The Miracles of the Nabi Pakﷺ – part 63

159. The hair touched by the blessed hands of the Messenger of Allah ﷺ often never turned grey.

Once such report is narrated by Sayyidina Muhammad ibn Fudala al-Zafari, who said, “The Messenger of Allah ﷺ arrived when I was two weeks old. I was brought to him, he passed his hand over my head saying, ‘Call him by my name, but do not call him by my kunya.’ I was taken along to perform the Farewell Pilgrimage with him when I was ten years old.” Sayyidina Muhammad ibn Fudala’s life was long, his hair turned white – but not where the hand of the Messenger of Allah ﷺ had touched it.” [Imam Bukhari’s alTarikh al-Kabir; Bayhaqi; Majma al-Zawa’id] ●

160. The face which was touched by the Messenger of Allah ﷺ glistened with radiant light. • Sayyidina Abul ‘Alaa ibn ‘Umayr said, “I was visiting Qatada ibn Milhan when he was ill. A man passed by the far end of the house and I saw him reflected in Qatada’s face [so shiny it was], for the Messenger of Allah, ﷺ may Allah’s blessings and peace be upon him, had passed his hand over his face. Whenever I saw him it was as if he had rubbed his face with oil.” [Ahmad; Bayhaqi]

161. The Messenger of Allah ﷺ passed his hand over a young man’s head, who reached the age of a hundred and still had no grey hair.

• Sayyidina Abu Attiya al-Bakri was taken by his parents to the Messenger of Allah. He was a young man at the time. The Messenger of Allah passed his hand over his head. When he was a hundred years old, his head and beard were still black. [Majma’ al Zawa’id]

162. To obey Allah, one must obey the Messenger of Allah ﷺ

“He who obeys the Messenger, has indeed obeyed Allah…” [Qur’an 4:80]

163. To love Allah AND the Messenger of Allah ﷺ is a precondition for the sweetness of faith.

· Sayyidina Anas b. Malik reports that the Messenger of Allah said, “Whoever possesses the following three qualities will have the sweetness (delight) of faith: 1. The one to whom Allah and His Messenger ﷺ becomes dearer than anything else. 2. Who loves a person and he loves him only for Allah’s sake. 3. Who hates to revert to atheism (disbelief) as he hates to be thrown into the fire.” [Bukhari]

164. Through Messenger of Allah’s prayer, the sun (which had set) reversed in its course, and Sayyidina Ali was able to pray his ‘Asr salah.

Sayyida Asma narrates: Revelation was being sent to the Messenger of Allah ﷺ and his head was on the lap of Sayyidina Ali, who had not yet prayed Asr salah. Eventually, the sun set. The Messenger of Allah asked, “O Ali, have you prayed?” He replied, No,” •
Then the Messenger of Allah made a plea to Allah: “O Lord, he (Ali) was busy in the obedience of You and Your Messenger, hence return the sun back for him.” Sayyida Asma said: “I saw the sun set but then I saw it rising back again, and daylight became visible upon the mountains and land. This incident took place near Khaybar.” [Hafiz ibn Kathir’s al Bidayah wan Nihayah; Tafsir Imam Qurtubi]

165. On the day of migration to Madinah, the camel of the Messenger of Allah ﷺ was guided by Allah’s Command.

● When the Messenger of Allah ﷺ first entered Madinah, the people and the nobles of the city wanted him to reside with them. He said, “Let it (the she-camel) step forward freely, for it is commanded (by Allah).” [Sirat ibn Hisham]

166. On the night of the Messenger of Allah’s migration to Madinah, he left his house which was surrounded by enemies, and threw dust in their faces; as a result, none of them saw him or Sayyidina Abu Bakr Siddiq.

. [Sirat ibn Hisham]

167. Abu Jahl was overcome with terror when the Messenger of Allah ﷺ approached his door to collect the due of a foreign businessman.

• Abu Jahl brought a camel from a man but withheld his money. So he went to an assembly of the Quraysh, whilst the Messenger of Allah ﷺ sat in one corner of the Masjid al-Haram, and said, “Who amongst you can help me retrieve my due payment from Abul Hakam ibn Hisham (Abu Jahl)? I am a stranger and a wayfarer, and he has taken my right.” They said, “Do you see that man sitting over there?”, and they pointed to the Messenger of Allah, aiming to joke at him, as they knew well the hostility between him and Abu Jahl. They added, “Go to him, and he will help you get your right.” This man went to the Messenger of Allah, and said, “O servant of Allah, Abdul Hakam ibn Hisham (Abu Jahl) has withheld the money he owes me. I am a stranger and a wayfarer. When I asked these men to tell me of someone who would help me to get my right, they advised me to come to you, so go and bring me my money from him, may Allah bless you.” The Messenger of Allah said, “Go to him,” and they went to him together.

When the men of Quraysh saw this, they sent a man to follow them. The Messenger of Allah went and knocked at Abu Jahl’s door, and when he asled who was there, he replied, “Muhammad! Come out to me.” He came out to him pale with terror, and the Messenger of Allah said, “Give this man his due.” Abu Jahl said, “Do not leave until I get him his money,” and went inside and came out with the due payment and gave it to the man. The Messenger of Allah went away saying, “Go to your business.” The man returned to the Quraysh assembly and said, “May Allah reward him, for he has gotten me my right.”

The man who the Quraysh had sent to follow them reported: “It was something unusual. Hardly had he knocked at his door when he came out bloodless with fear.” Just after relating what had happened, Abu Jahl himself appeared and they said, “What has happened to you? We have never seen you doing anything like what you have done.” Abu Jahl replied, “Confound you! By Allah, as soon as he knocked on my door and I
heard his voice, I was terrified. Then I went out to him. A camel stallion was high above his head. I have never seen such a stallion before with such a head, shoulders and canines. By Allah, if I had not paid him, the stallion would have devoured me.” [Sirat ibn Hisham]

Surah Kausar Kiski Shaan me Nazil hui?

Aapko pata hai Surah Kausar Kiski Shaan me Nazil hui?

“(Ay Habib-e-Mukarram) Beshaq Hamne Aapko Kausar ata kardi.
Pas Aap Apne Rab keliye Namaz padha karen aur Qurbani diya karen.
Beshaq Aapka dushman he abtar hai.”

“Abtar” yaani jo har khair se mehroom aur munkata un nasl hai, jiski nasl baaki nahi rahegi.
Surah Kausar me jo lafz-e-Kausar hai uske darjan se zyada maani hain jo hamari Ahle Sunnat ki kutub me hain, Aaimma-e-Tafseer aur Aaimma-e-Hadees ne riwayat ki hai. Aur sabse aala maana Al-Kausar ka “Al-Khairul Kaseer” hai, jise Imam Bukhari ne Sahih Bukhair ki Kitab ul Tafseer Hadees no. 6207 me riwayat kiya hai. Al-Khairul Kaseer me saare maane aajaye hain, “Har Khair ki Kasrat”, “Hamne Aapko Har Khair ki Bay inteha Kasrat ata kardi.” Aur Maaruf tareen maan Kausar ka “Nehar-e-Kausar” hai jo Jannat me hai, ye bhi Ahadees-e-Sahiha me hai aur dusra Maaruf tareen maana “Hauz-e-Kausar” hai, Jismese Qayamat ke Din Aaqa Alaihissalam Apni Ummat ko pilaenge.
So 3 maana wo hain jo aapne aksar wa beshtar sune, Nehr-e-Kausar, Hauz-e-Kausar, Al-Khairul Kaseer zyada nahi suna magar saare maani se jaame maana jise Imam Bukhari ne Kitab ul Tafseer me riwayat kiya wo Al-Khairul Kaseer hai. Jab farmaya Har Khair ki kasrat to Nehr-e-Kausar bhi ise me aagayi, Hauz-e-Kausar bhi isi me aagaya aur saari khairat isi me daakhil hogayi.
Ye baat kehkar ab Imam Fakhruddin Raazi Rehmatullah Alaih Jinki maaruf Tafseer “al-Kabeer” hai, unhone al-Kausar ke sabse zyada, tamam mumkina maano ko apni tafseer me jama kardiya. Pehal qaul unhone “Nehran fil Jannah” kaha, dusra qaul “Hauz-e-Kausar” ka bayan kiya. Al Qaulus Saalis teesra (3) qaul jo Imam Fakhruddin Raazi ne quote kiya, wo farmate hain al-Kausar iska teesra maan hai “Al Kausar Auladuhu” “Huzoor Alaihiswalatu was¬-Salaam ki Nasl aur aulad ki kasrat!”
[Raazi, Tafseer al Kabeer, volume: 32, Page 124]
Huzoor Alaihissalam ki Nasl aur Zurriyat ka Qayamat tak baaki rehna, farmate hain al-Kausar ka maan ye hai! Ye 12 maani me ek maana hai. Aur Imam Fakhruddin Raazi iski wajah wahi aage bayan karte hain, farmate hain:
“Innama Nazalat Raddan ala Man Aabahu Alaihissalam be Admil Aulad”
Aas bin waayal ek shakhs tha badbakht aur mukhtalif riwayaton me hai aur kuffar aur mushrikin ke naam bhi aaye hain magar kasrat ke saath riwayat me aas bin wayal ka naam aaya hai. Us badbakht ne Aaqa Alaihissalam ko taana diya. Jab Huzoor Alaihissalam ke Sahabzaade Hazrat Qasim ka inteqal hua, ek riwayat me Hazrat Ibrahim ka Zikr aaya hai. Jab Sahabzaade ka inteqal hua to us shakh ne Huzoor Alaihissalam ko abtar kaha MaazAllah. Abtar ka matlab hai jiski nasl baaki na bache. Nasl chunke chalti hai bete se. Betiyan to dusre ghar chali jaati hain aur fir uske batan se jo aulad hoti hai wo to sasural ki nasl hoti hai. Aur apni nasl jo chalti hai wo bete se chalti hai. Jab Aulad na rahe Wisaal farma gaye to kafiro aur mushriko ne Aaqa Alaihissalam ko taana diya ke ye abtar, munkata un nasl hogaye, Inki nasl cut gayi, ab Muhammad (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ka (maazAllah) duniya me Naam lene wala koi nahi rehega. Ispar Imam Fakhruddin Raazi Rehmatullah Alaih ne farmaya ke kafiro ke is taane ke radd me Allah Tabarak wa Ta’ala ne Surah Kausar ko naazil kiya. [Raazi, Tafseer al Kabeer, volume: 32, Page 124]
Ye baat kabil-e-tawajjoh hai, Surah Kausar ki Shaan-e-Nuzool ki sabse zyada kareeb tareen mutabekat aur muafeqat is maana ke saath banti hai. Har chand ke pehle 2 maan aala aur arfa hain zyada maqbool aur maaruf hain magar Shaan-e-Nuzool teesre maana ke zyada kareeb hai, ke naazil hui jab Aaqa Alaihissalam ko taana diya gaya ke jab koi bete na raha to ye Surat naazil hui. Isilye Surat ki aakhri aayat ye hai Mere Mehboob Aap abtar nahi hue, Aapki Nasl na kati hai na kategi, “Innasha ni aka huwal abatar.” Aapke dushman ki nasl cut jaegi! Wo abtar hogaya jo Aapka dushman hai, uska naam wa nishan mit jaega aur uski nasal baaki nahi rahegi, uski nasal ka nishan tak agle zamano me kisiko dikhayi nahi dega.
Imam Fakhruddin Raazi kehte hain ke yahan Kausar ka maana Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat ki Kasrat, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Nasl ki kasrat, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Aulad ki kasrat. Farmate hain Kyunki kafiron ke taane ke radd me naazil hui isliye Allah Rabbul Izzat ne farmaya “Inna A’atoina Kal Kausar.” Mere Mehboob Hamne Aapko Aapki Nasl, Zurriyat aur Aulad ki wo Kasrat di hai ke Qayamat tak koi zamana Aal-e-Rasool se khaali nahi hoga. Saadat ke wujood se koi zamana khaali nahi hoga. Imam Fakhruddin Raazi farmate hain ke “Inna A’atoina Kal Kausar.” ka teesra maana hai ke Mere Mehboob ye dushman jo Aapko abtar ka nasl cut jaane ka taana dete hain, Humne Aapko Bashaql-e-Kausar Qayamat tak sabse zyada baaki rehne waali Nasl aur Zurriyat ata kardi hai.
Aur fir Imam Fakhruddin Raazi ke alfaaz hain is baat par wo daleel laate hain
“Fanzur Kam Qutila Min Ahlil Bayt Summal Aalamu Mumtaliyum Minhum”
[Raazi, Tafseer al Kabeer, volume: 32, Page 124]
Farmate hain: Logon dekho kitne Nufus-e-Qudsiya ko chun chunkar Shaheed kardiya gaya, Ahle Bayt-e-Muhammadi (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ke kitne afraad Shaheed kardiye gaye aur kitni kasrat ke saath Ahle bayt ki Shahadaten hui, magar iske bawajood saara zamana aur saara aalam Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat aur Ahle Bayt ke saath bhara pada hai.
Aur aage Imam Raazi kehte hain: Zamana saara Ahle Bayt ki sabse Shahadaten hone ke bawajood, yaani Zurriyat-e-Hussain Alaihissalam me se sirf ek bache Imam Zainul Aabideen Alaihissalam Karbala se, Imam Hasan-e-Mujtaba Alaihissalam ke bhi Sahabzaade zyada nahi bache, magar Nasl faili, Qayamat tak ru-e-zameen ke goshe goshe me Zurriyat-e-Muhammad (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) hain. Aur Imam Raazi farmate hain:
“Walam Yabke min bani umaiyyata fid dunya ahadaun”
Idhar banu umaiyya ko dekho, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Ahle Bayt ko Shaheed karne waale, unme se ek shakhs nhi duniya me nahi bacha. Jo Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Nasl mitana chahte they wo banu umaiyya ki he puri nasl mit gayi. Aur Imam Raazi ne baat yahan khatam nahi ki. Aage farmate hain:
“Summ manzur kam kaana feehim minal akabire minal ulama-e-kal Baaqir wal Saadiq wal Kaazim war-Rida wan-Nafsuz-Zakiyyata wa amswalihi.”
[Raazi, Tafseer al Kabeer, volume: 32, Page 124]
Farmate hain, baat sirf ye nahi ke Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Ahle Bayt-e-Pak, Aal-e-Pak se puri duniya bhari padi hai, baat sirf ye nahi. Farmaya fir dekho kaise kaise ilm ke pahaad hue aur kaise kaise Maarifat ke Sutoon hue aur rehnumaayi aur wilayat ke kaise kaise Imam aur Peshwa Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Ahle Bayt me hue, ek taraf Imam Baaqir Nazar aate hain, idhar Imam Jafar Sadiq Nazar Aate hain, Idhar Imam Musa Kaazim Nazar Aate hain, idhar Imam Ali Raza Nazar Aate hain, idhar Nafse Zakiyya Nazar Aate hain aur isi taraf itne bade bade ilm Marifat aur Wilayat ke sutoon Ahle Bayt me Paida hue.

Ye Imam Fakhruddin Raazi ke reference jo diya iski taaid me aur important references deta hun taake koi ye na samjhe ke sirf ek qaul me maine madaar karliya.
Imam Baizaawi, Tafseer Baizaawi, volume 4, Page 456 me kehte hain, aur Imam Baizaawi itne bade Aaimma me se hain ke Unka Muqaam bayan karneki haajat nahi hai. Tafseer Baizaawi me bhi unhone isi tarah al-Kausar ki tafseer me is qaul ko bhi zikr kiya hai, farmaya “wa keela Auladuhu.” (Yaani Huzoor Alaihiwalatu was-Salaam ki Aulad).
Isi tarah Imam Saawi ne Jalalain ke Hashiya me is qaul ko zikr kiya aur farmaya al-Kausar ka ek maan ye bhi hai “Annahu Az-Zurriyatul Kaseeratul Mubaraka, wa Qad Haqqa qAllahu Zaalik, Fala Tajid Zurriyatan Li Ahadin Minal Khalki Misla Zurriyatil Mustafa fil Kasra, wara fil baraka ila Yaumil Qayamah.”
[Saawi, Hashiya Saawi, volume 6, page 2437]
Farmaya al-Kausar ka ek maana ye bhi hai jiski Allah Pak ne tehqeeq farma di ke jitni Zurriyat aur aulad Mustafa (SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam) ki badhi, Kainat me kisi insaan ki nasl itni nahi badhi hai. Ye Kasrat sirf adad m nahi hai, barakat me bhi hai aur ye kasrat-e-adadi aur kasrat-e-roohani Qayamat ke din tak qaayam rahegi. Aur fir aage farmate hain jab Surah Kausar naazil hui, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki 7 Auladen Thin. Hazrat Qasim, Hazrat Abdullah (Jinko Tayyab wa Tahir bhi Kehte hain), Hazrat Ibrahim, 3 Sahabzaade they aur 4 Sahibzaadiyan Thin Hazrat Zainab, Hazrat Ruqaiyya, Hazrat Umme Kulsum Hazrat-e-Fatima (Salawatullah Alaihim). Saari Aulad Hazrat Khadijatul Kubra RadiAllahu Anha se Thin siwaye ek Sahabzaade Hazrat Ibrahim ke Wo Hazrat Maria Kibtiya RadiAllahu Anha se They. Ab Imam Saawi likhte hain ke 7 me se 6 Aulad Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Hayat-e-Tayyiba me Wisaal Farma gaye siwaye Sayyeda Fatima Salamullahi Alaiha ke. Ab mai us zikr ki taraf aaraha hun ke Sayyeda-e-Kainat Salamullahi Alaiha ka Zikr Quran me kaise! Imam Saawi farmate hain Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat keliye 7 Aulad me se sirf Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha ko Muntakhab kiya gaya aur Qayamat tak jo Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Nasl aur Zurriyat se puri kainat bhari padi hai wo sirf Batan-e-Sayyeda Fatima ki Barkat se bhari padi hai! Ye jo Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat ki kasrat ko Kausar kaha us Kausar ka jo Nehr-e-Kausar-e-Zurriyat wo Fatima tuz-Zahra hain! Nehr-e-Kausar-e-Nasl-e-Mustafa wo fatima tuz-Zahra hain! Nehr-e-Kausar-e-Kasrat-e-Aale Rasool wo Fatima tuz-Zahra hain! Ek Sayyeda-e-Kainat Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha ke Batan se Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat itni badi ke aajke din aur Qayamat tak Huzoor Alaihissalam ki Zurriyat se saare zamane maamoor hogaye.
Imam Aalusi ne bhi Tafseer Rooh ul Ma’aani Volume 15, page 283 me al-Kausar ka yehi maana liya hai. Ahle Sunnat ke bade bade akabir aur Aaimma-e-Tafseer ne bina jhijhak ke is qaul ko hamesha liya hai.
Ab Kausar se muraad to Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ki Zurriyat hogayi. Lekin Nasl chalti hai beton se, Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ke teeno Bete thodi umar me wisaal farma gaye. Usme Khatam-e-Nabuwwat ka Raaz tha, ke koi Beta na jawan hua na shaadi ki umar ko pahuncha na Pote hue. Zurriyat to chalni thi Bete se lekin Bete to Wisaal farmagaye, usi par to taana diya tha dushmanon ne, jis taane ke jawab me ye Allah Rabbul Izzat ki Sunnat thi aur Aadat-e-Mubaraka thi, jo dushman badbakht Khuda ke Habeeb SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko taana deta, Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko Hukm tha Mehboob Aap kisi dushman ko jawab nahi denge, taana Aapko Aapka dushman dega, Jawab Mai Dunga! Quran Pahlen Jab Nooh Alaihisalam ko log taana dete they to Allah Pak Wahi farmata Nooh Alaihissalam to Nooh Alaihissalam Jawab dete. Shuaib Alaihissalam par taana diya to Shuaib Alaihissalam ne jawab diya. Hazrat Musa Alaihissalam ko taana diya to Hazrat Musa Alaihissalam ne jawab diya. Hazrat Hud, Hazrat Saaleh, unko taana diya gaya to Unhone khud jawab diya. Jis Paigambar ko dushman-e-Deen aur kuffar ne taanajani ki, us Paigambar ne Izn-e-Ilahi se Khud Apni Zaban se jawab diya. Rabb-e-Kainat ne sirf Apne Habib-e-Mukarram ko Mustasna kiya, Farmaya Mere Mehboob ab yahan trik badal gaya, jo badbakht Aapko taana dega, Aap Rehmatullilaalameen aur Raufur Raheem hain Aap Chup Rahiyega, dushman jo taana dega Jawab Khuda dega! To Allah Pak Jawab Dete. Lihaza dushman ne taana diya Huzoor Alaihissalam ko ke Aap abtar hogaye, Rab ne is taane ki jawab me puri Surat Naazil kardi, aur sath kaha Mere Mehboob ko abtar kehne waale teri khudki nasl cut gayi!
Ab baat ye hai Nasl to chalni thi Bete se, Bete to Wisaal farma gaye, fir wo Kausar ka Khwab Kasrat-e-Zurriyat ke maana ke lihaz se uski taabeer kaise hoti? To Aaqa Alaihissalam ne farmaya Imam Tabarani ne Al-Mujam al-Kabeer #2632 me riwayat kiya, Imam Abu Ya’ala ne Al-Musnad #6741 me riwayat kiya, Imam Dailami ne al-Firdaus me riwayat kiya, Khatib Baghdadi ne Tarikh-e-Baghdad me, Mizzi ne Tehzib ul Kamal me riwayat kiya Hazrat Sayyeda Fatima tuz-Zahra Salamullahi Alaiha he riwayat Karti hain ke Huzoor Alaihiswalatu was-Salaam ne farmaya: Har Maa ki aulad apne baap ki taraf mansoob hoti hai siwaye Fatima ke, ke Fatima ki Aulad Meri Hogi, Mai he Unka Wali Hun, Mai He Unka Asaba Hun, Mai He Unka Baap Hun.” Lihaza Aaqa Alaihissalam ne kabhi Imam Hasan aur Imam Hussain Alaihimussalam ko kabhi Nawasa nahi kaha, Unko Beta kaha. “Ibnaya” Ye Do Mere Bete Hain. Farmaya Fatima ki Aulad Ali ki Taraf nahi wo Meri Taraf Mansoob hogi.
Dusri riwayat jise Imam Ahmed bin Hanbal ne riwayat kiya Fazail-e-Sahaba me Sayyeduna Farooq-e-Aazam RadiAllahu Anhu farmate hain Maine Apne Kaano se Tajdar-e-Kainat SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ko ye farmate hue suna, Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: “Har aurat ki aulad ka nasab apni baap ki taraf se hota hai siwaye Fatima ki Aulad aur Zurriyat ke, Uska Nasab bhi Mai hun Uska Baap Bhi Mai Hun.”
Aur teesri riwayat Hazrat Jabir bin Abdullah RadiAllahu Anhu riwayat karte hain Imam Hakim ne al-Mustadrak #4770 me riwayat kiya Maine bhi Kaano se Aaqa Alaihiswalatu was-Salaam ko farmate hue suna ke Har maa ki aulad ka asaba, uska baap hota aur usi ki taraf wo mansub hoti hai, siwaye Fatima ki Aulad ke, Unka Baap Mai Hunga aur Wo Meri taraf Mansub hongi.
Ab iski taabeer ye hui ke chunke abtar ke taane ka jawab Allah ne diya Mere Mehboob Mai Aapki Nasl aur Zurriyat ko itna badhaunga aur usme itni kasrat aur barkat paida karunga ke Qayamat tak Aapki Nasl aur Zurriyat baaki rahegi Aapki dushmano ki nasle mit jaengi. Magar chunke Beta Aapka Jawan nahi hua, aur kisi Bete ka jawaan na hona maqsood nahi ye ek alag subject hai, uski hikmat Khatam-e-Nabuwwat ke masle me hai wo ek alag subject hai. To chunke Beta zinda na raha lihaza hum Aapki Nasl aur Zurriyat ko Qayamat tak failane ke liye Bete ka Muqaam Fatima ko dete hain. Ab Aapki Nasl aur Zurriyat Fatima se chalegi, chunke wo Nasl o Zurriyat Huzoor ki Kausar bani us kausar ke liye Nehar Sayyeda Fatima tuz-Zahra ko banaya gaya. Lihaza Sayyeda Fatima tuz-Zahra ek maana ki ru se Kausar-e-Muhammad hain (SallAllahu Ta’ala Alaihi wa Aalihi wa Sallam) Zurriyat-e-Mustafa aur Aal-e-Mustafa aur Nasl-e-Mustafa ki Kasrat ke lihaz se!”

Salamullah Alaihim
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam

-Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri


Allahumma Salle Ala Sayyedatina Fatimah wa Ala Abeeha wa Ummiha wa Ba’aleeha wa Baneeha wa Ahle Baytiha wa Baarik wa Sallim