Muahida Hilf ul Fadul!

Hadith: Zam Zam Se Mutalliq

*1.* Hazrat Sayyedna Abuzar Al Ghifari Razi Allahu Tala Anhu Bayan Karte Hain Ke Rasoolullah ﷺ Ne Aabe Zam Zam Se Mutalliq Farmaya :- Ye Babarkat Hain Aur Beemari Se Shifa Hain.

📚 *Reference* 📚
Musnad Al Bazzar, Hadees No 3929.

*2.* Hazrat Sayyedna Abdullah Ibn Abbas Razi Allahu Tala Anhu Bayan Karte Hain Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya :- Rue Zameen Par Behtareen Pani Zam Zam Ka Pani Hain Aur Beemariyo Se Shifa Hain.

📚 *Reference* 📚
Mujam Al Awsat, Hadees No 8129.

*3.* Hazrat Sayyedna Jabir Ibn Abdullah Razi Allahu Tala Anhu Bayan Karte Hain Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya :- Aabe Zam Zam Jis Maqsad Ke Liye Bhi Piya Jaye Usko Pura Kar Deta Hain.

📚 *Reference* 📚
Sunan Ibn Majah, Hadees No 3026.

*4.* Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya :- Aabe Zam Zam Me Har Beemari Ki Shifa Hain.

📚 *Reference* 📚
Musnad Al Firdaus, Hadees No 2471.