Bahawala Zahoor e Qutbi ,Tareekh Aainae Awadh
inhone Shahjahan ke ahade hukumut 1628-1657 eiswi mein apne baap dada ke masnade irshad par baith kar apne noor batin se ek alam ko munawwar kiya.inke karamat ke waqiyat lataydad hai’n.Naql hai ki Badshah ne kisi amr e khaas mein Syed Shujat Ali Khan Soobedaar Allahabad ko maukoof kar ke kisi jurm ke sabab darbar mein talab kiya usne ba khauf e ghazab shahi Hazrat Syed Saleh Qutbi ko apne humraah lejakar apna shafi gardaya Badshah bapaas unki azmat aur sayadat ke uske qasoor se darguzar kiya aur phir se ohda e soobedaari par bahaal kar diya.
inki khalf rashid Syed Hamid Qutbi hue’n woh bhi apne abaoajdad ke tarah sulook wa marifat par qayam rahe’n.inke do pisar Syed Shah Ghaisi (رحمتہ اللہ علیہ) wa Syed Muhammad urf Syed Mungri (رحمتہ اللہ علیہ) huwe.
1)Hazrat Syed Shah Ghaisi (رحمتہ اللہ علیہ) : apne waqt ke kamil guzre’n.inke karamat ke waqiyat lataydad hai’n.inke do pisar Hazrat Shah Khabban wa Syed Ghulam Raza hue’n.
Hazrat Shah Khabban (رحمتہ اللہ علیہ) ba martaba e Ghausiyat pahuch kar saif zabaan hogae’n the’n.goya ki inki zabaan teer e qaza thi.in par hamesha kaifiyat e jazb taari rahti thi.Magar siwaye Aulad e duktari ke aulad pisari nahi thi.
Syed Ghulam Raza ek marke mein shaheed hogaye’n.Aap ki nasal aage nahi chali.
2) Syed Muhammad urf Syed Mungri (رحمتہ اللہ علیہ)
inki aulad mohalla sadaat e qutbia mein sukunat pazir rahe’n.inke Aulad mein Mir Muhammad Azim ke karim e waqt rahe’n.inhone afifa iffat janab ke batn se aur Syed sayadatma’ab ki pusht se paida hokar apne aba ajdad ke taur tareeqe par yani roti khilane, ghurbanawazi, musafirparwari, himmat, wa shujaat aur sakhawat par qayam rahe’n.
Afsos ki iss khandan e aalishan se koi Aulad e pisari ya dukhtari baaqi na rahi.Mundarja bala log ruhani peshwa aur faqeer roshan zameer hone ke saath saath nihayat mardana aur farzana huwe’n.Aur aksar sultani afwaaj se milkar shujat ka muzahira pesh karte rahe’n.jis ke sabab khitab khani wa ata e tamgha mumtaz hote rahe’n.Naql hai ki jo hakim kada mein mamoor hota tha pahle in buzurgo’n ke paas hazir hokar inko apne humrah darul imarat tak rahmat wa barkat ke gharz se lejata aur inki ijazat se pahle roz masnade hukumat par baith kar nazar pesh karta tha. Allah hu akbar. Ye Hai Khanwada e Qutbiya Ki Azmat ki har adna o aala awwal ta akhir is gharane ka mautqid nazar aaya hai.
Shajra :