Zikr Khandan Syed Ummed Ali Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) Musannif Zahoor e Qutbi (1175 hijri):
Sahibe Kitab Tareekh Aaine Awadh Syed Shah Abul Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) iss khandan Aalishan ke mutabiq safa 267 par raqam taraaz hai’n.
Mir Ummed Ali Qutbi hamesha Nazim e Bangal wa Salateen e Delhi ki rafaqut wa masahbat mein rahe’n aur Aksar 2000 sawaro’n ke Afsar rahe’n.Akhir zamaane mein Sadaat e Qutbia mein kisi ko aisa zahiri eqtidaar hasil nahi huwa.Asal karnama inka Zahoor e Qutbi ki tasneef hai.Zarori hai ki yaha’n par Zahoor Qutbi ka tafseeli zikr kiya jaye. Kyunki ek Kamyab Farsi Makhtuta hone ki wajah se bahut kam Qareen ki is kitab tak rasai hui hogi.
Mir Ummed Ali ke ek pisar Syed Mirza Sa’adat Baksh Khan aur ek dukhtar Atharun nisa hue’n.Syed Mirza Sadat Baksh Khan ki shaadi Raja Syed Shah Ghulam Hussain urf Raja Hela Raees wa Talluqdar Shahabuddinabad zila Pratapgarh ki beti se hui.jinse ek beti Syeda Fahimun nisa urf Bibiji hui’n. jinki shaadi Syed Shah Mazhar Ali se hui.Mirza Sa’adat Baksh ne dusri shaadi ek ghair Biradari ki aurat se kiya jin se ek pisar Mir Syed Jamiluddin urf Mir Bhola paida hue’n.Jab Mirza Syed Sa’adat Baksh ka wisal huwa tu inke jaedad ko lekar Shah Mazhar Ali aur Mir Bhola ki darmiyan muddat tak jhagda raha akhir bahami tasfiya ke mutabiq Bap ki naukri aur adha ilaqa Mir Bhola ne paya aur adha ilaqa Bibi ji zauja Syed Shah Mazhar Ali ne paya.
Mir Syed Jamiluddin urf Mir Bhola ne do shaadi ki pahli biwi se Mir Syed Hasan hue’n aur Dusri Biwi se Mir Syed Muhammad Ali hue’n.in dono bhaiyo’n ne apni-apni jaedad farookht kardi.Mir Syed Hasan apne sasural mauza barozah zila Fatehpur ja base aur Mir Syed Muhammad Ali mulazmat ke wajah se Alwar mein rahe’n.
Bibi ji zauja Shah Mazhar Ali ke tarqe ki jaedad ko unke Bete Maulvi Mazhar Husain ke inteqaal ke baad unke wariso’n ne bandi Rambaksh Mahajan sakin audhan pargana kada ke pass rahen kar diya.
Syed Turab Ali Qudrat shaheed
Mir Syed Ummeed Ali ke manjhle bhai apne waqt ke Rustame Dastan aur behtreen shayar the’n.35 saal ki umr mein san 1170 hijri mein Jang Raja Tiloi yani Gangapaar ke Rajao’n ke ladai mein Toap ke gole ke phatne se aap shaheed ho gaye.
Syed Turab Ali Qudrat Haji Syed Ibrahim Muntahi ke shagird the’n jo mashoor sahibe Deewan shayar Shaikh Muhammad Afzal saabit Allahabadi ke arshad talamzah mein se the’n.Mir Ummeed Ali apni Kitab jild Awwal Zahoor e Qutbi mein likhte hai’n.
Inke Kuch Ash’aar bataur yaadgar iss tarah hai’n.>>>>>>>>>

Syed Zainul Abideen urf jana miyan :
Aap Hazrat Mir Syed Ummed Ali Qutbi ke teesre bhai hai’n.aap bhi shayar bebadal the’n.Nawab Asifuddaulah jab Kada tashreef laaye’n tu woh guzraangarh bhi gaye’n jahan Jana miya ka Markaz tha aur aap ki khidmat mein haazir hue’n Mulaqat ke baad inko apne humraah Lucknow legaye’n.jab Mushaira ki naubat aai tu shora e Lucknow ke Muqable mein inhone 100 ash’aar leke’n. sab log inke kamal ke mautarif hue’n.lekin Nawab Sahab ke shadeed israr ke baawajood inki rafaqut tark karke apne watan chale aaye’n aur lawald is jaha’n se guzar gaye’n.
Shajra Aulad Syed Noorullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) Kada shareef .