Ba Hawala Tareekh Aaine Awadh ,Zahoor e Qutbi:
Aap ne Kada se uth ke mauza kaurali Allahabad mein sukunat akhtiyaar ki. aap jalilul qadr wali the’n.
Silsila e Nasab : iss tarah hai Hazrat Syed Faizullah bin Syed Maluk bin Syed Ali bin Syed Khan bin Syed Tahir bin Syed Ruqnuddin bin Syed Qutubuddin Bin Syed Akhundshah bin Syed Bade bin Syed Qayamuddin bin Syed Sadruddin bin Syed Ruqnuddin bin Syed Nizamuddin Hasan bin Syed Ameer Kabir Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ)
Aksar Sadaat Qutbi iss mauza mein mashahir rozgaar hue’n chunanche Syed Faizullah ki chati pusht mein Syed Shah Ziauddin (رحمتہ اللہ علیہ) hue’n.In ke mutalliq maulif Zahoor e Qutbi Syed Ummed Ali likhte hai’n.
Hazrat Syed Ziauddin ki aulado’n mein Hazrat Haji Syed Faizullah hue’n.jo apne zahiri wa batini uloom aur rohani kamalat ki wajah se shohra e afaaq huwe.Hatta ki Badshah e waqt Aurangzeb Alamgir ne inka saaya apne upar banazar barkat dala.Inke Mutalliq Syed Ummed Ali iss tarah raqmtaraz hai’n.
Hazrat Haji Syed Faizullah R.A ne apne Shaikh ki wasiyat ke mutabiq Allahabad ke Sadaat e Bukhari mein Syed Musa Raza bin Syed Zahirudin Bukhari ki dukhtar se shaadi ki jin ke batn se 2 pisar Syed Ibrahim urf Mir Muhammadi wa Syed Ghulam Yahya aur 2 dukhtar Syeda Gul bibi (zauja Syed Muhammad urf saif mungari bin Syed Hamid Qutbi bin Syed Saleh Qutbi (رحمتہ اللہ علیہ) sakin kada shareef ) Syed Fatima Bibi (walida Syed Ummed Ali Qutbi maulif Zahoor e Qutbi).
Hazrat Haji Syed Faizullah (رحمتہ اللہ علیہ) ka mazaar Shareef Sarhad Kaurali Rajputana mein maujood hai.
Hazrat Haji Syed Ibrahim urf Mir Muhammadi (رحمتہ اللہ علیہ) Hajiul Harmain alim ba amal Mahire Tafsir wa Hadees wa Fiqh wa Tareekh aur Shayar Bebadal the’n.Hafiza itna qavi tha ke charo’n Mazhabi kitab hifz thi. Kai Zabaano jaise ki Urdu Arabi Farsi Hindi aur dari mein maharat rakhte the’n. Hazaro’n Shagird e rashid the’n.Apni issi Khususiyat ki wajah se salateen, umra,wuzra,ruhan buzurgo’n ahalullah,fuqha,sulha,hukma,mufassireen,muhaddiseen,matsufeen. Al gharaz iss zamane ke har tabqa ke mashahir mein Maqbool wa mahroof the’n.Sahib e Kitab Zahoor e Qutbi Mir Syed Ummed Ali ne inka tazkira kuch iss tarah kiya hai.