Hazrat Syed Shah Hamza Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Syed Shah Hamza (رحمتہ اللہ علیہ) pisar asghar Hazrat Syed Shah Jalaluldin Jalal Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) iktesab e ilm zahir wa batin wa mujhahidat e nafsi se farigh ho kar apne walid e buzurgwar se baet ki aur khirka e khalafat Qutbiya Kabirya hasil kiya aur masnad e sajjadgi par baith kar ek aalam ko munawwar farmaya aur jab inho ne wisal farmaya tu inke darwesh seerat farzand Hazrat Syed Shah Abdul Rasool Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) inke janasheen hue’n.Aap bhi apne aabao ajdad ke tarah jalelulu qadr Aulia aur ulema mein shumaar hote the’n. aap hi ke naam se rasoolabad railway station mausoom hai (darmiyan allahabad- fatehpur ). aap ke wisal ke baad aap ke farzand Hazrat Shah Syed Peer Muhammad  Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ne  masnade Khalafat ko raunaq baksha.

(Aap Ka Mazaar Lucknow mein Teele wali Masjid mein marjae khaleq khas o aam hai .According to Bahre Zakhar manuscript of which is kept at Aligarh Muslim University library, Fidaye Khan Koka, governor during the reign of Shahjahan, had built this mosque. He was the disciple of Shah Peer Mohd and built the mosque, which was completed in two years, near Pir’s mausoleum. Incidentally, the first namaz offered at this mosque was that of ‘Alvida’.) baad Hazrat Shah Syed Peer Muhammad  Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) ke inke farzand Hazrat Syed Shah Fateh Muhammad Qubi (رحمتہ اللہ علیہ) masnade sajjadgi ko aarasta kiya aur apne noor zahir o baatin se ek aalam ko munawwar farmaya. Ye sabhi Hazraat apne aba o ajdad ke sahi janasheen aur unke tareeqe ko zinda aur  silsilae sulok wa ehsaan ko jaari rakhne wale the’n.

Hazrat Syed Shah Fateh Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ) ki zauja aula se koi aulad nahi hui issliye inho ne akhri umr mein ba gharaz baqae nasal wa naam inho ne Syeda bondi bibi dukhtar Maulwi Syed Ruknuddin ibn Syed Sadruddin ibn Syed shah peer Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ) se dusri shaadi ki jin se do farzand Hazrat Syed Shah Muhammad Hashim Qutbi(رحمتہ اللہ علیہ) aur Syed Shah Muhammad Ali Qutbi r.a paida hue’n. Abhi in dono ki taleem ilm zahir aur baatin ki naubat nahi pahuchi thi ki Hazrat Syed Shah Fateh Muhammad r.a is jahan se parda kar gaye’n.

Hazrat Syed Shah Muhammad Hashim Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) apne walid buzurgwar ke wisal ke baad  Hazrat Syed shah Ibrahim se jo Hazrat Raje Hamid Shah manikpur (رحمتہ اللہ علیہ) ki aulad mein se the’n silsila e chishtiya mein baet ki aur apne walid buzurgwar  ke janasheen hue’n.

Dusre pisar Syed Muhammad Ali ki tabiyat sipahgiri ke taraf mael thi.Lihaza aise ashghal mein masroof na ho sake’n.

Hazrat Syed shah Fateh Muhammad sahibe daulat wa jageer the’n.Kaafi maal wa jayedad dono bhaiyon ko mila.Syed Muhammad Ali ko iss maal wa jayedad  se faeda na hua aur woh kuch arso mein hi kam maye ho gaye lekin Syed Shah Muhammad Hashim ne is maal ko tijarat mein lagaya aur wo sahibe daulat aur sarwat rahe’n apne aabai jayedad ke alawa mauza ussraina pargana haswa jo kurra sadaat se teen kos ke fasileh par G.T road par hai. aap ke jayedad mein shumar hota tha. 

Naql hai ki jab inho ne apni dukhtar ki  shaadi Syed Bashir Ali taluqedaar patti shah tahseel khaga zila fatehpur ke saath kiya to baraat ke darwaaze tak pahuchne se pahle hi jahez ke alawa baraat ka kul kharch Syed Shah Bashir Ali ke pass bhijwa diya.

Syed Shah Muhammad Hashim (رحمتہ اللہ علیہ) ki shaadi Syeda Bibi Saira  dukhtar Syed Aleemullah bin Syed Muhammad Fazil bin Syed Shah Muhiuddin bin Syed Shah Hamza (رحمتہ اللہ علیہ) se hui. Jin se do pisar Syed Shah Karim Baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) wa Syed Shah Ali Baksh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) aur chaar dukhtaran
Bibi Syeda Zaraab zauja Mir Syed Maqsood Ali az Sadaat Rasoolpur jinse Syed Shujaat Ali paida hue’n.
Bibi Syed daulatun nisa zauja Syed Farzand Ali az sadaat ajhwa.
Bibi Syeda Bobodhia Syed Bashir Ali talluqedaar patti shah tahseel khaga zila fatehpur se hui.
Bibi Syeda Subhun nisa urf bibi sabqa jinke pote Mir Syed Akbar Ali sakin kurra sadaat the’n.

Advertisement