Hazrat Syed Ahmad (رحمتہ اللہ علیہ)

Hazrat Qazi Syed Azauddin ke sahabzaado’n mein ek sahabzade Syed Ahmad apne dusre bhaiyon ke haq mein Badaun ki Qazaya se dastbardar huwe Mizaaj par Tasawwuf ka ghalba tha lihaza Duniya se Kinarakash hokar safar Hajj par rawana hogaye’n.Wahan se wapsi ke baad aap ne sari umr Tableegh e Haq wa Tarweej e Deen wa Shariyat mein guzari. inke ilm wa fazl aur zuhud o Taqwa se mutassir hokar Hakim e Waqt ne inhe jaedad aur ilaqe nazar kiye’n.chunanche inka khandan Qazba Roni malaba mein sukunat pazir huwa.

Advertisement