Hazrat Syed Shah Muhammad wa Syed Ruqnuddin (رحمتہ اللہ علیہ) (ye bhi sakin Kada rahe’n):
Hazrat Syed Shah Muhammad wa Syed Ruqnuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ibnan Syed Musa bin Syed Firozuddin bin Syed Ruqnuddin bin Syed Tajuddin bin Syed Akhund Shah bin Syed Mir Bade bin Syed Qayamuddin bin Syed Sadruddin Bin Syed Ruqnuddin bin Syed Nizamuddin Hasan bin Hazrat Syed Amir Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni (رحمتہ اللہ علیہ)
Syed Ruqnuddin r.a bin Syed Musa ke ek pisar Syed Muhammad hue’n.Inke pisar Syed Farid saani hue’n inke pisar Syed Fazlullah inke pisar Syed Raji Muhammad urf Syed Sidhari hue’n inke pisar Syed Shah Mir hue’n inke pisar Syed Muhammad Wazir aur inke pisar Syed Abdullah hue’n inki shaadi Machondar Bibi dukhtar Syed Ashraf Ali se hui jin se Syed Mir Muhammad Hasan paida hue’n.
Mir Muhammad Hasan San 1880 eiswi mein mohalla bazaar jo pahle qazi tola kahlata tha qayam pazir the’n. inki chaar humshira thi’n. jinki tafseel hasab zail hai.
- Humshira Aola :Syed Basit Ali (Maullif Aaine Awadh ke mamu) ko mansoob hui’n. shaadi ke baad syed basit Ali 10 roz baad wisal farma gaye’n.lekin inki zauj shareek e khandan Maullif Aaine Awadh rahi’n.
- Humshira Sania :Syed Muhammad Ismail biradar Maullif Aaine Awadh ko mansoob hui’n.lekin wo shaadi ke ek saal zinda rah kar wisal farma gai’n.
- Humshira salsah : Apne mamuzaat Syed Mazhar Hussain bin Shah Mazhar Ali ko mansoob hui’n.inse aulad bahut hui’n magar zinda na rahi’n. sirf ek dukhtar ikhlakun nisa bibi hui’n.jo Maullif Aaine Awadh ke sab se chote bhai Syed Abul Muzaffar urf kallan miya ko mansoob hui’n.
- Humshira rabiah :Mir Fazal Ali zamidaar taranagar ko mansoob hui’n. inke batn se 6 pisar wa 2 dukhtar kul 8 aulade’n hui’n.
san 1880 eiswi mein bahawala Tareekh Aaine Awadh Kada mein baqi bache Qutbi sadaat mein sewaye Syed Muhammad Hasan aur dukhtar Maulavi Muhammad Mazhar Hussain zauja Abul Muzaffar ke Itlaaq e Qutbiat ka az roo e maadri wa pidri kisi dusre par nahi ho sakta tha.
Shajra:
Zikr Aulad Hazrat Syed Shah Muhammad ibn Syed Musa (Sakin Kada rahe’n)
Syed Shah Muhammad inke pisar Syed Shah Ghulam Husam inke Syed Shah Khaleel hue’n inki shaadi jaisa ki pahle zikr ho chuka hai bakhana aulad Makhdoom Shah Husamuddin sahabe walayat Manikpur dukhtar Shah Ali Raza Husami sajjadan nasheen patigali Manikpur se hui.jin se do pisar Syed Shah Babullah aur Syed Shah Qasim hue’n.ye dono batarka nanhihali baad husool Baet wa Khirka khalafat apne nana ke janasheen huwe.Syed Babullah Patigali mein aur Syed Shah Qasim apne nana ki Dargah ke mutasil Khankah bana kar masnade irshad par baithe.aur apne nana ke mureed ko taqseem kar liya.Syed Shah Khaleel ka mazar andar ahata makaan Mir Ummed Ali Musannif Zahoor e Qutbi ke waqe hai.