Hazrat Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Syed Shah Muhammad Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) (Ba Hawala Seeratus Sadaat): 

jo sarhalqa-e-mashaikh kibaro wa sargiroh silsila e Kabeer Qutbiya aur apne Baap dada ke mureed wa khalifa the’n. Kurra sadaat mein tarah aqamat daali. Aap jalilul qadr Aulia Allah mein the’n. (Meer Syed Qutubuddin Muhammad Aquib Qutbi Hasni Sajjada Nasheen Aastana e Aaliya Suherwardiya Firdausiya kubrawiya Qutbiya kabeeriya kada shareef Zila kaushambi (U. P India) aap ki aulado’n mein hai’n)shajra-1

Shajra Aulaad Hazrat Qazi Meer Syed Ruknuddin Madni r.a ibn Meer Syed Nizamuddin Madni r.a ibn Hazrat Sarkaar Qutub Al Aqtaab Meer Syed Qutubuddin Madni (walayat-e-hind) rahmatullah alaeh.

Zikr e Sadaat Qutbia(Mauza Kurra Sadaat Zila Fatehpur)

Ba Hawala Seeratus Sadaat, Zahoor e Qutbi, Tareekh Kada wa Manikpur, Tareekh Aaina-e-Awadh, Carvaan e Zindigi Arbi nasl khandan ki ilmi wa deeni khidmaat kazba kodah Tareekh wa shakhsiyaat, Aukhab Shah Badiuzzama, Qutub dairah: Kurra sadaat (Jiska zikr Hazrat Ameer Kabir ki fatuhaat ke silsile mein ho chuka hai) Hazrat Ameer Kabir r.a ke waqt he se inki aulad ki jageer raha. Sultan Sikandar Lodhi (894 hijri mutabiq 1488 eiswi se 923 hijri mutabiq 1517 eiswi) ke zamane mein bashamool dusre dehato’n ke az-rue taqseem Hazrat Meer Syed Shah Ismail Qutbi r.a ke kabze mein aaya 1492 eiswi aur 898 hijri mutabiq 1493 ke darmiyaani arse mein rajgaan e kantit ke khalfishaar wa istila ke sabab se Hazrat Meer Shah Syed Ismail Qutbi r.a jo sarhalqa-e-mashaikh kibaro wa sargiroh silsila e Kabeer Qutbiya aur apne Baap dada ke mureed wa khalifa the’n Sarzameen e Kurra sadaat mutabarrak samjh kar wahi’n muntaqil ho gaye’n aur usi mauza mein tarah aqamat ki daali.
inka silsila baet wa ansab pidari ye hai.

Hazrat Meer Syed Shah Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn 

Hazrat Syed Shah Laad Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Syed Shah Raje Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Shah Syed Mian Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Syed Shah Musa Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Syed Shah Ziauddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Syed Shah Qayamuddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Syed Shah Sadruddin Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Meer Syed Shah Qazi Ruqnuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Meer Syed Shah Nizamuddin Hasan Madni Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ibn

Hazrat Sarkar Ameer Kabir Qutubudin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Al gharaz Sarkar Ameer Kabir Qutubudin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ki gyarwi pusht par  Hazrat Meer Syed shah Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) kada se uth kar mauza kurra sadaat tashreef laye’n.
Hazrat Meer Syed shah Ismail Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)  woh awwaleen Qutbi buzurg hai’n.jinhone ahed Sultan Sikander Lodhi mein Kada se uth ke Kurra mein boodobash akhtiyar kiya. aap jaleelul qadr aulia mein shumar hote hai’n Naql hai ki inhone yahan tak riyazat shaqiyah mujahidaat e nafsi kiye’n ke harmain sharifaen zaad hama’ullah sharfan ke safar ke waqt  apne ghar se ehraam haj bandha aur isse ehraam se ziyarat Makkah muazzama se musharraf hue’n.
Aapne Masnade irshad par baith kar ek alam ko munawwar wa mujalla farmaya.Aapne Kurra sadaat mein parda farmaya aur wahi’n supurde khaak hue’n.
Aap ke ek farzand Hazrat Meer Syed Jalaluludin jalal qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n.

Advertisement