Ba Hawala Tareekh Aaine Awadh ,Tareekh Kada manikpur ,Ansab Ashraf
aap ne Kada se uth ke paati gali Manikpur mein qayam kiya. aap jalilul qadr Aulia mein se the’n.
Hazrat Syed Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ki shaadi dukhtar Shah Ali Raza Husami Sajjadanashen Patigali Manikpur se hui jin se do pisar Syed Shah Babullah wa Syed Shah Qasim huwe. Ye dono Batarka e nanhiali baet wa khirka khalafat ke husul ke baad apne nana ke janasheen huwe. Syed Shah Babullah ba maqam patigali aur Syed Shah Qasim apne nana ki dargah ke mutasil khankah bana kar masnade irshad par baithe aur nana ki mureedeen ko barabar barabar taqsim kar liya.Musannif Tareekh Aaine Awadh likhte hai’n Tareekh Alaihdgi Shah Babullah apne biradar shah qasim se phir koi rhistedari inse ya digar khandan e sadaat e Qutbia wa gardezi wa Bhukhari wa Isfhani waghaira se waqe nahi hui. Illa shaadi sani Shah Ghulam Husain (رحمتہ اللہ علیہ) ki ba khandan Shah Syed jee jo Aulad Hazrat Maulana Khawajgi Kadvi (رحمتہ اللہ علیہ) se the’n hui.
Syed Shah Babullah ke pote Syed Shah Ghulam Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) aise murtaz ba kamal darwesh the’n jinke mureedeen ki kasrat Mulk Bengal mein zyada thi aur Qaum jinn inke Taabe thi aur aap “Ya Haiyyo Ya Qaiyyum” ke amil the’n. Aap ki wafaat 2 jamadiul aakhir san 1067 hijri mein hui. Musannif Bahre Zakhar ne Hazrat Ameer Kabir Qutubuddin Madni r.a ke Mutalliq inhi ka Qaul naql kiya hai. Patigali ki khankah ki nayi imarat Shah Babullah par pote Shah Abdullah ne tameer karai aur ganj khana Mutasil Darwaza Dargah Husamiya jis mein Shah Ghulam Hasan chilla kashi karte the’n aur woh munhadim hogaya tha. san 1316 hijri mein Syed Shah Faiyyazul hasan sajjadanasheen Khankah Patigali ne az-sare-nau Tameer karaya magar taqseem e Barre Sagheer ke baad ye sab imarate’n munhadim ho chuki hai isme rahne wale ya tu wisal kar chuke hai’n ya tu hijrat karke Pakistan chale gaye’n hai’n.
Mauza Ibna e Buzurg pargana Kada jo Qazi Shamshuddin raees e Kada ne iss khandan mein nazar kiya tha.wo zamidari ke khatme tak is khandan ke kabze mein raha.
Hazrat Shah Babullah maurise khandan patigali ne jo baet aur khilafat apne dadhiali khandan (Sakin Mohalla Barahdari Bihar ) se hasil ki thi iska silsila hasab zeil hai.
Hazrat Shah Babullah ke ek farzand Syed Shah Ghulam Peer huwe. inke chaar pisar Syed Muhammad Auz, Syed Shamshuddin, Syed Husamuddin, Syed Shah Ghulam Hasan Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) huwe. Awwal zikr teeno farzand sahibe aulad rahe’n.
Syed Shah Ghulam Hasan (رحمتہ اللہ علیہ) ki do shaadi hui. Pahli shaadi se do pisar Syed Abdul Haq aur Syed Abul Hasan aur ek dukhtar Kulsoom bibi hui’n.dusri biwi(jo ajhwa se biyah ayi thi’n) se do pisar Syed Makhdoom Baksh ,Syed Chirag Ali aur ek dukhtar Menda bibi hui’n.
Shajra Aulad Shah Babullah Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
6.1 Zikr Aulad Shah Qasim bin Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
Syed Shah Qasim ke do pisar Syed Jhau (Lawald) aur Syed Shah Farid huwe. Syed Farid ke do pisar Syed Shah Rahmat Ali (lawald) aur Syed Ashraf Ali huwe.Syed Ashraf ali ki shaadi Bibi At’harun nisa dukhtar Mir Ummed Ali Qutbi maullif Kitab Zahor e Qutbi sakin Qutbi Mohalla Kada se hui. jin se ek pisar Hazrat Syed Shah Mazhar Ali aur ek dukhtar machundar bibi hui’n.
6.2 Hazrat Syed Shah Mazhar Ali Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)
Aap ne akhir zamane apne aaba e kareem ke tareekh sulook pe kamzan hokar pahle apne walid se baet aur silsila ki, baad kuch aur jagho’n par baet talab ki akhir ruhani tasqeen Maulana Shah Abdul Aziz se hasil hui aur wahi silsila qayam rakha. 17 baras barabar mujhaidate nafsi karte rahen aur 3 baras tak ek pahad par muqeem rah kar sirf auraq ashjaar pe iqtefa ki.Naql hai ki ek martaba wo Sahibe walayat Hazrat Makhdoom shah Husamuddin (رحمتہ اللہ علیہ) ke Urs mein sharik gagar the’n aur hazaraha aadmi bataqleed gagar mujood the’n jis waqt shah sahab gagar liye Makhdoom sahab ke darwaze par pahuche us waqt un par wajd ki kaifiyat taari hui aur besakhta unke muh se Ba awaz buland yeh sher nikla
Musannif Aaine Awadh Syed Shah Abul Hasan Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ) jo us waqt wahan maujud the’n woh likhte hai’n main kahta hoon ki jisne ye sher suna unki tasir qalbi se apne jagah qayam na raha aur aksar log behosh hokar gir gaye’n aur jo na gire un par ek wajdi kaifiyat taari hui.In ke Karamat ke waqiyat bahut hai’n.san 1258 hijri ba maqam Allahabad aap ka wisal huwa aur Dargah Maulana Hazrat Ismail Quraishi R.A mauza Bamrauli zila Allahabad mein aap ki mazar maujud hai.
Aap ne do shaadi farmai .Pahli shaadi Syed Fahimun nisa urf bibi ji dukhtar Mir Sa’adat Baksh bin Syed Ummed Ali Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) se hui.jin se teen pisar Syed Mazhar Hasan, Maulavi Syed Mazhar Hussain, wa Syed Mazhar Rahim aur ek dukhtar hui’n.
Hazrat Shah Mazhar Ali ki dusri Shaadi syeda wahidun nisa bibi dukhtar Haji Syed Shakir Khan sahab (Aap Hazrat Syed Jalaludin surkh Bukhari ke aulado’n mein thi’n) raees azmimabad se hui.aap se ek pisar Syed Shah Mazhar Karim aur teen dukhtaran Syedun nisa bibi (Zauja Syed Ali Hamza az Sadaat Bukhari) Faridun nisa bibi (Zauja Shah Muhammad Jaffar ahle Khandan Khankah Manikpur) aur rahmatun nisa bibi (zauja Syed Shah Abul Hasan Qutbi Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ))
Shajra Aulad Hazrat Syed Shah Qasim Bin Syed Shah Khaleel Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)