Syed Abdul Ali Nasirabadi (رحمتہ اللہ علیہ) bin Syed Ali Muhammad bin Syed Akbar Shah bin Muhammad Shah bin Syed Muhammad Taqi bin Syed Abdul Rahim bin Syed Hidayatullah bin Syed Is’haaq bin Syed Muazzam bin Qazi Syed Ahmad bin Qazi Syed Mahmood (رحمتہ اللہ علیہ) (nawase Syed Ilmullah (رحمتہ اللہ علیہ)) Aap Syed Muhammad Zahir (janasheen Hazrat Syed Ahmad Shaheed (رحمتہ اللہ علیہ)) ke damad the’n. aur isi rishtey ke bina par apne teen bhaiyon Syed Abdul Razzaq wa Syed Abdul Wahab wa Syed Abdul Aziz ko Nasirabad mein hi chood kar Takia Shah Ilmullah Raibarelli mein aakar Qayam pazir hogaye the’n. Inke Sahabzaade Maulwi Hakim Syed Fakruddin khayali apni Kitab Mehere Jahantaab (Farsi) mein apne walid majid ke mutalliq likhte hain wo zahidozama wa muttaqi zora’n the’n. Riyasat Nagoad(Bundelkhand) mein Tehsildar aur Munsif the’n maqool mushiarh tha. Magar talluqe duniya aur silsilae mulazimat ke bawajood bahama aur behama the’n dil byaar aur daste bukar ka mazmoon tha. Nihayat khush auqat zakir wa shaghil buzurg the’n khane peene mein nihayat mohtat the’n. Kisi fareeq muqadma ke yahan khana nahi khate the’n aur na uska tohfa qubool karte the’n. us qurbejawaar ke log aap ki barkat wa faiz e suhobat se pabande shariyat wa soomsalat hogaye 40 saal ki umr mein 1269 hijri mein Nagoad mein wafat pa gaye’n. Akhri Kalma zaban par “Bil Rafiq Al Ala” tha. Iss kufristan mein pahle masjid jo aap ki wajah se bani thi iske jawaar mein dafan hue’n.