Syed Ghulam Yahya (رحمتہ اللہ علیہ)

BaHawala Zahoor e Qutbi Syed Shah Faizullah ke chote sahabzade Syed Ghulam Yahya (رحمتہ اللہ علیہ) ne bhi pukhta irada imakun musharrafa ki ziyarat ka karke tark e watan kar diya.Ye us waqt bandargah Surat pahuche ke jab jahaz par sawaar hone ka zamaana guzar chuka tha.lekin hasan e itefaq ke unko chote kashti ke mallah ne sooba Orissa pahucha diya jo bangal ka door tareen ilaqa hai.Jo us waqt Bung ke naam se jana jata tha.Waha ka Subedaar Saeed Ahmad Khan Saulat Jang ulema wa Sufiyo’n ka behad qadr da tha.Woh inke ilmi liyaqat wa zahiri baatni kamalat se bahut mutassir huwa.Unke saath Izzat wa ahteram se pesh aaya aur Makka shareef jaane ki tareekh tak unki khatir wa tawazo ka umda intezaam kardiya.Kuch hi din guzre  the’n ki ek syed se subedar ko narazgi ho gayi aur woh unko qatl karne ke mansoobe par agaye itefaq se woh Syed sahab qaid khane se farar ho kar Syed Ghulam Yahaya ke wahan panahguzi huwe.udhar woh subedaar unke talash mein lag gaya aur bil akhir jasooso ke zariye unhe farar syed sahab ki Syed Ghulam Yayaha sahab ke ghar mein hone ki khabar mil gai. Soobedaar ko Khabar kiye baghair Qaid khane ke hukkam Syed Ghulam Yahaya se ulajh pade aur farar Syed sahab ko talab karne lage .Hazrat Syed Ghulam Yahaya sahab ne behad uzr aur maazrat ki aur kaha ki mae Soobedar se baat karonga ye meri panah mein hai.lekin jail ke nigehbano ne ek na suni aur baat badhti gayi aur dono taraf se harbo zarb nikal aye’n yahan tak Hazrat Syed Ghulam Yahaya r.a apne chand aur rafiqo’n ke saath jaame shahdat nosh farmaya.Jab iss waqia ki puri khabar soobedar ko mili tu woh tamam log jo is fail ke murtakib huwe the’n sab ke sab par aetaab huwa unke ghar khudwa ke phek diye gaye aur sara saman lutwa diya gaya.un Syed Buzurg Syed Ghulam ka koi na tha na ahel na ayal bajuz naam aapki kuch yaadgar na rahi.

               Shajra Aulad Syed Shah Faizullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

shajra

Advertisement