Zikr e Sayyidina Imam Muhammad Baqir AlaihisSalam

1 Rajab Sayyeduna Imam Muhammad al Baqir Alaihissalam ke Milad ka Din hai! Aap Sayyeduna Imam Hussain Alaihissalam ke Pote, Sayyeduna Imam Zainul Aabideen Alaihissalam ke Shehzade, Sayyeduna Imam Jafar as-Sadiq Alaihissalam ke Walid, Imam Abu Hanifa ke Ustad hain, Ilm ki Puri ek Kainat hain!

Aapka Martaba Itna Buland ke Khud Tajdar-e-Kainat SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Apne Jalil ul Qadr Sahabi ko Apne Is Shehzade ki Aamad ki Khabar di!!

“Abu Zubair se riwayat hai ke hum Hazrat Jabir bin Abdullah RadiAllahu Anhuma ke paas haazir they jabke (budhape ke baais) Aapki nazar aur daant kamzor hochuke they. Is dauran Imam Ali Ibne Hussain “Zainul Aabideen” Alaihi-mussalam Apne chote Bete Muhammad al-Baaqir (Alaihissalam) ke humrah tashreef laaye. Unhone aakar Aapko Salam kiya aur tashreef farma hokar Apne Bete Muhammad al Baaqir se kaha ke Apne Chacha ke paas jaao aur jhuk kar Unke Sar ka Bosa lo, Bachhe (Imam Muhammad al Baaqir Alaihissalam) ne aisa he kiya. Ispar Hazrat Jabir RadiAllahu Anhu ne pucha: Ye kaun hai? Imam Zain al Aabideen ne farmaya: Mera Beta Muhammad hai. Ye sun na tha ke Hazrat Jabir RadiAllahu Anhu ne Bachhe ko Seene se lagaya aur ro diye fir Unse mukhatib hokar farmaya:‘Ay Muhammad! Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne Aapke liye Salam bheja hua hai.’

Unke kisi saathi ne pucha ke maajra kya hai? To Aap RadiAllahu Anhu ne farmaya:

‘Mai Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Khidmat-e-Aqdas me haazir tha ke us dauran Aap ke paas Hussain Ibne Ali (Alaihi-mussalam) tashreef laaye to Aap ne Unhe Apne Seena-e-Mubaraka se laga liya aur Unka Bosa lekar Unhe Apne Pehlu Mubarak me bitha liya. Fir Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Mere is Bete ke haan ek Ladka paida hoga jiska naam ALI hoga. Jab Qayamat ka Din hoga to ek nida dene wala Arsh ki pehnaayiyo se nida dega ke SAYYEDUL AABIDEEN (Saare Aabidon ke Sardar) khada hojaye, to wo Ladka (Zainul Aabideen Ali Ibne Hussain Alaihi-mussalam) khada hojayega. Uske (Imam Zainul Aabideen Alaihissalam) haan ek Ladka Muhammad paida hoga. Ay Jabir! Jab Tum Usey dekho to Usey Meri taraf se Salam kehna aur jaan lena ke us din ke baad tumhari zindagi kum reh jayegi.”

Chunanche Hazrat Jabir RadiAllahu Anhu us din ke baad 10 se kuch din upar hayat rehkar Wisaal farma gaye.”

– Ibne Asakir, Taarikh Madina ad-Damishq, 54:276
Ibne Jauzi, Tazkiratul Khawaas, 303,
Ibne Taimiya, Minhaj us Sunna al-Nabawiyyah, 4:11
Ibne Hajar Makki, As sawa aqal mahraqah, 2:586
Shablanji, Noor al Absar fee Manaqib Aale Baytin Nabi al-Mukhtar: 288

from Book of Dr. Tahir-ul-Qadri: ‘Sahaba-e-Kiram RadiAllahu Anhum aur Aaimma-e-Ahle Bayt
Alaihimussalam se Imam-e-Aazam RadiAllahu Anhu ka Akhze Faiz’ Page, 82,83

Salawatullahi Ta’ala wa Malaikatihi wa Anbiyaihi wa Rasoolihi wa Jamiyi Khalqihi Ala Sayyedina Muhammadiw wa Ala Aali Sayyedina Muhammadin Alaihi wa Alaihi-Mussalamu wa Rehmatullahi wa Barakatuhu.

Leave a comment