव डालने का हुक्म फ़रमाया ! जब ज़ोहर की नमाज़ अदा कर चुके तो आक़ा ने लाख से ज़्यादा सहाबा से ख़िताब फ़रमाया! और आपने तीन मर्तबा पूछा ” क्या मैं सब मोमिनों की जानो से करीबतर नहीं हूँ ?”
सारे लाख से ज़्यादा सहाबा ने एक आवाज़ में कहा” जी या रसूल अल्लाह ” का हाथ पकड़ा जब आक़ा तीन मर्तबा फरमा चुके तो हज़रत मौला अली और फ़रमाया !
من كنت مولا فهذا علي مولا ” ” मन कुन्तो मौला फा हाज़ा अलीयुन मौला ”
” अगर ईमान रखते हो के में हर मोमिन की जान से ज़्यादा क़रीब हूँ तो जान लो जिसका मैं मौला हूँ उसके अली ६ मौला हैं ”
सबसे पहले हज़रत सिद्दीक़ ऐ अकबर र.ज़, हज़रत फ़ारूक़ ऐ आज़म र.ज़ और हज़रत उमर र.ज़ हज़रत मौला अली के पास आये और उन्हें मुबारकबाद दी। और कहा !
” ऐ अली इब्ने अबी तालिब ! मुबारक हो आप सुबहो शाम (यानि हमेशा के लिये) हमारे और हर मुसलमान के मौला बन गये “!
ये इस उम्मत पर विलायत का ऐलान था के अब मैं जा रहा हूँ और तुम्हें हिदायत देने के
लिये कोई नबी नहीं आयेगा आक़ा ने विलायत का दरवाज़ा खोला और हज़रत मौला अली १ को फातह विलायत बनाया। अब जिसको भी वली बनना है उसको हज़रत मौला अली की गुलामी में आना होगा! और फिर ये विलायत जब पूरा होने का वक़्त आयेगा तब भी हज़रत मौला अली के साहबज़ादे हज़रत इमाम मेंहदी १ पे ख़त्म होगी !
और ये हदीसे विलायत इतनी कसरत से यानि इतनी ज़्यादा रिवायत हुई है के इस हदीस को हदीस ऐ मुतावातिर कहा जाता है यानि बहुत ज़्यादा कसरत से रिवायत होने वाली हदीस ! और जो हदीस मुतावातिर के दर्जे में आती है उस हदीस के सही होने में किसी तरह का कोई शक नहीं रहता इसलिये ऐसी हदीस के इन्कार से बन्दा दायरा-ऐ इस्लाम से
बाहर निकल जाता है काफिर हो जाता है! “इसलिये जो अली १ को मौला न माने वो मुसलमान ही नही”
डॉ ताहिर-उल क़ादरी साहब ने इस हदीसे पाक के अलग अलग रावियों, सनदों और किताबों से 130 से ज़्यादा बार ये हदीस जमा की है और किताब बनाई है! मुश्किल से
कोई हदीस होगी जो इतनी बार रिवायत हुई हो !
इमाम अहमद, मुसनद -4/81 इब्ने अबी शयबा, मुसन्नफ़ तबरानी मुअज्जम अल औसत, इब्ने असाकिर अल बदाया वल निहाया, तारीख़ तिबरी
रिआज़ उन नज़रा

*Yaume Ghadir e Khum*

Maymun Abi Abdullah Bayan Karte Hain Ke Mene Hazrat Zaid Bin Arqam Razi Allahu Tala Anhu Ko Ye Kehte Hue Suna Hum Rasoolullah ﷺ Ke Sath Ek Waadi (Jise Wadi e Khum Kaha Jata Tha) Me Utre, Pas Aap ﷺ Ne Namaz Ka Hukm Diya Aur Sakht Garmi Me Jama’at Karwayi Phir Hame Khutba Diya, Rasoolullah ﷺ Ko Suraj Ki Garmi Se Bachane Ke Liye Darakht Par Kapda Latka Kar Saya Kiya Gaya Aap ﷺ Ne Farmaya Kya Tum Nahi Jante Ya Is Baat Ki Gawahi Nahi Dete Ke Me Har Momin Ki Jaan Se Qarib Tar Hu ? Logo Ne Kaha Kyu Nahi Aap ﷺ Ne Farmaya Pas Jiska Me Maula Hun Uska Ali Maula Hai Aye Allah Tu Usse Adawat Rakh Jo Isse Adawat Rakhe Aur Use Dost Rakh Jo Ise Dost Rakhe.

📚 *Reference* 📚
*1.* Kanzul Ummal, 36845.
*2.* Al Mujam Al Kabir, 5068.
*3.* Tarikh Dimashq, Ibn Asakir, 166.
*4.* Bayhaqi, Sunan Al Kubra, 131.
*5.* Ahmad Ibn Hanbal, Al Musnad, 372.

*Yaume Ghadeer e Khum*

Hazrat Zaid Bin Arqam Razi Allahu Tala Anhu Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Se Riwayat Karte Hain Ke Aap ﷺ Ne Farmaya :- Jiska Me Maula Hun Ali Bhi Uske Maula Hain.

📚 *Reference* 📚
Tirmizi Sharif, Hadees- No 3713, Shaikh Albani Ne Iski Sanad Ko Sahi Qarar Diya Hain..

Ibn Wasilah Se Riwayat Hain Ke Unhone Hazrat Zaid Bin Arqam Razi Allahu Tala Anhu Se Suna Ke Rasoolullah ﷺ Ne Makkah Aur Madina Ke Darmiyan Paanch Bade Bade Darakhto’n Ke Qareeb Padao Kiya Aur Logo Ne Darakhto’n Ke Neeche Safayi Ki Aur Aap ﷺ Ne Kuch Dair Aaram Farmaya, Namaz Ada Ki, Phir Khitab Farmane Ke Liye Khade Hue Allah Ta’ala Ki Hamd o Sana Bayan Ki Aur Waaz o Nasihat Farmayi Phir Jo Allah Ne Chaha Aapne Bayan Kiya Aap ﷺ Ne Farmaya Aye Logo! Me Tumhare Darmiyan Do Cheeze Chod Kar Ja Raha Hun Jab Tak Tum Unki Pairwi Karoge Kabhi Gumrah Nahi Hoge Aur Wo Do Cheeze Allah Ki Kitab Aur Mere Ahle Bait Hain Uske Baad Farmaya Kya Tum Jante Ho Ke Me Momineen Par Unki Jano Se Bhi Zada Haq Rakhta Hun ? Aap ﷺ Ne Aesa 3 Martaba Farmaya :- Logo Ne Arz Kiya Ji Haan! Phir Aap ﷺ Ne Farmaya : Jiska Me Maula Hun, Uska Ali Maula Hain.

📚 *Reference* 📚
Mustadrak Ala Al Sahihain, Hadees No 4641, Is Hadees Ko Imaam Hakim Ne Shaikhain Ki Sharait Par Sahih Qarar Diya Hain.

Leave a comment