Hazrat Syed Ashraf Ali urf Makhdoom Ghulam Ashraf (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Makhdoom Ghulam Ashraf (رحمتہ اللہ علیہ) ka zikr har jagah izzat ke saath milta hai.ibteda jawaani mein aap fauj mein ek ohde par the’n aur bade sahibe jurrat the’n baad mein tabiyat apne aabai rang par agayi rohaniyat ghalib hui har waqt ibadat aur riyazat mein masroof rehne lage bafazl darjaat Aliya tak paunche.Syed Waazhul Haq masroor Aurangabadi ne apni Kitab Tazkiratul Aba mein likha hai

Tazkiratul aba

Kitab Aasar e Raftga’n mein Maulan Anwarul Haq Shahudi raqmtararz hai’n.

Aassar e Raftga'n

Aap ki shaadi Bibi Daulat Dukhtar Syed Habibullah se hui (jo Shah Junanid Qadri ke bhanje the’n).jin se ek pisar Waris Ali Hue’n.Syed Waris Ali ek bade Zamindaar aur Shayar the’n.inki Shaadi Bahauddin urf Muhib Ali sahab sakin  Yusufpur ki phuphi se hui.jin se chaar pisar Qazi Syed Subhan Ahmad ,Qazi Syed Abdul Hamid ,Qazi Syed Abdul Hafiz aur Qazi Syed Abdul Hakim hue’n.

Advertisement