Syed Muhammad Adal urf Syed Shah lal (رحمتہ اللہ علیہ)

Syed shah Ilmullah ke poto’n mein sab se mumtaz aur raushan naam Syed Muhammad Adal urf shah lal ka hai. jo syed Muhammad jee ke farzande asghar syed muhammad hukm ke biradare khurd hai’n. apne waqt ke naamwar mashaikh wa Aulia Allah mein hai’n. Awadh ke iteraf mein zayadatar silsile aise hai jinka inse baet wa iradat ya ijazat wa khalafat ka taluq hai. Hindustan ke Mashoor Markaz e ilm aur halqae dars Firangi Mahal ke baaz naamwar ulema bhi jo inke muasir the’n ek arse tak inke khidmat mein rah kar inke faiz sohbat wa tarbiyat se faizyab aur khalafat se sharfyab hue’n. is tarah Kakori ke mashoor silsila e Naqshbandia aur baaz akabir silsila e Qalandariya ki nisbat roohani bhi aap hi se hai.

Seerat e Ilmia ke woh hashiya jisko Nuzhatul khawatir mein darj kiya hai. wo iss tarah hai.dav

Syed Shah Abul Hasan Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) Aaine Awadh mein likhte hai’n ke Jang se pahle Hafiz Rehmat Khan Rohaliya Raees Raibarelli ne Shah lal (رحمتہ اللہ علیہ) ke pass apne fateh ki dua karane ke gharaz se ek darkhwast bheji. inhone iss par ye farmaya ki tum na haq pe ho maye tumhare liye Dua’e khair nahi karonga. aur wo tahreer ittefaq se pakdi gayi aur nawab Shujauddaulah ke samne pesh hui. Nawab Hazrat ki haq nuaesi ko dekh kar inka bahut Mautqid wa madah hua. Aap 85 saal ki umr mein 11 ramzanul mubarak san 1192 hijri ko wisal kar gaye aur Roza Shah Illmullah (رحمتہ اللہ علیہ) mudfoon hue’n.

Advertisement