Yaum e Ghadeer aur Hazrat Umar ki sunnat

#Youme_Ghadeer Ki Mubarak Baad Dena Hazrat Umar Radi’Allah Taala Anhu Ki Sunnat Hai

Irbaaz Bin Sariyah Se Rivayat Hai, Unhone Bayan Kiya Ke Ek Din Nabi ﷺ Ne Hamein Namaaz Padhaayi Fir Hamari Taraf Mutawajjeh Huwe Aur Ek Bahut Muassir (Asar Karne Waala) Khutbah Diya Jis Se Aankhein Bheeg Gayi Aur Dil Kanp Uthe. Hum Me Se Kuch Logon Ne Kaha Ke Aye Allaah Ke Rasool: Yah To Aakhiri Khutba Maloom Hota Hai To Hamein Kuch Wasiyyat Kijiye. Aap (ﷺ) Ne Farmaya: Main Tumhein Allaah Se Darte Rehne Aur Apne Sahib e Amr (Hakim) Ki Baat Manne Aur Uski Ita’at Karte Rehne Ki Wasiyyat Karta Hun, Agarcha Tumhara Sahib e Amr Koi Habshi Ghulaam Hi Kiun Na Ho. Tum Me Se Jo Log Mere Baad Zindah Rahenge Woh Ab Aur Tab Me Bada Farq Mehsoos Karenge, To Tum Meri Sunnat Aur Hidayat Yaafta Khulfaa e Rashideen Ki Sunnat Ki Pairwi Karna, Usko Mazbooti Se Thamna Aur Daant Se Pakadna, Aur Deen Me Jo Nayi Baatein Ghusaayi Jaayen Un Se Khabardaar Rehna Kiunki Har Aisi Baat Bid’at Hai Aur Har Bid’at Gumraahi Hai.

Refrence : 📗

Sunan At Tirmizi: 2676, Abu Dawood: 4607, Sahih Ibn e Hibban: 5, Ibn e Majah: 43, 44, Musnad Ahmad: 16694, 16692, Miskaat ul Masaabih: 165, Al Mustadrak Ala As Saheehain: 334, Sunan Darmi Wagairah)

“Bara’ Bin ‘Aazib RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwayat Hain Hum Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Saath Safar Par They, (Raaste Me) Hum Ne Ghadir Khum Me Qiyaam Kiya. Waha’n Nida Dee Ga’i Ki Namaz Khadi Ho Ga’i Hai Aur Rasoole Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa Sallam Ke Li’e Do² Darakhto’n Ke Neeche Safaa’i Kee Ga’i, Pas Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Namaze Zuhr Ada Kee Aur Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala
Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Kya Tumhe’n Ma’loom Nahin Ki Mein Momino’n KeeJaano’n Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyon Nahin! Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : ˝Kya Tumhe’n Ma’loom Nahin Ki Mein Har Momin Kee Jaan Se Bhi Qarib Tar Hoo’n? Unhone Kaha : Kyoon Nahin! Raawi Kehta Hai Ki Phir Aap SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Hazrat ‘Ali
KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ka Haath Pakad Kar Farmaya : ˝Jis Ka Mein Mawla Hoo’n Us Ka ‘Ali Mawla
Hai. Aye Allah! Use Too Dost Rakkh Jo Ise (‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko) Dost Rakkhe Aur Us Se Adaawat Rakkh Jo Is Se Adaawat Rakkhe.” Raawi Kehta Hai Ki Is Ke Baa’d Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Ne Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se Mulaqat Kee Aur Un Se Kaha : ˝Aye Ibn Abi Talib! Mubarak Ho, Aap Sub’h-o-Sham (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har Momin Wa Mominah Ke Li’e Mawla Ban Ga’e.

Refrence 📗

Ahmad Bin Haal Ne “Al-Musnad (04/281)” Me Bara’ Bin Abi RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Se Yeh Hadith Do² Mukhtalif Isnaad Se Bayan Kee Hai.

Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/78, Raqm-
12167,

Muhibb Tabari Fi Dhakha’ir-ul-Uqba Fi Manaqibi
Dhawi Al-Qurba,/125,

Muhibb Tabari Fi Ar-Riyad-un-Nadirah Fi Manaqib-
il-‘Ashrah, 03/126, 127,

Munawi Ne “Fayd-ul-Qadir (06/217)

” Me Likha Hai Ki Jab Hazrat Aboo Bakr Wa ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhuma Ne Huzoor Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala Alyhi Wa Sallam Ka Qoul Man Qunto Moula Fahaza Aliyun Moula Suna To (Hazrat ‘Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Se) Kaha : “Aye Aboo Talib Ke Bete! Aap Sub’h Wa Shaam (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har Aap Sub’h Wa Shaam (Ya’ni Hamesha Ke Li’e) Har
Momin Aur Mominah Ke Mawla Qaraar Paaye.”

Hisam-ud-Deen Hindi Fi Kanz-ul-’Ummal, 13/133,
134, Raqm-36420,

Ibn ‘Asakir Fi Tarikh Dimashq Al-Kabir (Tarikh Ibn
‘Asakir), 45/167, 168,

Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Apni Kitab “Fada’il-us-
Sahabah (02/610, Raqm-1042)”

Me Sayyidina ‘UmarFarooqe RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Waali Haizi Me In Alfaaz Ka Izaafa Kiya Hai Ki Huzoor Nabiyye AkramSallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya ”Aye Allah!) Jo (‘Ali) Se Adaawat RakkheUs Se Too Adaawat Rakkh Jo (‘Ali) Kee Madad Kare Us Kee Too Madad Farma, Jo Is Se Muhabbat Kare Too Us Se Muhabbat Kar. Shu’bah Ka Kehna Hai Ki Is Kee Jagah Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmaya : Jo (‘Ali) Se Bughz Rakkhe Too (Bhi) Us Se Bughz Rakkh.

Ibn Athir Fi Usd-ul-Ghabah Fi Ma’rifat-is-Sahabah,
04/103,

Dhahabi Ne Siyar A’lam-in-Nubala’ (02/623, 624)”
Me Kaha Hai Ki Hazrat ‘Umar RadiyAllahu Ta’ala
‘Anhu Ne ‘على يا هييئا)’ ‘Aye ‘Ali! Aap Ko Mubarak Ho)’ Ke
Alfaaz Kahe.

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 04/169,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 05/464.

Leave a comment